Contents
Vidhwa Sahay Yojana Gujarat 2021 Apply Onlne:- Gujarat Sarkar ne Gujarat ke vidhwa mahilaon ko labh pahuchane ke liye hal hi me “Gujarat Sahay Yojana 2021” ki shuruat ki hai. Is Yojna ke tahat Rajya Sarkar un sabhi Mahilaon ko Pension ke roop me sahayata rashi pradan karegi, Jinke husband (पति) ka death ho chuka hai. Aksar ham sabhi jana karte hain ki desh ke Vidhva Mahilaon ko jinki aarthik sthiti kamjor hai, Unhe kafi sare samasyao ko samna karna padta hai.
Inhi sab samasyao ko samadhan karne ke liye Gujarat Sarkar ne Vidhwa Sahay Yojana ko launch kiya hai, Jiska udeshya Vidhva Mahilaon ki aarthik sthitiyon me sudhaar karna hai. Isliye aaj ke is article me hamne Gujarat Vidhwa Sahay Yojana ke bare me sabhi jankari share kiya hai. Is Scheme se related sabhi jankari jaise eligibility criteria, Important date, required document, application process, registration process etc. pradan karaya hai, Jo aapke liye kafi mahatvapurn hai.
Gujarat Vidhwa Sahay Yojana 2021
Gujarat vidhwa Pension Sahay Scheme ke antargat State ke sabhi Vidhwa Mahailaon ko Sarkar ki taraf se financial help pradan ki jayegi. Is Scheme ke tahat Rajya Sarkar State ke Vidhwa Mahioan ko har mahine 1,250 Rupaye ki sahayta rashi pradan karegi. Lekin iska labh uthane ke liye sabse pahle online application form bharna hoga.
Ichhuk sabhi Vidhwa Mahilayen jo State Government dwara shuru ki gyi Vidhwa Sahay Yojana Gujarat 2021 ka labh uthana chahti hai, Vidhwa Sahay Yojana ke official web portal par jakar aavedan kar sakte hain.
क्योंकि इस योजना का मुख्य उद्देश्य राज्य के उन विधवा महिलाओं को मदद करना जिन्हें अपने पति की मृतु होने के बाद आर्थिक रूप से मदद की जरुरत है. तो इस पृष्ट में गुजरात विधवा सहाय योजना 2021 में आवेदन कैसे करें, इसके लिए स्टेप बाई स्टेप तरीका निचे बताया गया है|
Gujarat Vidhwa Sahay Yojana Highlights
Name of the Scheme | Vidhva Sahay Yojana Gujarat |
Launched by | Gujarat Government |
Department Name | Department of Social security |
Beneficiaries | Widows of the state |
Objective | To provide better survival opportunities |
Category | State Government Scheme |
Application Process | Offline/ Online |
Gujarat Widow Pension Assistance Scheme – Features & Benefits
- Gujarat Vidhwa Pension Scheme ko Ganga Swarupa Yojana bhi kaha jata hai.
- Is Scheme ke tahat Gujarat Sarkar Vidhwa Mahilaon ko har maine 1,250 Rupaye ki sahayata rashi pradan karegi.
- Vidhwa Sahay Yojna 2021 ke tahat Pension Rashi ko DBT ke madhyam se direct labharthi ke Bank Account me paise transfer kiye jayenge.
Vidhwa Sahay Yojana Gujarat – Eligibility Criteria
Labharti ko Vidhwa Sahay Yojana me apply karne se pahle Eligibility Criteria ko pura karna anivarya hai.
- Aavedak Mahila Gujarat State ka ek permanent nagrik hona chahiye.
- Is Scheme me apply karne ke liye widower hona chahiye.
- Aavedak economically weaker sections se sambandhit hona chahiye.
- Rural area ke aavedak mahila ki annual income Rs. 1,20,000 se adhik nahi honi chahiye.
- Urban areas ki aavedak mahila ki annual income Rs. 1,50,000 se adhik nahi honi chahiye.
Required Document for Documents for Gujarat Widow Pension Scheme
- Domicile Certificate
- Income Certificate(As per Appendix 3/4)
- Affidavit (As per Appendix 2/3)
- Husband’s Death Certificate (as per Appendix 3/4)
- Age proof
- Birth certificate
- Matric certificate
- School Leaving Certificate
- Any government-issued ID in which age is specified (If you don’t have any of the above, you can submit age proof from the medical officer of a government hospital / civil hospital.)
- Education certificate
Ab chaliye jante hain ki Gujarat Vidhwa Sahay Yojana ke liye online application form kaise bhar sakte hain.
How To Apply Online For Vidhwa Sahay Yojana Gujarat 2021?
Gujarat State ke sabhi Vidhwa Mahila jinki aarthik sthiti kamjor hai, Aur is Scheme ka labh uthana chahte hain to niche bataye gye steps ko follow karke online apply kar sakte hain.
- Sabse pahle Collectorate – District Bharuch ke Official Website par visit karen.
- Iske home page se એપ્લીકેશન ફોર્મ (Aplication Form) PDF ke link par click karen.
- Click karte hi PDF file me Application Form open ho jayega.
- PDF Application form download karke Printout nikal len.
- Aur is form me puchhi gyi saari details jankari ko bharen.
- Form ko sahi se bharen, Applicant Name, Husband Name, Father Name, Religion, Age, Date of Death of Husband, Address Details like Town/Village, District, and Pin Code In saari details ko bharen.
- Aur is form ke last me apna signature karen.
- Form bharne aur signature karne ke baad application form ke sath sabhi important document ko attach karen.
- Aur application form ka verification ke liye iske sambandhit officials ke paas jama kar den.
- Aapka aavedan is prakar pura ho jayega.
Important Link:-
Download Application Form | Click Here to Download PDF |
Check Notification | Check Here |
Official Website | https://bharuch.gujarat.gov.in/ |
Contact Us:-
District Collector Office Railway Colony, Bharuch,
Gujarat – 392001
Helpline No:- +91 2642 222332, 268872, 240600
Email ID:- collector-bha@gujarat.gov.in