Contents
PM Fasal Bima Yojna 2020:- Pradhan Mantri Fasal Bima Yojna 2020 ki Shuruaat Desh ke Pradhan Mantri Shree Narendra Modi Ji ke dwara Kisano ko Labh pahuchane ke liye shuru kiya gya hai. Jaisa aap sabhi jante hain ki Kisan ki Fasal Bone ke baad koi Prakrtik Aapda ke karan Kisan ki Fasal ki Nuksan ho jata hai jisse Kisano ko aarthik sthiti par kafi adhik prabhav padta hai, Jiske karan unhe Bank se Byaj par Loan bhi lena padta hai, Lekin wo apni aarthik sthiti down hone ke karan Bank ka Byaj Dar bhi Bhugtan nahi kar pate hain.
Isliye Sarkar ne Kisano ki Samasya ko dur karne ke liye ek Yojna taiyar kiya hai jiski madad se Kisano ko kafi Sahayata pradan ki jayegi. Sarkar ke niyam ke anusar jab koi Kisan KCC ke tahat Loan prapt karta hai to uske sath unhe Fasal Bima Claim ka bhi Form bharna hota hai aur use ye Bima ka Clame Premimum har 6 Mahine par bharna hota hai. Jiske baad yadi koi Prakritik Aapda ke karna Kisan ki Fasal ka Nuksan hota hai uski Cover Sarkar aur Bank ko karni hoti hai. Yadi aap bhi ek Kisan hain aur is Bima Clame ka Premimum bharna chahte hain to iske Last Date ke pahle bharna hoga jiski sabhi jankari aap is page me diya ja raha hai.
Pradhan Mantri Fasal Bima Yojana 2020 (PMFBY)
Desh ke jo bhi Kisan Pradhan Mantri Fasal Bima Yojna 2020 ka Labh uthana chathe hai to Kharif Faslon ke Bima ki Last Date 31 July 2020 hai, Aap chahe to iske Last Date se pahle apna aavedan kar sakte hain. Lekin jin Kisano ne KCC ke tahat Bank se Loan liya hai unhe Bank me me jakar Fasal Bima Yojna 2020 ka Registration karbana hoga. But kuchh Kisan aise bhi hai Jinhone kisi bhi Bank se Koi KCC nahi hain, To uske liye us Kisan ko CSC Center par jakar PMFBY ke Liye Registration karbana hoga. Iske liye Kisan ko 31 July 2020 ke One Week pahle hi Bank ya CSC Center me jakar Suchit karna hoga.
Jiske baad Yadi Kisan ki Fasal ka kisi karan bus Nuksan hota hai to uski Cover Sarkar dwara ki jayegi.
फसल बीमा योजना में किन जोखिमों पर मिलता है भुगतान
Iske liye Krishi Mantralaya ko kahna hai ki is Yojna ke antargat Kisan ke Fasal ko Prakritik Aapdaon ke karan Nuksan hone par Kisan ko Bhugtan kiya jayega. Aapko bata den ki Prakritik Aapda me Faslon ko Nuksan pahuchane par Central Government ne Kisano ki Bharpai ke liye Varsh 2016 me PM Fasal Bima Yojna ki Shuruaat ki thi. Jiske liye phir se Registration Shuru kar di gyi hai.
PMFBY में लाभ कैसे मिलता है
Kisan ko Fasal ko Bone ke 10 Dino ke andar Pradhan Mantri Fasal Bima Yojna ke liye Application Form bharna hoga. Aur is Bima ka Labh tabhi diya jata hai jab aapki Fasal ki kisi Prakritik Aapda ki bajha se Nuksan ho gyi ho.
Isme Aapko Bone se lekar Katai ke bich kisi bhi karan bus aapki Fasal barbad ho jati hai. Aur Fasal Katai ke baad agle 14 Dino tak Khet me Sukhne ke liye rakhi gyi Faslo ko Unseasonal Barish ya Olabirshti se Nuksan hone par Bima Company sabhi ka Aaklan karke aapko Bharpai karegi.
PMFBY के लिए किसान को कितना प्रीमियम भरना होता है:-
Kharif Fasal Ke Liye | 2% Percent |
Rabi Fasal Ke Liye | 1.5%Percent |
PMFBY Yojna me Commercial & Horticulture Fashlo ke liye Bima Suraksha Pradan Karti hai | 5% Percent premium |
Required Document For PM Fasal Bima Yojna Registration 2020
Pradhan Mantri Fasal Bima Yojna ke Registration ke liye Kisan ko kuchh Mahatvapurn Document ki aavashyakta hoti hai jo niche bataya gya hai.
- Kisan ka Aadhar Card
- Kisan ke Khud Ke Khe ka Khasra Number
- Khet Me Fasal Ka Confirmative Dena
- Ration Card
- Passport Size Photo
Contact:-
Yadi koi Kisan PM Fasal Bima Yojna ke bare me aur bhi adhik jankari prapt karna chahte hain, Iske liye Agriculture Department Specialist or Bima Company ki Toll-Free Number bhi jaari kiya gya hai jispar aap Call karke Agriculture Officers Ya Bima Company se Jankari prapt kar sakte hain. Jo niche provide karya gya hai.
Toll Free Number:- 18002005142 or 1800120909090