Contents
Jharkhand Mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna 2022:- Kendra Sarkar ki tarah Jharkhand Sarkar ne bhi apne Rajyo ke Kisano ko aarthik madad ke liye Mukhyamantri Krishi Ashirwad Yojna lagu kiya hai, Is Yojna ke antargat Jharkhand Rajya ke sabhi Kisano ko labh pradan karaya jayega.
Aur is Yojan me Jharkhand Sarkar ne waha ke Kisano ki aarthik sahayata ke liye unke Per Acre Khrif Phasal ke liye Minimum Rs. 5000 Rupaye aur Maximum Rs. 25,000 Rupaye tak ki Rashi pradan karne ka nirnay liya hai. Jiske bare me sabhi jankari jaise Krishi Aashirwad Yojna ka Form, Application Status, Labharthi List ityadi jaise aur bhi details jankari aap sabhi ko is post ki madad se diya ja raha hai.
Aapko bata den ki Krishi Aashirwad Yojna ka labh Kisan ko Minumum 5 Acre ke liye rakha gya hai, Jabki iska labh lagbhag 14 Lakh Kisano ko badi saugat dene ki kosish me rakha gya hai.
Jharkhand Mukyamantri Krishi Ashirwad Scheme 2022
Aap sabhi ko bata den ki Jharkhand ke Purv Mukhyamantri Shree Raghubar Das Ji ki pahal par hal hi me Vice President Venkaiah Naidu ke dwara is Aashirwad Yojna ka subharambh kiya gya hai. Jo Kisano ki Income ko aane bale dino me double karne ja raha hai, Aur is Yojna ke jariye Rajya Sarakar dwara aur bhi kai Yojnao ka labh pradan kiye jayenge.
Is Yojna ke antargat Sarkar ne Kisano ke liye 0% byaj daron par Phaslo ka Loan ka faisla liya hai, Aur Kisano ki Financial Madad Direct Benefit Transfer (DBT) ke madhyam se ki jayegi. Sidhe taur par ham kah sakte hain ki yah ek aisi Yojna hai jo Direct Benefit Transfer kiya jayega.
Name of Scheme | Chief Minister Agricultural Blessing Scheme Jharkhand (MMKAY) |
Started by | Chief Minister Raghuvar Das |
Beneficiary | Small And Marginal Farmers |
Subsidies | Rs. 5000 /- Years |
Helpline No. | 0651-2490024 (Toll Free) |
Official Website | mmkay.jharkhand.gov.in |
Benefits of mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna
- Is Yojna ka labh Kisano ko per acre kam se kam Rs. 5000 /- Rupaye se lekar Maximum 25,000 /- Rupaye tak aarthik maad diya jayega.
- Aur Mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna ka labh Adhikatam 5 Acre ya 5 Acre se kaam bale Kisano ko diya jayega.
- Is Yojna ka labh lagbhag 2022 tak diya jayega kyonki Sarkar ka main udeshya hai ki Kisano ko Income 2022 tak duble ho sake.
- Yah Yojna ka labh Pradhanmantri Kisan Samman nidhi Yojna se alag diya jayega.
- Aur is Yojna ke dwara unhi Kisano ka labh pradan karaya jayega jinki Bhumi 2019 se pahle Registered hai.
Required Documents
- Identity Proof – Voter Card/Driving License / NAREGA Job Card/ Any other ID card issued by Central /State / UT government.
- Aadhar Number
- Bank Account Number with IFSC Code
- Residential Proof
- Mobile Number
Important Data of Chief Minister Krishi Aashirwad Yojana –
- Krishi Aashirwad Yojna me Kisano ko prati acre Khrif Phasal ke liye Minimum Rs. 5000 Aur Maximum 25,000 Rupaye ki Rashi prdan ki jayegi
- Is Yojna ka labh prapt karne ke liye Minimum 5 Acre Bhumi ke liye bhatta prapt hoga.
- Iska labh Kisan ko Upcoming 4 Varso tak diya jayega.
- Total 22 Lakh 76,000 Hajar Kisan Mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna me shamil honge.
- Aur 13.60 Lakh Kisano ko 442 Crore Rupaye ki Rashi unke Bank Account me direct transfer kiya jayega.
- Abhi tak 15 Lakh Kisano ki data entry ho chuka hai, Aur process abhi jaari hai.
How To Apply For Chief Minister Krishi Ashirwad Yojana
Mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna ka labh Laghu aur Simant Kisano ko hi diya jayega, Aur is Yona ka labh prapt karne ke liye Kisano ko iske official website par jana hoga, Jabki is Yojna ka koi adhikatam sima nahi hai. Iske liye Rajya Sarkar dwara bahut jald aavedan form aamantrit kiya jayega. Aavedan Form online bharne ke liye niche tarika batlaya gya hai.
- Is Yojna ke liye aapko Jharkhand ke official website https://mmkay.jharkhand.gov.in/ par jana hoga.
- Iske home page par jane ke baad aapko aavedan form ke link par click karna hai.
- Aap Aavedan Form me puchhi gyi saari details ko bharen.
- Iske baad aap apna sabhi aavashyak document upload karen.
- Aur sabhi jankari ko bharne ke baad submit par click kar den.
- Is prkar se aap is Yojna ke liye aavedan kar sakte hain.
Official Website | Click Here |
Frequently Asked Questions
Q. Krishi Aashirwad Yojna kaun se Rajya me chal rahi hai.
Ans:- Yah Yojna is samay Jharkhand me lagu hua hai.
Q. Is Yojna se tahat Jharkhand ke Kisano ko Maximum kitna tak aarthik labh mil payega.
Ans:- Is Yojna ke madhyam se Jharkhand Rajya ke Kisano ko Maximum 25,000 Rupaye tak labh mil payega.
Q. Mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna ki Rashi Kisano tak kis prakar pahuchaya jayega.
Ans:- Is Yojna ke tahat DBT Ke madhyam se direct unke Bank Account me paise transfer ki jayegi.
Q. Is Yojna se sambandhit adhik jankari kaha uplabdh hai.
Ans:- Iske official website mmkay.jharkhand.gov.in par.
Conclusion
Aap sabhi ko is post me Jharkhand Mukhyamantri Krishi Aashirwad Yojna se sambandhit sabhi jankari pradan karaya gya hai, Yadi aap iske bare me aur adhik jankari prapt karna chahte hain to diye gye direct link se iske official site par ja sakte hain, Ya fir aap niche comment box se bhi puchh sakte hain.