Sarkari Yojna

Jharkhand Rojgar Portal Online Registration | Check Rojgar Mela List @jharkhandrojgar.nic.in

Jharkhand Rojgar Portal Online Registration:- Hello Guys, Yadi aap Jharkhand Rajya ka ek nagrik hain, Aur kisi Rojgar ki talash kar rahe hain to aapki suvidha ke liye hi Jharkhand Sarkar ne Jharkhand Rojgar Portal ko launch kiya hai, Jise se aapko kafi madad mil sakti hai. Yadi aap janana chahte hain ki yah Rojgar Portal kya hai, To is article se iske bare me puri jankari prapt kar sakte hain.

State Government of Jharkhand ke dwara rajya ke yuvaon ke liye shuru ki gyi is Rojgar Portal ke madhyam se aap Jharkhand Rajya me nikali gyi kisi bhi Rojgar/ Naukri ki khabar ko apne mobile se pratp kar sakte hain. Kyonki “Jharkand Rojgar Portal” ka mukhya udeshya Rojgar chahne bale yuva ko Rojgar ka avsar pradan karna hai.

Is portal ki madad se Naurki ke liye ichhuk candidates aasani se Rajya me naukri aur naukri ke bare me update prapt kar sakenge. Lekin iske liye pahle Jharkhand Rojgar Portal par Online Registration karna hoga. Sath hi is online portal ke madhyam se Naukri ke liye registration aur application form bhi bhar sakte hain. Registration karne ki step by step jankari is post me niche diya gya hai.

Jharkhand Rojgar Portal Online Registration

Aapko bata den ki Jharkhand Sarkar ne mukhya roop se yah Jharkhand Rojgar Portal ko Rajya ke un logo ke liye launch kiya hain, Jo apni Padhai puri kar kisi Rojgar/ Naukri ki talash kar rahe hain. Taki Rajya ke sabhi educated youth Jharkhand Rojgar Portal ki madad se Rojgar ka avsar prapt kar saken.

Isliye hamne bhi is article me Jharkhand Rojgar Portal Log in Process aur Rojgar Mela List ke liye Registration and Application Process ki puri jankari pradan karaya hai. Jiske madhyam se aap bhi is Online Portal par Registration karke Rojgar ke bare me latest information prapt kar sakte hain.

Overview of Jharkhand Rojgar Portal

Article Jharkhand Rojgar Portal
Launched By State Govt. of Jharkhand
Department Name Directorate of Employment & Training Department of Labour Employment & Training
Beneficiary Unemployed Youth of The State
Objective Providing employment opportunities
to unemployed youth
Registration Process Online
Official Websitehttp://jharkhandrojgar.nic.in/

Jharkhand Rojgar Portal Online Registration Process

Yaha bataye gye steps ko follow karke Jharkhand Rojgar Portal par online Registration kar sakte hain.

New Job Seeker Online Registration Process:-

  • Jharkhand Rojgar Portal ke official site http://jharkhandrojgar.nic.in/ par jayen.
  • Website ke home page par “New Job Seeker” bale option par click karen.
  • Ab aap Candidate Registration Wizard parge chale jayenge.
  • Is form ko aapko Personal Detail me District, Exchange ko select karke Aadhar No, First, Middle & Last Name, Father Name, DOB, Email, Mobile No, Gender, Marital Status, Religion, Urban/Rural, Caste, Mother’s Name Supose Name etc. details ko enter karen.
  • Iske baad Address of Communication me Address 1, Address 2, City, State, District, Post Office and Pin Code ko enter karen.
  • Ab Qualification Details me Qualification Level, Exam Passed, Stream, Passing Year Percent ko add karen.
  • Last me Login Detail me User ID, Password & Conform Password enter karen.
  • Ab I Agree Section par click karen, Aur Submit button par click kar den.

Now Click on the Other Details tab on the top of the Registration Page.

Sabhi personal details enter karne ke baad Other Details Tab par click karen.

  • Isme aapko Experience Details me Enter the Sector, Experience Type, Name of the Employer, From and To Dates of Experience, Experience in Months, Post/Designation, NCO, Pay on Leaving add karna hai.
  • Iske baad Disability Details me Yas/ No par click karen.
  • Ab Additional Information Details Section se Expected Minimum Salary, Local Jobs (Rs per month), Outside Jobs (Rs per Month) details enter karen.
  • Iske baad Language Details ko apni Language ko choose karen.
  • I Agree Section ke Check Boxes par click karen.
  • Last me Submit par click kar den.

Login on Jharkhand Employment Portal

  • Successful Registration ke baad User ID & Password ka upog karke Login karen.
  • Ek baar Login karne ke baad aap dashboard me Job aur Job Mela ke liye application form bhar sakte hain.

Update Mobile Number for Job Alerts

Jharkhand Rojgar Portal par Job Alerts prapt karne ke liye apne Mobile Number ko update karne ke liye niche bataye gye steps ko follow karen.

  • http://jharkhandrojgar.nic.in/ par sabse pahle jayen.
  • Howm page se “Update Mobile” par click karen.
  • Aapke samne ek new page open hoga, Is type ka.
  • Isme Mobile No./ Registration No/ DOB/ First Name/ Father’s Name enter karke Submit par click kar den.
  • Aapka Number update ho jayega.

Jharkhand Rojgar Mela List 2020

Aap niche diye gye Rojgar Mela List ko check kar sakte hain, Jo Jharkhand Sarkar ke dwara nikali gyi hai.

Name Dates
Giridh Employment Fair Recruitment16-12-2020
Simdega Employment Fair 202015-12-2020 & 21-12-2020

Apply Link:-

Jharkhand Rojgar Portal RegistrationClick Here
Update MobileClick Here
Official WebsiteVisit Here

Contact Address:-

Name:- Sri S. B. Jha
Mobile No:- 9431352006
Email:- sbjha.2010@rediffmail.com
Designation:- Assistant Director
Name:- Sri Nilamber Prasad Mahto
Mobile No:- 9470372491
Email:- nilamber.5455@gmail.com
Designation:- Employment Officer

Is tarah aap latest Job ki jankari prapt karne ke liye Jharkhand Rojgar Portal par jakar online Registration kar sakte hain. Lekin agar Registration karne me koi problems hoti hai to comment ke through saval puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment