Sarkari Yojna

Haryana eKarma Yojna Registration 2020 – यहाँ से करें ई-कर्मा योजना में Online Apply, @ekarmaindia.com

Haryana eKarma Yojna 2020:- Hello Guys, Ham sabhi ko pata hai ki aajkal Desh ke sabhi State Government (राज्य सरकार) samay samay par apne Rajya ke Nagriko aur Shikshit Yuvaon ko Rojgar ka avsar uplabdh karvane ke liye kuchh na kuchh try karti hi rahi hai. Lekin isi bich Haryana Sarkar ne apne Pradesh ke Nagriko ko Rojgar uplabdh karvane ke liye Haryana eKarma Yojna 2020 ki shuruaat ki hai. Jiske bare me sabhi mahatvapurn jankari is article me pradan karaya ja raha hai.

Yadi aap janana chahte hain, Ki Haryana eKarma Yojna 2020 kya hai, Iski puri jankari kya hai, To is post ko last tak jarur padhen. Is page me aapko is Yojna se related jankari jaise iska Benefits, Features, Eligibility, Aavedan karne ke liye Imortant Document, Application Process, Udeshya etc. Jaise puri jankari mil jayegi.

Haryana eKarma Yojna 2020 क्या है?

Aap sabhi ki jakari ke liye bata den ki Haryana eKarma Yojna 2020 ke madhyam se Freelancing se Related Colleges me Padhai Karne bale Rajya ke Yuvaon ko pradan ki jayegi. Iski Training ke liye Government Colleges me Excellence Centers ki establishment ki gayi hai. Jo Freelancing / Entrepreneurship jaise Business ko badhawa degi. Aur Appwork IT Solutions Pvt Ltd jaise Excellence Centers ka sanchalan bhi karega. Sath hi College me Padhne bale Students ko Internet par aadharit Freelancing Platform se Related Training bhi Pradan karega.

Bata den ki is Freelancing Platform me upworks.com, guru.com, freelancer.com jaise freelancing platform shamil hai. Haryana eKarma Yojna ke tahat lagbhag 3,000 Candidates ko Training pradan karega. Jo Panchkula, Karnal, Hisar, Faridabad, Gurugram jaise College ke Excellence Centers par pradan ki jayegi.

Jo ki is Yojna ke tahat four se six month ke liye free traning sabhi Candidates ko pradan ki jayegi. Jisme jyadatar Communication Skills, Bidding Skills and Technical Skills ki training di jayegi. Aur ha, Is Yojna me Registration karne ke liye Haryana ka ek Permanent Nagrik hona anivarya hai.

Haryana eKarma Yojna 2020 – Overview

Name of Scheme Haryana eKarma Yojna 2020
Launched by,Government of Haryana
Beneficiary Citizens of Haryana
Objective Providing employment opportunities
Article Haryana eKarma Yojna Online Registration2020
Official Website https://ekarmaindia.com/

Objective of Haryana eKarma Yojna 2020

Haryana eKarma Yojna ka udeshya Haryana ke Graduate / Post Grauate Berojgar Yuvaon ko Freelancing Platform par Shikshit karna hai. Jaise upwork.com, Guru.com, freelancer.com aur Freelancing/ Self Employment/ Employment Opportunities ke avsar ko utpan karna hai.

EKarma Program ke tahat Yuvaon ko Training di jayegi, Jiske madhyam se ve apni Earnings shuru kar payenge. Aur Students apni Padhai bhi Finance kar sakte hain, Jis se Rajya me Berojgari ki samashya kam hoti jayegi. Is yojna ke successful implementation ke baad kai Startup khole jayenge.

Benefits and features of Haryana eKarma Yojna

  • Haryana eKarma Yojna ke tahat Students ko Freelancing se related Training prdan ki jayegi.
  • Higher Education Department dwara training ke baad Certificate bhi diya jayega.
  • Training pura hone par Freelancing se Earnings bhi kar payenge.
  • Is Yojna ke tahat freelancing portal par Online Profile, Building, aur Order lena sikhaya jayega.
  • Training lagbhag 6 Mahine tak diya jayega.
  • Isme lagbhag 3,000 Candidates ko training di jayegi.
  • Aur Beti Bachao Beti Padhao Yojna ke tahat Students ko Priority diya jayega.
  • Is Yojna me Berojgari ki samashya kam hogi, Aur Students Aatmnirbhar banege.

Haryana eKarma Yojna Eligibility Criteria

  • Aavedak ko Haryana ka ek Permanent Nagrik hona anivarya hai.
  • Aavedan karne bale Candidates ka Age lagbhag 18 se 30 Varsh honi chahiye.
  • Candidates ko kisi bhi College me Register hona anivarya hai.

Important Document

  • Aadhar Card
  • Education Certificate
  • Age Certificate
  • Residence Certificate
  • Mobile Number

How To Apply For Haryana eKarma Yojna 2020 ?

Ichhuk Candidates niche bataye gaye Steps ko follow karke Haryana eKarma Yojna me online Registration kar sakte hain.

  • Diye gaye link se official site par visit karen.
  • https://ekarmaindia.com/
  • Website ke home page se Join EKarma ke link par click karen.
  • Registration Form Screen par open ho jayega.
  • Aap Form ko niche tak Scroll karke puchhi gayi saari Details Jankari enter karen.
  • Ab final Submit bale button par click kar den.
  • Haryana eKarma Yojna ke tahat aapka Registration pura ho jayega.
Online Registration Click Here
Official Website https://ekarmaindia.com/

Procedure to Apply for Courses

  • Haryana eKarma ke official website par visit karen.
  • https://ekarmaindia.com/
  • Homw page se Our Courses bale Section me jayen.
  • Is prakar ka ek List dikhai dega, Yaha aap apne Pasand ke Courses ke niche se Apply Now par click karen.
  • Screen par Students Enrolment Form Open ho jayega.
  • Isme puchhi gayi saari details jankari ko enter karke Submit bale button par click kar den.
  • Aapka aavedan pura ho jayega.

Official Link:- https://ekarmaindia.com/

Aap sabhi is tarah se Haryana eKarma Yojna me online Registration kar sakte hain, Jiski puri jankari is page me share kiya gya hai. Yadi is yojna ko lekar aapke paas koi Saval hai, To niche Comment Section me puchh sakte hain.

Contact eKarma:-

  • Appworx 4th Floor, Plot No. 10, Rajiv Gandhi Chandigarh Technology Park, Chandigarh
  • Phone No:- +91-8283806888
  • Email:- info@ekarmaindia.com

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment