Contents
Pravasi Majdur (All-State) Online Registration Form 2020:- Hello Friends, Ministry of Labor and Employment dwara Pravasi Majdur, Pryatak, Tirthyatri, Students ya anya koi bhi vyakti jo Lockdown Mahamari ke karan durse Rajyo me fase huye hain, To apne ghar vapas aane ke liye Online Registration karba sakte hain. Jo bhi Pravasi Majdur anya Rajyo me Lockdown ke chalte fase chuke hain, aur apna ghar aane ke liye soch rahe hain to is page me di gyi jankari aur official link ko follow karke apna Registration kar sakte hain. Isliye aap sabhi ko is article me puri jankari Hindi me di ja rahi hai, Sath hi State Wise official link bhi provide karaya ja raha hai,Taki aap apna form aasani purvak online bhar saken,
Jaisa ki ham sabhi jan rahe hain ki (COVID-19) Coronavirus Mahamari me bahut saare Pravasi Majdur jo anya Rajyo me jakar kaam karte hain wo is Mahamari ke karan waha fas chuke hain, Aur wo apna ghar vapas aana chahte hain, Lekin unke pass koi sadhan nahi hai Apne Ghar aane ka. Isliye unhe apne ghar tak pahuchane ke liye Kendra Sarkar or Grih Mantralaya dwara Migrant Worker Registration Form jaari kiya gya hai, Sath hi Helpline Number bhi jaari kiya hai. Taki sabhi ko apne apne ghar sukrakshit pahuchaya ja saken.
Pravasi Majdur Online Registration Form 2020
Grih Mantralaya ne apne aadesh me kaha hai ki jin Rajyo se Pravasi Shramik ko apne Rajya Vapas lane ki taiyari kiya hai, Yadi fase huye vyakti ek Rajya ya Kendra Shasit Pradesh aur dusre Rajya ke bich yatra karna chahte hain to dono Rajya ek dusre se paramarsh karegen aur Train ya Bus ke dwara fase huye logo ko apne Rajya ke liye bheja jayega. Sath hi sabhi logo ko gantvya sthan par Medical Janch hogi aur sandigdh vyaktiyon ko home quarantine kiya jayega iske liye aapko Online Pravasi Shramik Registration karna hoga. Aur Ministry of Labor and Employment ne ek official notification bhi jaari kiya hai jise aap is page me niche se dekh sakte hain.
High Authority | Home Ministry |
Name of Scheme | Migrant Workers Registration |
Objective | Anya Rajyo Me Fase Huye Log |
State | All State |
Beneficiary | Migrant workers, Pilgrims, Tourists, Students and Other Persons |
Mode of Registration | Online or Helpline Number |
Article Category | Migrant Worker Registration |
Official Website | https://labour.gov.in/ |
Pravasi Shramik Online Registration Notification
Aap sabhi ko bata den ki Grih Mantralaya ne 29 April 2020 Lockdown ke dauran adhikarik taur par Pravasi Shramik, Students, Pryatak and other wise kisi bhi vyakti ke interstate movement ke liye dishanirdesh jaari kiya hai. Aap yah bhi jan rahe honge ki Lockdown 3.0 ko bhi 17 May tak aur badha diya gya hai, Iske karan dusre Rajyo me fase Pravasi Majdur aur ghabra gye hain. Isliye sabhi Rajya Sarkar ne Pravasi Shramik ke liye Online Registration aur Helpline Number jaari kiya hai, Jiski madad se ve apna ghar aa sakte hain.
Abhi Rajasthan, Odisha, Kerala, Uttarakhand, Gujarat, Punjab, Jammu and Kashmir,Uttar Pradesh, Bihar, Maharashtra, Jharkhand, Chhattisgarh jaise in sabhi State ke Rajya Sarkar dwara Online Registration Form Shuru kar di gyi hai, Aur Pravasi Majduro ko khud se Register karne ke liye Helpline Number bhi jaari kiya hai. Jisse wo apne sanbandhit Rajya ke Nodal Adhikari se Sampark karke Registration kar sakte hain.
Who Can Register for Migrant Workers Movement
- Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
- Student (विद्यार्थी)
- Tourist (पर्यटक)
- Other Professional (अन्य पेशेवर)
Important Points For Migrant Workers Registration
COVID-19 ke chalte sabhi logo ko bahut saari samasya ka samna karna pad raha hai, Aur sabse jyada un sabhi logo ki hai jo apne ghar se bahar hain. Itna hi nahi anya Rajyo me fase sabhi Pravasi Kamgaron ko kafi samasya ka samna karna pad raha hai. Ab wo apna Rajya vapas jana chahte hain, Isliye Sarkar dwara Pravasi Shramik ko unke Rajya vapas bhejne ke liye puri taiyari kar li gyi hai. Aur Grih Mantralaya ne Shramiko ko vapas bhejne ke liye kuchh dishanirdesh bhi jaari kiye hain jise aap niche se pad sakte hain.
- Sabse aphle to Train aur Bus ko Sanitize kiya jayega.
- Aur Yatra se pahle Screening ki jayegi.
- Yatra karte samay sabhi yatriyo ko Social Distancing ka palan karna hoga.
- Aur ghar pahuchane ke baad Pravasi Majdur ya kisi bhi vyakti ko 14 dino ke liye quarantine Center me alag rakha jayega.
- Yadi kisi bhi vyakti niyam ka palan nahi karte hain to unpar sakht karbaaii ki jayegi.
- Iske liye sabhi yatra karne bale logo ko Arogya Setu App ka upyog karne ki salah di jati hai, Taki Screening and Tracking aasan ho jaye.
Pravasi Majdur Online Registration & Helpline Number (State Wise)
Name of State | Official Website |
Delhi | CLICK HERE |
Andhra Pradesh | Update Soon |
Haryana | Available Now |
Uttar Pradesh | Available Now |
Bihar | Available Now |
Kerla | Available Now |
Rajasthan | Available Now |
Chandigarh | Available Now |
Arunachal Pradesh | Available Now |
Odisha | Available Now |
Utrakhand | Available Now |
Himachal Pradesh | Available Now |
West Bengal | Available Now |
Assam | Available Now |
Chhattisgarh | Available Now |
Gujarat | Available Now |
Goa | Available Now |
Jharkhand | Available Now |
Karnataka | Available Now |
Madhya Pradesh | Available Now |
Maharashtra | Available now |
Manipur | 1800-345-3818 & Available Now |
Mizoram | Update Soon |
Punjab | Available Now |
Telangana | Available Now |
Tamilnadu | Available Now |
Jammu and Kashmir | Majdur – Available Now Students – Available Now |
श्रमिकों और छात्रों के लिए मूवमेंट के लिए उपलब्ध सेवाएं
राज्य सरकार ने श्रमिकों, छात्रों के अंतर्राज्यीय आवागमन के लिए बस सेवा शुरू की है। इस सेवा के लिए पंजीकरण करने के लिए हेल्पलाइन नंबर उपलब्ध हैं.
हाल ही में, MHA ने अन्य राज्यों में फंसे श्रमिकों के लिए श्रमिक विशेष रेल सेवा शुरू की है. श्रमिक ट्रेनों की सूची, मार्ग और समय के सभी विवरण प्राप्त करें जो ऑफिसियल वेबसाइट पर उपलब्ध हैं.
तो ऊपर बताये गये तरिके के अनुसार प्रवासी श्रमिक पंजीकरण फॉर्म भर सकते हैं. यदि आपको अभी भी रजिस्ट्रेशन फॉर्म भरने मे प्रॉब्लम हो रही है तो उसे निचे कमेंट सेक्शन मे पूछ सकते हैं.
मैं अपना घर जाना चाहता हूं यार खाने पीने की बहुत दिक्कत है मैं चंडीगढ़ में हूं मेरे को कोई