Contents
- 1 MP Kisan Krishi Upkaran Anudan Yojana 2020
- 1.1 Madhya Pradesh Kisan Krishi Anudan Yojana – Details
- 1.2 Objective of MP Agricultural Equipment Subsidy Scheme
- 1.3 Madhya Pradesh Kisan Krishi Yantr Subsidy Yojana
- 1.4 MP Agricultural Equipment Grant Scheme Eligibility Criteria
- 1.5 Benefit of MP Kisan Anudan Yojana 2020
- 1.6 MP Kisan Anudan Yojana Required Document
- 2 How To Apply Online For MP Kisan Anudan Scheme 2020?
MP Kisan Anudan Yojana 2020:- Madhya Pradesh Sarkar ne apne Rajya ke Kisano ke liye Madhya Pradesh Kisan Anudan Yojana ko launched kiya hai, Jiske tahat MP State ke sabhi Kisano ko Krishi Yantro par Subsidy pradan kiya jayega. Is Yojna ke antargat MP ke Kisano dwara Krishi utpadan ke liye Agricultural Machinery (कृषि यंत्र) ki khrid karne par Rajya Sarkar Kisano ko Subsidy pradan karegi.
To yadi aap Madhya Pradesh State ka ek Kisan hain, Aur Rajya Sarkar dwara shuru ki gyi is “MP Kisan Anudan Yojana 2020” ka labh uthana chahte hain, Tb aapko pahle Online Registration Form bharna hoga.
Aap Sabhi jante honge ki Bharat ek agriculture dominated country hai, Jaha ki economy mukhya roop se Krishi par aadharit hai. Inhi ko dhyan me rakhte huye MP Govt. ne State ke Kisano ki Income ko badhane ke udeshya se MP Kisan Anudan Scheme ki shuruat ki hai. Aap is page ke madhyam se Agricultural Equipment Funding Portal par MP कृषि उपकरण अनुदान योजना me Aavedan kar sakte hain. Isliye is post me Kirshi Upkaran Subsidy Yojna 2020 Application Process, Eligiblity Criteria, jaise sabhi mahatvapurn jankari hindi me di gyi hai.
MP Kisan Krishi Upkaran Anudan Yojana 2020
Aapki jankari ke liye bata den ki MP Government dwara shuru ki gyi Rajya ke Kisano ke liye Krishi Upkaran Subsidy Yojana 2020 ke tahat Rajya Sarkar sabhi eligible Kisano ko Krishi Upkaran ki khrid par 30% se 50% tak ki Subidy pradan karegi. MP Kisan Anudan Scheme me Kisano ko 40,000 se 60,000 Rapaye tak Subsidy pradan kiya jayega. Sidha ham kahe to Madhya Pradesh ke Kisano ke liye yah Yojna kafi mahatvapurn hai.
To Madhya Pradesh Kisan Anudan Yojana se Rajya ke Kisano ko Agricultural Income ko growth karne me kafi madad milegi. Aur ha, Is Yojna me State ke Mahila Kisano ko extra labh dene ka pravdhan kiya gya hai. Aap sabhi ichhuk Kisan jo iska labh uthana chahte hain, Is post me niche bataye gye tarike aur diye gye link ki madad se MP Kisan Anudan Scheme ke liye Aavedan kar sakte hain.
Madhya Pradesh Kisan Krishi Anudan Yojana – Details
Name of Scheme | MP Kisan Anudan Yojana 2020 |
Department Name | Agriculture Development and Horticulture and Food Processing Department |
Launched By | MP Government |
Objective | Subsidy for purchase of agricultural equipment |
Beneficiary | State’s Farmer |
Benefit | Subsidy on purchase of agricultural equipment |
Registration Process | Online |
Post Category | Government Scheme |
Official Website | https://dbt.mpdage.org/ |
Objective of MP Agricultural Equipment Subsidy Scheme
Aapko batana chahunga ki aaj ke samay me Desh ke Kisan Krishi utpadan ke liye naye krishi upkaran ka upyog kar rahe hain. Lekin bahut aise Kisan hai jo in New technology tool (नई तकनीक का उपकरण) ko khridne me capable nahi hai. But ab nayi Krishi Yantro ki madad se Kheti karna aasan hai. Inhi sab samasyao ko dekhte huye Madhya Pradesh Sarkar ne MP Krishi Upkaran Subsidy Yojana ki shuruat ki hai.
To MP Kirshi Upkaran Subsidy Yojana shuru karne ka mukhya udeshya State ke Kisano ko kheti karne ke liye new technique upkaran ko khridne ke liye State Govt. dwara Financial Help provide karna. Taki Rajya ke Kisan achche se Krishi Utpadan kar sake, Aur apni Income me vridhi kar aatmnirbhar ban saken.
Madhya Pradesh Kisan Krishi Yantr Subsidy Yojana
MP Kisan Krishi Upkaran Anudan Yojna ke tahat sabhi subsidized instruments ko 2 categories me divide kiya gya hai, Aap niche se puri details check kar sakte hain.
- Agricultural Aid Machine (कृषि सहायता यंत्र)
- Irrigation Equipment (सिंचाई यंत्र)
1. Agricultural Aid Machine (कृषि सहायता यंत्र)
- Mulcher
- Shredder
- Seed drill
- Happy seeder
- Automatic reaper
- Paadi transplanter
- Reaper cum binder
- Multicrop plants
- Raised bed planter
- Laser land leveler
- Rotavator, power tiller
- Seed less fertilizer drill
- Tractor (more than 20 horsepower)
- Tractor propelled reaper cum binder
- Tractor mounted / operated suppressor
- Zero Till Seed Cum Fertilizer Drill
- Rest bed planter with inclined plate plant and shaper
- Power Weeder (more than 2 bhp running inz)
- Tractors (up to 20 horsepower) smaller
- Multi Crop Thresher / Axial Flow Paddy Thresher
2. Irrigation Equipment (सिंचाई यंत्र)
- Pipeline set
- Electric pump set
- Diesel pump set
- Sprinkler set
- Rain gun system
- Drip system
MP Agricultural Equipment Grant Scheme Eligibility Criteria
For Automated Agricultural Equipment:- Iske liye ve sabhi Kisan eligible honge, Jinhone pichhle 5 years me Krishi Yantr ki khrid par kisi Deparment ki taraf se Subsidy nahi prapt kiya ho.
Tector Purchase:- Vah sabhi Kisan Tractor ki khird par Subsidy prapt kar sakenge, Jinhone Tractor power tiller ki khrid par pichhle 7 Years me Subsidy prapt nahi kiya ho.
For Purchase of Tractor Driven Agricultural Equipment:- Vah sabhi Kisan jinke naam par khud pahle se Tractor hai, To is yojna ke tahat Krishi Upkaran Subsidy ka Labh prapt kar sakte hain.
Benefit of MP Kisan Anudan Yojana 2020
- MP Krishi Upkaran Subsidy Yojana ka labh sirf MP ke Kiano ko di jayegi.
- Is Yojana ke tahat Rajya ke Kisan kheti karne ke liye achche Krishi Upkaran khrid sakte hain.
- Is Yojana me MP ke Kisano ko Rajya Sarkar dwara 30% se 50% tak Subsidy di jayegi.
- Aur 40,000 se 60,000 Rupaye tak Subsidy diya jayega.
- MP Kisan Anudan Yojana me Mahila Kisano ko extra labh diya jayega.
MP Kisan Anudan Yojana Required Document
- Aadhar Number
- Mobile Number
- Bank Passbook Details
- Caste certificate (only for SC and ST farmers)
- Proof of power connection
- Passport Size Photo
How To Apply Online For MP Kisan Anudan Scheme 2020?
- Pahle “किसान कल्याण तथा कृषि विकास एवं उद्यानिक एवं खाद्य प्रसंस्करण विभाग” ke official website par visit karen.
- https://dbt.mpdage.org/index.htm
- Home page se aap कृषि यंत्र कृषि अभियांत्रिकी संचालनालय ke Aavedan Karen par click karen.
- Aapke samne ek new page open ho jayega.
- Yaha aapko left side se Registration Form me District/ Block/ Village/ Agricultural Equipment/ Former Class/ Scheme/ Aadhar & Mobile No. ko enter karna hoga.
- Last me sabhi details enter karne ke baad Submit par click kar den.
- Registration pura ho jayega.
Important Link
MP Kisan Anudan Yojna Registration | Click Here |
Check MP Kisan Anudan Application Status | Check Here |
Check Registered Applications List | Check Here |
Official Website | Visit Here |
Aap sabhi is tarah se MP Kisan Anudan Yojna 2020-21 ke liye Online Aavedan kar sakte hain. Sath hi aap table me diye gye link se apne Application Status ki bhi janch kar sakte hain.
Lekin agar aap is yojna se related kisi prakar ki koi jankari prapt karna chahte hain, To niche diye gye Helpline Number se Contact kar sakte hain.
Contact:-
Directorate of Agricultural Engineering
Office Complex, B.C. Block, Gautam Nagar, Near Chetak Bridge, Bhopal – 462023
Phone Number:- 0755 4935001
Email ID:- dbtsupport@crispindia.com