Contents
MP Ration Card New List 2020:- Hello Friends, Madhya Pradesh Sarkar ne MP Ration Card New List online jaari kar diya hai, Madhya Pradesh ke jin logo ne New Ration Card banvane ke liye online aavedan kar chuke hain, Aur Beneficiary List me apna Name check karna chahte hain, To ab apna naam online ke madhyam se check kar sakte hain.
MP ke jo bhi Nagrik New Ration ke liye aavedn form bhar chuke hain, To (BPL Family Registration and Management System) yani SamagrA PortaL par jakar apna naam dekh sakte hain. Aur iska Labh prapt kar sakte hain. MP Ration Card New List me apna Name online kaise dekhe, Iske bare me step by step jankari is post me pradan kararya ja raha hai. Sath hi official portal ka Link bhi share kiya gya hai, Jiske jariye Ration Card List aasani se download kar sakte hain.
Madhya Pradesh New Ration Card List 2020
Agar aap bhi Madhya Pradesh ka ek Nagrik hain, Aur APL/BPL New Ration Card ke liye aavedan kiye hain, Tab aapko New Ration Card Beneficiary List 2020 me apna naam check karne ke liye kahi jane ki aavashyakta nahi hai. Aap ghar baithe Internet ke madhyam se Samagra Portal par jakar APL/BPL New Ration Card List 2020 me apna aur apne family ka Naam online check kar sakte hain.
Madhya Pradesh ke jin Nagriko ka naam New Beneficiary List me aata hai, Unhe Rajya Sarkar dwara Sarkari Ration Store par bheje jane bale Food Ingredient jaise Rice, Sugar, Wheat, Kerosene, Lentils etc. Discounted Rates par uplabdh karaya jayega. Aur ha, State Government ne Rajya ke Nagriko ke liye APL / BPL and Antyodaya List me unke Annual Income ke anusar Vargikrit kiya hai.
Madhya Pradesh Ration Card 2020 – Overview
Article Category | MP Ration Card New List 2020 |
Launched by | Government of Madhya Pradesh |
Department | Food, Civil Supplies and Consumer Protection Department |
Beneficiary | State Citizens |
Download Beneficiary List | Online |
Official Website | http://samagra.gov.in |
Types of MP Ration Card 2020
Aap jante honge ki Rajya ke Nagriko ke liye Ration Card ek important document hai, Jo mukhya roop se 3 prakar ke hote hain. Madhya Pradesh Ration Card 2020 ko bhi 3 types me vargikrit kiya gya hai.
1. APL Ration Card:- APL Ration Card Rajya ke Garibi Rekha se upar jivan yapan karne bale logo ke liye jaari kiya gya hai.
2. BPL Ration Card:- BPL Ration Card Rajya ke Garibi Rekha se niche jivan yapan karne bale nagriko ke liye jaari kiya gya hai.
3. AAY Ration Card:- Yah Ration Card Rajya ke un Nagriko ke liye jaari kiya gya hai, Jinki aarthik sthiti kamjor hai. Mukhya roop se ye Ration card Rajya ke Nagriko ko unki aarthik sthiti ke anusar uplabdh karaya jata hai. Aur is Ration Card ke liye Rajya ke bahi Nagarik aavedan form bhar sakte hain, Jinki Age 18 Varsh se adhik hai.
Benefits of MP Ration Card List 2020
- Rajya ke Nagriko ko Food, Civil Supplies and Consumer Protection Department Government of Madhya Pradesh ke dwara three types ke Ration Card pradan kiya jayega.
- Ab Nagriko ko Ration Card List me apna naam dekhne ke liye koi Sarkari Office me jane ki aavashyakta nahi hai, Online portal par dekh sakte hain.
- Ration Card List me jin logo ka naam aayega, Unhe Sarkari Ration Store se Discounted Rates par Food Grain pradan ki jayegi.
- Jinke paas BPL Ration Card hai, Aur Education ke liye aartihk sahayata ki jarurat hai, To iske jariye Students Scholarship ka Labh utha payenge.
- Ration Card ke jariye koi bhi Sarkari Sevaon ka Labh aasani se prapt kar sakte hain.
How To Check MP Ration Card New List 2020
Madhya Pradesh ke jo bhi Nagrik MP Ration Card New List 2020 me apna naam dekhna chahte hain, To vah niche bataye gaye steps ko follow karke online dekh sakte hain.
- Sabse pahle SamagrA PortaL ke official site par visit karen.
- http://samagra.gov.in
- Home page se BPL / AAY Register ka option dikhai dega, Aap ispar click karen.
- Click karne ke baad screen par Ration Card List Form open ho jayega.
- Aap is Form me District, Local Body, Gram Panchayat, Capcha Code etc Details enter karke Go bale button par click kar den.
- Ration Card List Screen par show ho jayega, Aap apna naam dekh sakte hain.
Important Link:-
MP Ration Card List 2020 | Check Here |
Official Website | Click Here |
MP Ration Card Eligibility Slip
MP Sarkar ne COVID-19 Mahamari ko dhyan me rakhte huye Rajya ke Nagriko ko Muft me Ration pradan karne ka nirnay liya tha, Jiske liye Ration Card dharak ke paas Eligibility Slip hona jaruri hai. Agar aapke paas Eligibility Slip nahi hai, To niche bataye gaye steps ko follow karke download kar sakte hain.
- Diye gaye link se official site par visit karen.
- Home page se Food Portal ble Section me jakar खाद्य सामग्री के लिए पात्रता पर्ची डाउनलोड ke link par click karen.
- Scren par ek new page open ho jayega.
- Isme aap puchhi gayi saari details jankari ko enter karke Download par click kar den.
- Aapki Eligibility Slip download ho jayega, Aap ise Print kar len.
Aap is tarah se MP Ration Card New List 2020 Me apna Naam online dekh sakte hain, Yadi aapke paas MP Ration Card ko lekar Saval hai, To niche Comment Section se puchh sakte hain.