Sarkari Yojna

Deendayal Antyodaya Yojna 2020 | राष्ट्रीय आजीविका मिशन Online Aavedan Form

Written by A to Z Classes

Dindayal Antyodaya Yojna 2020:- Hello Guys, Jaisa aap jante hain ki is COVID-19 Mahamari me Bharat ke Pradhan Mantri Shree Narendra Modi Ji ke dwara bahut se Yojnaye ko shuru kiya gya hai, Taki in sabhi Yojnao ke madhyam se Desh ke Gramin ya Shahri Area ke Garib Logo ko Sahayata pradan kiya ja saken.

Lekin aaj ham baat karne bale hain Dindayal Antyodaya Yojna 2020 ke bare me, Jiski shuruaat Kendra Sarkar dwara hi Desh ke sabhi Gramin / Shahri Area ke Garib Parivaron ko Labh pahuchane ke liye shuru ki gyi hai. Is Yojna ke antargat Garibi ke Kaushal Vikas aur Aajivika ke avsro me virdhi kar Desh ke Garib Logo ko Rojgar ki avasar pradan karke unki Garibi ko dur ki jayegi.

Bata den ki yah Dindayal Antodaya Yojna me Rashtriye Shahri Aajivika Mission Aur Rashtriye Gramin Aajivika Mission ka Integration kiya gya hai. Yadi aap bhi is Scheme ke bare me jankari prapt karna chahte hain ya phir iska Labh uthana chahte hain is post ko dhyanpurvak last tak padhe.

National Livelihood Mission,(राष्ट्रीय आजीविका मिशन)

Is National Livelihood Mission yani (राष्ट्रीय आजीविका मिशन) Scheme ko 2 Tarike se lagu kiya gya hai.

  1. Gramin Bharat Ke Liye
  2. Shahri Bharat Ke Liye

Lekin Dindayal Antyodaya Yojna ke roop me Namit Shahri Ghatak ko Awas aur Shahri Garibi Alleviation Ministry (H U P A) dwara Implementation kiya jayega, Jabki Dindayal Upadhyay Gramin Kaushal Yojna me Gramin Ghatak ka Implementation Gramin Vikas Mantralaya dwara kiya jayega.

Is Yojna me Shahri Ghatak ko National Shahri Aajivika Mission jabki Gramin Ghatak ko National Gramin Aajivika Mission ka Naam diya gya hai, Jise alag alag Mantralay dwara Implementation kiya jayega. Is Yojna me lagbhalg 29 State aur 5 Kendra Shasit Pradesh ke sabhi Area ko shamil kiya gya hai.

National Urban Livelihood Mission

To National Urban Area me Training Center SHG Promotion Aur Beghar Logo ko ek Permanent Aashram ki vayastha ki jayegi, Iske sath hi Road par Saman bechne balo ya Kuda binane bale Logo ko Rojgar ka avsar aur Income badhane ka upay Kendra Sarkar dwara uplabdh karbaya jayega.

Is Shahri Aajivika Mission ke that Shahri Area ke Logo ke liye Dindayal Upadhyay Antyodaya Yojna ke antargat sabhi 4041 cities and Town bale aavadi ko Labh pahuchane ka lakshya rakha gya hai.

National Rural Livelihood Mission

Is Mission ke antargat Gramin Area ke Samudayik Sansthano ke jariye Garib Logo ko Aajivika ke various sources ko uplabdh karna aur Gramin Area ke Garib Logo ki Garibi ki samasya ko dur karna hai. Jabki Yojna ke tahat Gramin Area ke 10 Lakh se adhik Logo ko Trained kiya jayega.

Kendra Sarkar dwara prayojit is karyakram ko State ke sahyog se is Mission ko 2011 me hi Launch kiya gya tha, Yah National Gramin Aajivika Mission 29 State aur 5 Kendra Shasit Pradesh ke 586 District ke that 4,459 Block me lagu kiya gya hai. Jisme se Varsh 2017-18 me 1.28 Lakh Yuvaon ko Training bhi pradan karaya gya, Jinme se 69,320 Yuvaon ko ek achhe location par Rojgar bhi di gyi hai.

Objective of Dindayal Antyodaya Yojna 2020

Aap sabhi ko pata hai ki Desh ke Gramin aur Shahri Area ke Garib Log aarthik roop se kamjor hone ke karan Majduri karke apna Jivan ko chala rahe hain, Lekin bahut se aise bhi log hain hain jinke pass koi Income ka sadhan hi nahi hai. In saari Samasyaon ko dekhte huye Kendra Sarkar dwara is Dindayal Antyodaya Yojna 2020 ki shuruaat ki gyi hai, Jiske madhyam se Gramin ya Shahri Area ke jo bhi Garib Log hain unhe apni Rojgar aur Kushal Majduri Rojgar ka avsar uplabdh karna hai.

To is Yojna ki sahayata se Ground Level ke Construction se unki Aajivika me sthai aadhar par unki Jivan me sudhar ho sake, Aur is NRLM 2020 ke madhyam se Shahri or Gramin Garibi ke samasyaon smapt karne ka udeshya hai.

Overview of Deendayal Antyodaya Yojana

Name of The SchemeDeendayal Upadhyay Antyodaya Yojana
StartedVarsh 2011
BeneficiaryShahri aur Gramin Area ke Nagrik
Application PorcessOnline
ObjectiveIncrease in Income Through Skill Training
BenefitFree Skills Training
CategoryCentral Government Schemes
Official Websiteaajeevika.gov.in/

Key Facts of National Livelihood Mission 2020

  • Is Yojna ke tahat Desh ke Gramin aur Shahri ke Garib Logo ki Aajivika Sambandhi Samasya ko dekhte huye unhe Rojgar ki avsar ke liye Institutional Credit, and Social Security or Skill Development pradan ki jati hai.
  • National Aajivika Mission me Garib Nagriko ke liye Rojgar aur Training ke tahat Yuvaon ko Kushal banakar Income me Growth karna hai.
  • Is Yojna ke liye Kendra Sarkar dwara 500 Crore Rupaye ka pravadhan rakha gya hai.
  • Kendra Sarkar dwara is Yojna ke tahat Jammu & Kashmir and North East me Sabhi Garib Logo ko 18,000 Rupaye di jati hai.
  • Dindayal Antyodaya Yojna me Placement or Kaushal Training ke madhyam se Rojgar ke tahat Shahri log ko Training ke iye 15,000 Rupaye ki Rashi Investment ke liye di jati hai.
  • Sarkar ki taraf se partyek Group ko 10,000 Rupaye ki Rashi pradan ki jayegi, Sath hi Register Area ke Level Mahasangho ko 50,000 Rupaye ki sahayata pradan ki jayegi.

National Gramin Aajivika Mission Preferences

  • Promotion of agricultural livelihood
  • Rural Self Employment Training Institute
  • Promotion of non-agricultural livelihoods
  • Establishment of Grameen Haat
  • Formal Financial Institutions Tak Gramin ki Pahuch sunishchit karna

Eligibility Criteria

  • Aavedak ko ek Bhartiy Nagrik hona anivarya hai.
  • Aur Aavedak BPL Yani Garibi Rekha se niche apna Jivan Yapan kar raha ho.
  • Gramin or Shahri Area ke hi Garib Log is Scheme me shamil ho sakte hain.

Required Document

  • Aadhar Card
  • Identification Card
  • Residence Certificate
  • Voter ID Card
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How To Apply For Deendayal Antyodaya Yojana 2020?

Desh ke jo bhi Labharthi is Yojna ka Labh uthana chahte hain ve niche bataye gye tarike ko follow karke iske liye aavedan kar sakte hain.

  • Niche diye gye link se iske official website par vsit karen.
  • Iske home page se Log.in bale opion par click karen.
  • Click karte hi ek page open ho jayega.
  • Yaha par aapko Log.in Form dikhai dega, Uske niche Register ka Option show hoga aap uspar click karen.
  • Ab Registration Form open ho jayega.
  • Form me puchhi gyi sabhi Details User Name, Email, Passward, Contact No, Secure Code ityadi ko enter karen.
  • Iske baad Create New Account par click karen.
  • Ab aap Naukri ke liye aavedan kar sakte hain, Aur Aajivika Gramin Express Yojna ke that diye gye protsahan ke liye aavedan kar sakte hain.

Official Website:- Go Here

Contacts and Helpline

  • दीनदयाल अंत्योदय योजना –
  • राष्ट्रीय ग्रामीण आजीविका मिशन (DAY-NRLM)
  • ग्रामीण विकास मंत्रालय – भारत सरकार
  • 7 वीं मंजिल, एनडीसीसी बिल्डिंग -II, जय सिंह रोड
  • नई दिल्ली – 110001
  • फोन: 011 – 23461708

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment