Sarkari Yojna

NAMO Tablet Yojana 2021 Online Registration: Specification/Price (Buy Online), Check Details

Namo Tablet Yojana 2021:- Jaisa aap sabhi jante honge ki Bharat Sarkar apne desh ko digital banane aur digital education ko badhawa dene ke liye lagatar apni pryash kar rahi hai. Isi ko lekar education world ko aur digitalikaran karne ke liye Prime Minister Modi ne Namo E-Tablet Yojana ki shuruat ki hai. Jiske antargat desh ke sabhi College students ko 4G Tablet pradan kiya jayega. Is scheme ke tahat subsidized price College students ko Branded Tablet diya jayega. Namo Tablet Yojna ka labh uthane ke liye interested sabhi students ko online registration karna hoga jiski jankari is post me diya gya hai.

Is article me aapko Namo E-Tablet Scheme related sari jankari hindi me pradan karaya gya hai. Sath hi Tablet ki future aur ise kharidne ki puri process share kiya gya hai. Aap is post se Tablet specifications, prices, online registration process etc. details ki janch kar sakte hain.

Update:- Namo E-Tablet Scheme ke liye online registration official website par shuru ho chuka hai, Ichhuk candidates niche section me diye gye official link se Namo E-Tablet Scheme Online Registration Form bhar sakte hain.

Namo E-Tablet Yojana 2021

Aap sabhi students ki jankari ke liye bata den ki Namo E-Tablet Scheme me College ke girl and boys sabhi students ko branded and high quality ka 4G Tablet bahut hi kam prise par diya jayega, Iske liye College students ko sirf aur sirf Rs. 1,000 dene honge. Kyonki Sarkar chahti hai ki jitne se jitne students ko good quality technical products pradan kiya ja saken, taki vah is Tablet ka pryog kar modern education hasil kar saken.

To yadi aap Namo Tablet Yojana ka labh uthana chahte hain to online registration form bhar sakte hain. Is Yojana me registration karne ke baad hi aapko good quality and all features ke sath Namo E-Tablet diya jayega.

Namo E-Tablet Scheme Gujarat Highlights

Scheme NameNamo Tablet Yojana
Launched byCM Vijay Rupani
BeneficiariesSchool & College Students
ObjectiveProviding tablets in Rs.1000
Registration TimeAlways Open
Category State & Central Government Scheme
Official Websitehttps://www.digitalgujarat.gov.in/Tablet.aspx

Note:- दोस्तों, Namo E-Tablet Scheme की शुरुआत सबसे पहले गुजरात में किया गया था, और बहुत जल्द सभी राज्य सरकार अपने-अपने राज्यों में कॉलेज की छात्र एवं छात्राओं के लिए शुरू करने करने जा रही है, जिसके तहत केंद्र सरकार और राज्य सरकार मिलकर सभी कॉलेजों के छात्र एवं छात्राओं को मुफ्त में 4G टेबलेट उपलब्ध कराएगी|

Eligibility Criteria for Namo E-Tablet Scheme

Jo bhi College students is Scheme ka labh uthana chahte hain un sabhi eligibility criteria ko pura karna hoga tabhi vah is Scheme ka labh utha payenge, jo niche diya gya hai.

  • Students ki family ki annual income 1 lakh rupaye se adhik nahi honi chaiye.
  • Applicant’s Gujarat ka permanant nagrik hona chahiye.
  • Students garibi rekha se niche ke category se sambandh hona chahiye.
  • Students ko 12th Class pass hona chahiye, aur kisi College me Graduation ki padhai kar raha ho.

Essential Document for Namo E-Tablet Scheme

  • Domicile certificate
  • Address Proof
  • Voter ID card
  • Aadhar card
  • 12th Passing certificate
  • Certificate to confirm the Admission in the under-graduation course or Polytechnic course
  • Below the poverty line certificate
  • Caste certificate

Specifications of Namo Tablet

Aap sabhi students Sarkar ki taraf se di jane bali Namo Tablet ki Specification Details niche section me check kar sakte hain.

RAM1GB
Processor1.3GHz MediaTek
ChipsetQuad-core
Internal memory8GB
External memory64GB
Camera2MP (rear), 0.3MP (front)
Display7inch
Touch screenCapacitive
Battery3450 mAh Li-Ion
Operating SystemAndroid v5.1 Lollipop
SIM cardYes
Voice CallingYes
Connectivity3G
PriceRs. 8000-9000
ManufacturerLenovo/Acer
Warranty1 Year for the handset, 6 months for in-box accessories

How to Register For Namo Tablet Scheme?

Eligible and interested sabhi candidates niche diye gye simple steps ko follow karke Namo E-Table Scheme ke liye online registration form bar sakte hain.

  • Sabse pahle aap apne Institute or College me jayen.
  • Aur Namo E-Tablet Scheme ki jankari prapt karenge, aur kahenge ki aapka Namo Tablet Yojana ke tahat registration kiya jaye.
  • Institute ke dwara Namo E Tablet Registration ke official website par jana hoga, Jiska link niche diya gya hai.
  • Home page jakar Online Registration link par click karen.
  • Aapke computer screen par Registration form open ho jayega.
  • Form ko sahi se bharen aur sabhi important document ko upload karen.
  • Iske baad aapko Rs. 1000 form fee ke roop me jama karna hoga.
  • Sari process pura karke Submit button par click kar den.
  • Form submit hone ke baad aapko ek receipt diya jayega.
  • Iske baad aapko Namo Tablet provide karaya jayega.

Quick Link:-

Namo E-Tablet Scheme Online RegistrationClick Here To Register
Official WebsiteGo Here

Helpline Number

Helpline:- 079-26566000

To is article me aap sabhi ko Namo E-Tablet Yojana se related sabhi jankari pradan karaya hai, Hame ummid hai ki aapke liye yah article kafi upyogi sabit hua hoga. But aagar aapke paas is scheme se related koi question hai to helpline no. se contact kar sakte hain. Chahe to comment ke through sms kar sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment