Sarkari Yojna

Krishi Input Anudan Yojna Aavedan 2022 – कृषि इनपुट अनुदान ऑनलाइन आवेदन

Bihar Krishi Input Anudan Online Aavedan 2022:- Krishi Input Anudan Yojna ko Bihar Sarkar dwara Rajya ke Kisano ko Labh Pahuchane ke liye shuru kiya gya hai. Is Yojna ke tahat Rajya me Untimely Varsha aur Olavrishti ke karan jin Kisano ki Faslon ko kafi nuksan hua hai un sabhi ko Rajya Sarkar dwara Prati Hectare ki Dar se Anudan Rashi pradan ki jayegi.

To Bihar Rajya ke kaun kaun se District me is Yojna ke antargat Labh pahuchaya jayega jiski Sabhi jankari is article me aap sabhi ke bich Share kiya ja raha hai. Sath hi yaha par Bihar Rajya jaise kuchh aur Rajya ke bare me bhi jankari di jayegi. Yadi aap is Krishi Input Anudan Online Aavedan 2022 ke bare me janana chahte hain to is post ko last tak jarur padhe.

Krishi Input Anudan Yojna Bihar 2022

Desh ke bahut se aise Rajya hai jaha Untimely Varsha, Olavrishti hone ke karan Kisano ki Ravi Fasal 90% se jyada Khrab ho chuke hain, Jiske liye Bihar ke Mukhyamantri Nitish Kumar ne Rajya ke Kisano ko Labh pahuchane ke liye Krishi Input Anudan Yojna ki ghosna ki gyi hai. Kyonki Fasal kharab hone ke babjud Kisan ki aarthik sthiti kamjor ho jati hai, Isi ko dhyan dete huye Rajya Sarkar dwara Aavedan Form jaari ki gyi hai. Aise me Kisan Krishi Input Anudan ke liye Online Aavedan kar sakte hain.

Update:- Yah Krishi Input Anudan Yojna Bihar Ke 11 Districts Aurangabad, Bhagalpur, Gaya, Buxar, Jehanabad, Kaimur, Patna, Muzaffarpur, East Champaran, Samastipur And Baishali Ke Kisano Ke Liye Rajya Sarkar Ne Shuru Ki Hai. In Saari District ke Jinte Bhi Kisano Ki Fasal Nuksan Hua Hai, Uski Bharpai State Government Scheme ke Madhyam Se Kiya Jayega. Jiski Saari Information Is Page Me Provide Karya Gya Hai.

Kisan Input Anudan Yojna 2022 – Overview

Name of SchemeKrishi Input Anudan Yojna
Started byChief Minister of Bihar Nitish Kumar
Name of DepartmentAgriculture Department Bihar Patna
BeneficiaryRajya Ke Sabhi Register Kisan
Application ProcessOnline Mode
StateSirf Bihar
Official Websiteबिहार
StatusAvailable
Official Websitewww.dbtagriculture.bihar.gov.in

कृषि इनपुट अनुदान रवि मौसम (असमय वर्षा/ओलावृष्टि/आंधी) ऑनलाइन आवेदन ?

Jaisa aapko upar batlaya gya ki Olavrishti ke karan Bihar, Uttar Pradesh Aur Rajasthan jaise State me jaha Faslon ko bahut jyada Nuksan hua hai, Jisme lagbhag Kisano ko 90% se Jyada Fasal ki hani huyi hai. Isliye Bihar Sarkar ne in Kisano ko Krishi Anudan dene ka nirnay liya hai, Jiske liye bahut jald Online Aavedan shuru hone ja raha hai.

Jabki Rajasthan Sarkar dwara Kisano ki Faslon ko Olavrishti se ho rahi Nuksan ke liye Special Girdawari Abhiyan Chalane ka nirnay liya gya hai.

Aur UP Government ne in sabhi Kisan ke liye Helpline Number jaari ki hai, Jiske tahat Rajya ke Kisano ko in saari Nuksan ke 3 Dino ke andar Information Insurance Company ke Toll Free No. 1800 120 90 90 90 itna par Call karke Registered karbana anivarya hai.

राजस्थान सरकार के द्वारा 10 से 15 दिनों तक विशेष गिरदावरी अभियान चलाया जाएगा

Aapda Prabandhan Minister Master Bhanwarlal Meghwal ne Vidhansabha me kaha ki Rajasthan Sarkar aur Aapda Prabandhan dono milkar in sabhi Kisano ko jo Nuksan huye hain unhe iski Bharpai ki jayegi. Sath hi yah bhi bataya ki 10 se 15 Dino me Vishesh Roop se Girdawari karke Kisano ko huye Nuksan ka Pura Muvaaja diya jayega. Aur jin Mahilaon par Celestial lightning (आकाशीय बिजली गिरने) se Death huyi hai unke Family Members ko 4 Lakh Rupaye ki aarthik Sahayata pradan ki jayegi.

Bihar Krishi Input Anudan Yojna 2022

Is baar Bihar me Untimely Varish aur Olavrishti ke karan Kisano ke Ravi Fasal ko 33% se adhik Nuksan pahucha hai, Jiski Bharpai Rajya Sarkar dwara kiya ja raha hai.

Rajya ke Kisan Krishi Input Anudan Ravi Fasal Yojna 2022 ka Labh uthane ke liye DBT Agriculture Department Bihar ke official website par jakar online aavedan kar sakte hain, Jiska official link is page me niche provide karaya gya hai.

कृषि इनपुट सब्सिडी योजना की पात्रता 

Krishi Input Subsidy Yojna ke liye Kisan ko eligibile hona jaruri hai, Aur Ravi Session me Olavrishti aur Varish ke karan jin District me Fasal ka adhik Nuksan hua hai, Un sabhi District ko Ravi Input ke liye shamil kiya gya hai. Jo niche diya gya hai.

Krishi Input Anudan Yojna me Bihar ke in District Shamil hai:-

  1. Aurangabad
  2. Bhagalpur
  3. Gaya
  4. Buxar
  5. Jehanabad
  6. Kaimur
  7. Patna
  8. Muzaffarpur
  9. East Champaran
  10. Samastipur
  11. Baishali

DBT Agriculture Bihar, Krishi Input Online Apply Ravi Fasal 2022?

DBT Agriculture Bihar ke official website se Krishi Input Anudan Yojna 2022 ka aavedan karne ke liye niche step by step tarika batlaya gya hai, Sath hi official link bhi niche share kiya gya hai.

  • Sabse pahle DBT Agriculture Bihar ke official website par visit karen.
  • Aur iske home page par jane ke baad Krishi Input Anudan bale option par click karen.
  • Ab aap Online Aavedan Karen par click karke Second bale tab par click karen.
  • Yaha par ek page open ho jayega.
  • Yadi aap Register hain to isme apna Registration Number enter karen.
  • Ab Screen par Application Form open ho jayega.
  • Isme puchhi gyi saari jankari ko bharen.
  • Sabhi Jankari enter karke Submit par click kar den.
  • Iske baad yadi aapke aavedan form me kisi prakar ki error rahti hai to aap 48 Ghante ke andar Sudhar karba sakte hain.

Official Website:- https://dbtagriculture.bihar.gov.in/

कृषि इनपुट सब्सिडी योजना की मुख्य तथ्य

  • Yojna ka Labh lene ke liye Kisan ko DBT Bihar ke official site par aavedan karna hoga.
  • Registration ke liye koi fee nahi hai, Sirf Aadhar Number se kiya ja sakta hai.
  • Registration karne ke baad 13 Degit Number diya jayega.
  • Is Number se Ravi Input ke liye aavedan kar sakte hain.
  • Kisan ka Bank Account Aadhar Card se Link hona anivarya hai.
  • Kyonki is Yojna ka Labh direct Kisan ke Bank Account me transfer ki jayegi.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment