Contents
Colgate Scholarship 2020:- Colgate Scholarship ka sanchalan Colgate-Palmolive (India) Limited ke dwara kiya ja raha hai taki students ki education ka samarthan aur madad kiya ja sake. Is Scholarship me pure Bharat ke kai sare students bhag lete hai. Is scholarship ke antargat aal India contest ke madhyam se INR 1,00,000 tak mulya ke 501 awards pradan karti hai. Aap is scholarship ke liye online register kar sakte hai, niche diye gaye Link ki madad se.
Yadi aap bhi is Scholarship me bhag lena chahte hai, To aapko Colgate ke packet pe diye gaye Toll-Free number 1800 313 4575 par missed call karna hai. Aap sirf ek missed call dekar hi, iske scholarship ka labh utha sakte hai. Lekin iske liye kuch eligibility mapdand rakhi gayi hai, Jise aap niche is post me dekh sakte hai. Aur is Scholarship ke liye kab se register kar sakte hai, Iski bhi jankari share ki gayi hai.
Scholarship ke liye Online Registration 1st June to 30th September tak hoti hai. Koi bhi candidates jo Colgate Scholarship ke term aur scholarship ko pura karta hai, Use is program ke liye shortlist kiya jata hai. Scholarship Winners ka naam official website par 1st June to 30th march ke bich kabhi bhi kiya jayega.
Colgate Scholarship 2020 Apply Online
Yadi aap bhi apne padhai ke liye Scholarship ki khoj kar rahe hai, To yah Colgate Scholarship bhi aapke liye ek sunhara mouka pradan karti hai. Kyunki iske liye koi bhi Exam nahi li jati hai, Aapke registration ke bad
Colgate Palmolive Ltd. randomly winners ko choose karti hai.
Conducted By | Colgate-Palmolive (India) Ltd |
Eligibility | Children below 21-year-old |
Region | India |
Rewards | Upto INR 1,00,000 |
Last Date of Application | September 30, 2020 |
Colgate Scholarship Rewards and Benefits
Registration entries ke anusar, Scholarship ka labh 501 entries ko milega:-
Scholarship Prize Details:-
- 1 Lakh ka Scholarship 45 entries ko milega.
- Baki bache 456 entries ko Rs.10,000 ka labh utha sakte hai.
- Aur iske sath hi BYJU’S App par 30 dino ke Courses ke liye bikul muft diya jayega.
Colgate Scholarship Eligibility Criteria
Colgate Scholarship India program me bhag lene ke liye kuch sharte aur mandando ko pura karna hoga, Jiski list niche di gayi hai:-
- Scholarship students ki education ka samarthan karne ke liye hai.
- 21 Varsh se kam aayu ke students aavedan kar sakte hai.
- Bharat ke Students kisi bhi jagah se Scholarship me bhag le sakte hai.
- Colgate Company ke employee Scholarship me bhag nahi le sakte hai.
- Kisi bhi gender ke students is Scholarship me bhag le sakte hai.
How to Apply for Colgate Scholarship Online?
Colgate Scholarship me bhag lene ke liye koi formal application process nahi hai. Aavedan lene ke liye niche diye gaye Steps ko follow kare:-
- Colgate Scholarship Date ka advertisement media me jari kiya jayega.
- Colgate pack me se kisi ek ko kharide jaise ki Colgate active salt (lemon/ neem) toothpaste, Colgate Cibaca/ Vedshakti toothpaste, Colgate dental cream toothpaste, etc.
- Aur ab colgate pack pe diye gaye Toll-Free number 1800 313 4575 par ek missed call den.
- Aavedak ko ek IVRS (Interactive Voice Response System) option ka chayan karna hoga.
- Phone karne vale se 2 Question puche jaynge.
- Winners ki ghoshna advertisement ke dwara hi kiya jayega.
Colgate Scholarship Important Documents:-
- Address proof.
- A voter ID card
- Driving license
- Pan card.
- Age proof and name proof.
- School leaving certificate.
- Birth certificate.
Post Selection Process:-
Jo Candidates winner ke rup me honge, Unhe is tarah se contact kiya jayega:-
- Selection process ke bad, Colgate scholarship winner list publish kiya jayega. Aur winners se sampark kiya jayega taki unka address aur id proof liya ja sake.
- Scholarship awards ko funds draft or cheque ke dwara diya jayega.
- Scholarship ka dava karne ke liye, Address par ke form bheja jayega, Jise aapko bharna hoga.
- Form bharne ke bad aapko is Address pe bhej dena hai:-
- e-mail id colgatescholarship2018@groupm.com or WhatsApp number 961917240
Contact Details:
- Colgate Scholarship Phone Number: 91-22-67095050
- Consumer Affairs: 1800-225599
- Address: Colgate-Palmolive (India) Limited, Colgate Research Centre, Main Street, Hiranandani Gardens, Powai-400076 (Mumbai),