Sarkari Yojna

MP Viklang Pension Yojana Registration 2020 | Apply Online For Viklang Pension Scheme

MP Viklang Pension Yojana 2020:- Madhya Pardesh Sarkar ne State ke Viklang Nagriko ke liye Viklang Pension Yojana ki shuruat ki hai. Viklang Pension Scheme 2020 ke tahat MP Government Rajya ke Viklang logo ko partyek mahine financial help ke roop me unki aarthik madad ke liye 500 Rupaye ki Rashi pradan karegi. MP State ke sabhi Viklang Nagrik jo Viklang Pesnion Yojana ka labh uthana chahte hain, Social Security Madhya Pradesh ke official website par jakar online apply kar sakte hain.

Isliye is article me Madhya Pradesh Viklang Pension Scheme 2020 ke bare me puri jankari di gyi hai. Yaha hamne MP Viklang Pension Yojana Application Process, Eligibility & Important Document ke bare me jankari pradan karaya hai. Taki ichhuk labharthi is post ki madad se Online Application Form bhar saken.

MP Viklang Pension Yojana 2020

MP Viklang Pension Yojana ka labh State ke sirf bahi log utha sakte hain, Jo 40% ya us se adhik Viklang hain. To Rajya ke ichhuk sabhi Labharthi jo is Viklang Pension Yojana ke liye Aavedan karna chahte hain, Ve is post ke madhyam se Social Security Madhya Pradesh ke official website http://socialsecurity.mp.gov.in par online Application Form bhar sakte hain.

Lekin sabhi ki jankari ke liye bata den ki मध्य प्रदेश विकलांग पेंशन योजना 2020 ke tahat Aavedan karne se pahle Viklang Logo ko apna Disability Certificate (विकलांग होने का प्रमाण पत्र) banvana hoga. Yah Disability Certificate banvane ke liye Labharthi ko Chief Medical Officer, Community Health Center / Primary Health Center ke Doctor ke pass jana hoga jo valid hoga.

Madhya Pradesh Viklang Pension Scheme 2020 – Details

Name of Scheme Madhya Pradesh Viklang Pension Scheme
Launched by MP Government
Department NameSocial Security Madhya Pradesh
Beneficiary State disabled
Objective Providing monthly pension to disabled people of the state
Category State Government Scheme
Official Website https://socialsecurity.mp.gov.in/

Objective of MP Disabled Pension Scheme 2020

Jaisa ham sabhi ko pata hai ki adhikansh Viklang Logo ko bahut se samasyao ko samna karna padta hai, Unhe ek dusre vyakti par nirbhar hona padta hai. Khas kar jyadatar viklang logo ko apni kharche ko chalana muskil ho jata hai, Jisko lekar aur unhe kafi pareshani hoti hai. Viklang Logo ke pass Income ki koi suvidha nahi mil pati hai.

Inhi sab samasya ko dekhte huye MP Government ne Rajya ke Viklang Logo ke liye MP Viklang Pension Yojna 2020 ki shuruat ki hai. Jiske tahat logo ko 500 Rupaye ki Rashi har mahine pradan ki jayegi. Taki ve apne Jivan ko achche se chala saken. Sidhe ham kahe to is Yojana ka mukhya udeshya Rajya ke Viklang Logo ko aatmnirbhar bnana.

Benefit of MP Viklang Pension Scheme 2020

  • MP Viklang Pension Yojana ka Labh sirf State ke Viklang Logo ko diya jayega.
  • Is Yojana ke tahat 500 Rupaye har mahine pradan ki jayegi.
  • Iska Labh sirf sharirik roop se Viklang ya 40% se adhik Viklang Logo ko di jayegi.
  • Is Yojana ko shuru hone se logo ko dusre par nirbhar hone ki aavashyakta nahi hai.

Viklang Pension Yojna 2020 – Eligibility Criteria

  • Applicant must be a permanent resident of Madhya Pradesh.
  • Viklang Logo ke family ki annual income 48,000 Rupaye se adhik nahi honi chahiye.
  • Apna Disability Certificate hona anivarya hai.
  • Government Job kar rahe Viklang Vyakti iska Labh nahi utha sakte hain.
  • Viklang Logo ka apna Bank Account hona chahiye.
  • Aur Bank Account unke Aadhar Card se link hona chahiye.
  • Sarkar dwara di jane bali Rashi direct Bank Account me transfer ki jayegi.

Required Document for MP Disabled Pension Scheme

  • Applicants Aadhar Card
  • Income Certificate
  • Disabled Certificate
  • Bank Account Passbook
  • Mobile Number
  • Residence Certificate
  • Caste Certificate
  • Passport Size Photo

How To Apply Online For MP Viklang Pension Scheme 2020?

MP State ke ichhuk labharthi jo Viklang Pension Yojna 2020 ke liye aavedan karna chahte hain, To niche bataye gye steps ko follow karke Online Apply kar sakte hain.

  • Pahle Social Security MP ke official website par visit karen.
  • http://socialsecurity.mp.gov.in/
  • Iske home page se “सामाजिक सुरक्षा पेंशन एवं आर्थिक सहायता योजनाएँ” bale option par click karen.
  • Ek new page open hoga, Yaha se पेंशन योजनाओ हेतु आवेदन करे par click karen.
  • Yaha aapko जिला/ स्थानीय निकाय/ समग्र सदस्य आईडी enter karke पेंशन हेतु ऑनलाइन आवेदन करे par click kar den.
  • Ab screen par Application Form open ho jayega, Form ko sahi se bharen.
  • Iske baad Submit par click karke Important Document ko upload kar den.
  • Aapka Registration pura ho jayega.

Apply Online Link

MP Viklang Pension Yojana 2020 Apply Online || Link 2
Official Website Visit Here
Check Eligibility Criteria Check Here

Is prakar official website par jakar MP Viklang Pension Yojana ke liye online apply kar sakte hain. Yadi apply karne me koi problems hoti hai to niche comment ke throug saval kar sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment