Contents
Kisan Credit Card 2020:- Bharat ke kisano ko kisan credit card jari kiya jata hai taki ve apni agricultural needs ko pura karne ke liye kam vyaj daro par kisi bhi Bank se KCC Loan prapt kar sake. KCC ke madad se aapke interest me 2% tak ki chhut di jati hai. Yah KCC Yojana sirf Bharat ke kisano ke madad ke liye shuruat ki gayi hai. Hal me hi RBI ne Covid19 lockdown ke chalte Bharat ke kisano ko ke liye official notice jari kiya hai, Jise aap niche is post me dekh sakte hai.
Jaisa ki aap dekh sakte hai, Pura desh Corona virus ki vajah se kathin samay se gujar raha hai aur Lockdown ke karan desh bhar me sabhi industrial/agricultural/ financial operations aadi sab band hai. Aise me bahut sare kisan financial conditions se jhuj rahe hai. Isliye desh ke logo aur sansthano ko rahat dene ki ghoshna ki hai.
Reserve Bank of India (RBI) ne sabhi Loan payment par 3 mahine ki mohlat dene ki ghoshna ki hai. Isliye jitne bhi Bharat ke kisan KCC ka upyog kar rahe hai, un sabhi kisano ko bhi is Corona Relief ke tahat cover kiya gaya hai.
RBI की इस राहत पहल के तहत ऐसे किसान जिनके ऋण की चुकौती (केसीसी के आधार पर loan) 1 मार्च 2020 से 31 मई के बीच की समय अवधि के अंतर्गत है, उनको ऋण के भुगतान के तीन महीने की छूट दी गयी है| यदि कोई किसान लॉकडाउन के कारण भुगतान करने में असमर्थ है तो वह इस अवधि में भुगतान छोड़ सकता हैं| इस योजना कि पुरी जानकारी प्राप्त करने के लिए इस पोस्ट को अंत तक जरुर पढ़े.
KCC – Kisan Credit Card 2020
RBI ke is Corona rahat package ke tahat, Jin kisano ka repayment 1st March 2020 aur 31st May 2020 ke bich time period me gir raha hai, Ve chahe to bhugtan chor sakte hai.Adhik jankari ke liye, Sabhi kisano ko apne sambandhit Bank se contact karna hoga. Yah anivary nahi hai, Yadi koi kisan bhugtan karne me saksham hai, To vah iska bhugtan kar sakta hai. Yah relief package nimnlikhit prakar ke bank loan payments par pradan ki gayi hai:-
- Bullet repayments
- Credit Card Statements
- Principal and/or interest components
- EMIs (Equated Monthly Installment)
Nagriko ko yah bhi dhyan dena hai ki RBI ne keval 3 Mahine ke liye interest ke payment ko sthatgit karne ke liye antrim rahat pradan ki hai. Isliye iska matlab yah nahi hai, ki Kisan Credit Card par interest maaf kar diya jayega. Diye gaye date ke bad sabhi kisano aur logo ko Interest chukana hoga.
KCC – Relief Package Overview
Scheme | Kisan Credit Card (KCC) |
Year | 2020 |
Launch date | 14th August 1998 |
Purpose | Bank loan for agriculture |
KCC Validity | 5 years |
Official website | https://pmkisan.gov.in/ http://www.agricoop.gov.in/ |
RBI Corona Relief Package duration | 1st March to 31st May 2020 |
Kisan Credit Card 2020 Features
KCC Yojana 14th August 1998 ko shuru ki gayi thi aur is yojana ka model National Bank for Agriculture and Rural Development (NABARD) ke dwara banaya tha. Yah yojana kisano ko Loan sahayata pradan karne ke liye financial support pradan karti hai. Agriculture, Fisheries aur Animal Husbandry se jude kisan is yojana ke tahat shamil hai. Is yojana ke tahat fasalo ke liye crop loan aur term loan pradan kiya jata hai.
Is Yojana ke tahat do prakar ke Loan pradan ki jati hai, yani ki Cash Credit aur Term Credit. Yadi aap is yojana ka labh uthana chahte hai to iske liye online application form bhar sakte hai, Jiske bad Kisan Credit Card ki madad se kai Loan ki suvidha ka labh utha sakte hai.
Importance of Kisan Credit Card
- Kisan credit card ka upyog karte huye, Kisan kam vyaj daro par Bank se Loan le sakte hai.
- KCC dharko ko pratyek fasal ke liye alag se Loan ke liye aavedan nahi karna padta hai.
- KCC ki madad se kisan seeds, agriculture equipment, fertilizers aur kheti aur any sampati kharid sakte hai.
- Yah kisan ke karj ke bhoj ko kam karne me bhi sahayak hai.
Document Required to get Kisan Credit Card
KCC ke liye aavedan karte samay, Aavedak kisano ko jaruri documents ki aavashykta hoti hai:-
- Duly filled-in KCC application form
- Any of the following id proof- Aadhaar Card, Voter ID card/ Driving License / PAN card / Passport, etc.
- Any of the following Id proof- Voter ID card / Aadhaar card / Driving license/ Passport etc.
- Passport-sized photograph of the applicant
- Land documents
- Other documents as prescribed by the bank.
How To Apply For Kisan Credit Card Yojana Online?
Kisan Credit Card Online apply karne ke liye niche diye gaye link aur bataye gaye Steps ko follow kare:-
- Sabse pahle PM Kisan ke official site par visit kare.
- https://pmkisan.gov.in/
- Iske homepage par “Download KCC Form” ke link par click kare.
- Aapke samne PDF form me application form show ho jayega.
- Form ko print kar len.
- Form bharne ke bad jaruri document attach kar den.
- Aur apne Bank jakar jama kar den.
- Form Bank me jama karne ke bad, Aapko Kisan credit card de diya jayega.
KCC Application form | Click Here |
Kisan credit card helpline number
किसान क्रेडिट कार्ड हेल्पलाइन नंबर –
Toll-Free – 1800 115 526
Tolled Helpline Number – 0120-6025109/155261
Help desk Email address – pmkisan-ict@gov.in