Contents
Kusum Yojna Online Registration 2020:- Jaha ek taraf pura world COVID-19 jaise Mahamri ke Khilaf Jung lad raha hai, Bahi Bharat me is Sankat ko kam karne ke liye tarah tarah ke Pryash kiye ja rahe hain. Lekin isi bich Kendra Sarkar dwara shuru kiye gye PM Kisan Urja Suraksha Evam Utthan Mahabhiyan yani Kusum Yojna ka Kaam bhi bahut teji se aage ki taraf badh raha hai. Jiske madhyam se Desh ke Kisano ko Labh pahuchane ke liye Registration Process start kar di gyi hai.
Is Yojna ke jariye Electricity ki kami ko side kiya jayega, Sath hi Kisan isse adhik Electricity ki utpadan karke ise Sell bhi kar sakte hain. Jisse Kisano ki Income me Vridhi hogi aur Kisano ki Kheti ke sath sath Additional Revenue bhi mil payega. Kisan abhi bhi Kusum Yojna ke tahat Solar Pump Yojna ka Labh prapt kar sakte hain.
Iske liye jo bhi Kisan abhi tak Aavedan nahi kiya hai ve iske Last Date se pahle Kusum Yojna ke liye Registration kar sakte hain. Kyonki Sarkar dwara is Yojna ko Lagu karke Barren Land (बंजर जमीन) ko upyog me lane ka Pryash kiya ja raha hai. Jiske bare me saari jankari is page me niche provide karaya ja raha hai.
Kusum Yojna Online Registration 2020
Aapko bata den ki Sarkar ki taraf se Kusum Yojna 2020 ke tahat Desh ke 20 Lakh Kisano ko Solar Pump uplabdh karbane ka Lakshya rakha gya hai, Kisano ko is Yojna me Stand Alone Pump ke sath sath Grid ki bachi huyi Urja ko bechne me Sarkar dwara help kiya jayega. Kusum Yojna ki shuruaat Saal 2018-19 me Purv Finance Minister Arun Jaitly dwara hi kiya gya tha, Lekin hal hi me Present Finance Minister Nirmala Sitharaman Ji ne is Yojna ko purn roop se jaari karne ki ghosna ki hai.
Kusum Yojna 2020 Highlights
Name of Scheme | Kusum Yojna 2020 |
Launched by | Finance Minister Shri Arun Jaitly |
Launched Dates | 2018 -19 |
Category | Centeral Government Schemes |
Objective | Discounted Prices Par Solar Irrigation Pumps Uplabdh karna |
Official Website | https://mnre.gov.in/ |
What Is Kusum Scheme (कुसुम योजना क्या है)?
Yah Kusum Yojna ko Desh ke Kisano ki Viksit karne ke liye Sarkar dwara chalai gyi hai, Desh me Pani ki Samasya hone par Kisano ko Kisi bhi Fasal ki utpadan karne me bahut jyada pareshan hona padta hai, Aur Varish ke karan bhi Kisan ki Fasal khrab ho jata hai. To is Yojna ke tahat Sarkar Kisano ko Solar Panel lagayegi jisse Kisan Solar Energy ka utpadan karke Built Power ka upyog karke apna Kehti kar sakte hain.
Is Yojna se Ganb ke Electricity Supply puri tarah se ho sakega, Jiska Benefit waha ke Kisano ko hoga or Isme Grid ki Surplus Power ko Kisan Sell karke Additional Benefits bhi prapt kar payenge. Jabki Sarkar Kusum Yojna me Kisano ke Lagat ka 60% Subsidy ke roop me Bhugtan karegi.
Key Fact of Kusam Yojna 2020
- Kusum Yojna me Kisano ke Bank Account me Subsidy pradan kiya jayega.
- Is Yojna me Solar Energy ka Plant Kisan ki Banjr Jamin par lagaya jayega.
- Isme Kisano ko Bank dwara 30% ka Loan di jayegi.
- Aur 60% Rashi Central Government dwara Subsidy par di jayegi.
- Baki 10% Rashi Kisan ko Vahan Karni Hogi.
- Is Yojna me Kisano ki Banjr Jamin par 10,000 MW Solar Energy Plant lagaya jayega.
- Aur isse 28 Hajar MW Electricity ka Production kiya jayega.
Required Document For Kusum Scheme
- Income Certificate
- Aadhaar Card
- Bank Passbook
- Beneficiary’s Permanent Address
- Passport Size Photo
- Mobile Number
How To Apply For Kusum Yojna 2020 Online?
Desh ke jo bhi Kisan is Kusum Yojna 2020 ka Labh uthana chahte hain to iske liye unhe sabse pahle iske official website par jakar online aavedan karna hoga. Aavedan karne ke liye aap niche bataye gye step aur diye gye link ka upyog kar sakte hain.
- Niche diye gye link se iske official website par visit karen.
- Iske home page se Online Registration bale option par click karna hai.
- Click karne ke baad Registration Form open ho jayega.
- Isme puchhi gyi saari Details ko sahi se bharen.
- Iske baad aap apne form ko Recheck karke Submit par click kar den.
- Aapka Registration is prakar se pura ho jayega.
- Phir Register Labharthi ko Solar Pump ki 10% Rashi pradan kiya jayega.
Offline Application Form:-
Yadi aap bhi ek Kisan hain aur Offline Mode se Kusum Yojna ke liye Application Form bharna chahte hain to aap direct Electricity Department ya MNRE Department se Sampark kar sakte hain. Iske baad aap Offline aavedan form bhi bhar sakte hain.