Madhya Pradesh Rojgar Portal 2020:- Madhya Pradesh Mukhyamantri ke nirdesh ke anusar Rajya ke Berojgar Yuvaon ko apni Rojgar ka avasar pradan karne ke liye MP Rojgar Online Portal 2020 ko Launch kiya gya hai. Is Portal ke madhyam se Rajya ke koi bhi Berojgar Yuva Registration karbakar ek achhe Rojgar prapt kar sakte hain.
Aap jante hain ki hamara Desh World ka sabse bada Lokatantrik Desh me se ek hai, Lekin aisa lagta hai ki jitni kul Desho ki Population nahi, Usse jyada yaha par Berojgar Yuvak aur Yuvtiyan ki Sankhya hai. Isi ko dekhte huye Madhya Pradesh Sarkar ne apne Rajya ke Yuvaon ke liye is Rojgar Online Portal ko shuru kiya hai, Jiske jariye Rajya ke Berojgar Logo ko Rojgar ke uplabdh karbaya jayega.
Madhya Pradesh Rojgar Portal Registration 2020
Rajya ke jo bhi Yuva Naukri ki khoj kar rahe hain unke sath MP Rojgar Online Portal par Naukri dene bali Company ki sabhi aavashyaktaon ko bhi pura kiya ja sakta hai. Aur sabhi Candidates ko Rojgar Registration ke liye kisi bhi Rojgar Office jane ki jarurat nahi, aur na hi kisi prakar ki Samasyaon ka samna karna hoga.
Madhya Pradesh ke jo bhi Berojgar Yuvar Rojgar prapt karne ke liye apna Registration karna chhate hain to vah ab apne Ghar baithe MP Rojgar Portal par jakar apna Registration kar sakte hain. Jo is article me Rojgar Portal 2020 se sambandhit sabhi jankari ke sath official link bhi share kiya gya hai, Aap aasani se Eligibility, Educational Qualification ki janch karke Rojgar ke liye online Registration kar sakte hain.
MP Rojgar Portal 2020 – Overview
Name of Portal | Madhya Pradesh Rojgar Portal |
Produced by | Skill Development And Employment Generation |
Beneficiary | Berojgar Yuva |
Lakshya | Yuva Empowerment Mission |
Registration Process | Online Mode |
Official Website | http://mprojgar.gov.in/indexh.aspx |
Objective of Madhya Pradesh Rojgar Portal
Aapko bata den ki MP Government dwara Rojgar Portal ko Lauch karne ka mukhya udeshya hai ki Madhya Pradesh me Berojgar Yuvaon ko Rojgar prapt karne ke liye ek achha mauka pradan kiya ja sake, Sath hi wo apne Rojgar ke liye Registration Form aasani se bhar saken. Aur Rojgar uplabdh karbakar Yuva ko apne aap par Aatmnirbhar banana hai.
To Rajya Sarkar ne Rojgar ke liye Registration Process ko online jaari kar diya hai ichhuk Candidates MP Rojgar Portal 2020 par jakar apna Registration kar sakte hain.
Benefit of MP Rojgar Portal 2020
- Sabse pahle to Sarkar dwara is Portal par Registration karne ke liye koi Fee Pay nahi karna hoga.
- Is online portal ke lauch hone se Rajya ke Berojgar Yuva ko bina kisi Problem ko isse judi saari jankari prapt hogi.
- MP me Rojgar ki khoj karne bale Candidates is portal par apni Education Qualification Aur Training Experience ke anusar Registration kar sakte hain.
- Portal ke jariye Yuva apni Field, Job and Place ka Selection kar sakte hain.
- Rojgar Registration ke liye kahi jane ki aavashyakta nahi hogi.
- MP Rojgar Portal par Company ke Owner aur Rojgar ki khoj karne bale Candidates ko apne Account aur Jankari ko update kiya jayega.
Eligibility Criteria & Inportant Document
- Aavedak ko Madhya Pradesh ka Sthai Nivasi hona aavashyak hai.
- Aadhar Card
- Educational Qualification Certificate
- Mobile Number
- Pan Card
- Passport Size Photo
How To Register on MP Rojgar Portal 2020?
Madhya Pradesh ke jo bhi Yuva MP Rojgar Portal 2020 par Registration karne ke liye ichhuk hain ve niche bataye gye tarike ko follow karke Online Registration kar sakte hain.
- Aap is page me diye gye Link se MP Rojgar ke official website par visit karen.
- Iskme home page par jane ke baad Right Side se आवेदक पंजीयन के लिए क्लिक करे ke link par click karen.
- Click karne ke baad aapke Computer Screen par Application Form open ho jayega.
- Is Application Form me puchhi gyi sabhi Details jankari ko bharen.
- Application Form bharne ke baad Submit par click kar den.
- Iske baad aapko Log.in bale option par click karna hai.
- Log.in karne ke liye home page par jana hoga, Yaha par aapko Applicant Log.in bale option par click karna hai.
- Ab Log in Form open ho jayega, Isme aapko User Name or Password enter karna hai.
- Is prakar se MP Rojgar Portal par aavedan pura ho jayega.
Official Website:- Click Here
MP Rojgar Portal Registration महत्वपूर्ण जानकारी:-
Is Portal dwara kiye gye Registration Sirf 1 Mahine ke liye hi Valid hoga. Agar aapko MP Rojgar Registration ko Sthai taur par karna hai to aapko apne District ke Rojgar Karyalaya me jakar iski sabhi prakriya ko pura karna hoga. Yadi aap Districts ke Rojgar Karyalaya me jakar ek baar Register karbate hain to iska Valid 3 Varsh tak hoga, Bahi iske baad agar Naukri nahi mile to ise Renewal bhi karba sakte hain. Agar aap 3 Saal hone ke baad Register nahi karba pate hain to aapko phir New Registration karbana hoga.