Contents
Odisha Free Laptop Scheme 2021 Apply Online:- Hello Guys, State Government of Odisha ne Rajya ke 11th and 12th Class me Padhai kar rahe students ko muft me Laptop pradan karne ke liye Free Laptop Distribution Scheme ko launch kiya hai. Is Scheme ke tahat hi Rajya ke 11th & 12th Class ke chhatron ko Odisha Sarkar free me Laptop pradan karegi, Jise “Biju Yuva Sashaktikarn Yojana” bhi kaha jata hai.
Aapko bata den ki Odisha Sarkar “Free Laptop Distribution Scheme” ke antargat Rajya ke un sabhi students ko Laptop pradan karegi, Jo apni Study me Qualifying Marks prapt karte hain. Aise sabhi students ko Rajya Sarkar Laptop pradan karegi. Jiske liye online registration bhi shuru kar di gyi hai.
Yadi aap bhi Odisha State ka Class 11th & 12th ka chhatr hain, Aur Free Laptop Scheme ka labh uthana chahte hain. To aap is post se puri jankari jaise Eligiblity Criteria, Educational Criteria, How to Apply, Online Merit List etc. prapt karke application form bhar sakte hain.
Odisha Free Laptop Scheme 2021
Agar Odisha Rajya me me padhai karne bale jo bhi students Free Laptop Distribution Scheme ka labh prapt karna chahte hain. Un Sabhi ki jankari ke liye batana chahunga ki CHSE Board se (+2) Board Exam Pass kar chuke students ko iska labh diya jayega. Sath hi Vocational students jo CHSE (O) aur Shree Jagannath Sanskrit University, Puri se Passed students ko bhi free me Laptop pradan kiye jayenge.
Lekin yaha aapko janana jaruri hai ki CHSE Exam me Respective Streams & Up Shastri Exam me achha Marks Score prapt karne bale sirf 15,000 Candidates ka hi Merit List taiyar kiya jayega, Aur sabhi ko Laptop pradan kiye jayenge. Jiske bare me adhik jankari aap niche post me dekh sakte hain.
Aur ha, Students ke bich Laptop distribute karne ke liye 30 se adhik nodal centers banaye gye hain. Jaha Odihsa I.T Department sabhi Laptops nodal Colleges ke principal ko dega.
Odisha Free Laptop Yojna 2021 – Details
Name of Scheme | Odisha Free Laptop Distribution Scheme |
Organization Name | Biju Yuba Sashaktikaran Yojana |
Launched By. | State Govt. of Odisha |
Year | 2020-21 |
Beneficiary | Odisha +2 Students |
Objective | Providing free laptops to students |
Benefits | Technological advancement |
Official Website | http://dheodisha.gov.in/ |
Eligibility Criteria of Odisha Free Laptop Scheme
Odisha Govt. ke dwara shuru ki gyi Free Laptop Scheme ka labh uthane bale Students ko eligible hona anivarya hai.
- Students must be permanent residents of the state of Odisha.
- Aur sirf Govt. School me Class 11th & 12th me Padhai kar rahe Students hi is Scheme ke liye aavedan kar sakte hain.
- Students ke pass academic record excellent hona chahiye, Tabi Free Laptop Scheme ka labh utha sakenge.
- Aur Board Exam me jo Students 70% ya is se adhik Marks prapt karenge, Unhe hi free me Laptop pradan ki jayegi.
- Student ka age 18 to 25 Years ke bich hona chahiye.
- CHSE Exams me shamil hone bale sabhi students is scheme ke liye eligible hain.
- Iske alava Shree Jagannath Sanskrit University ke Students ko bhi is Scheme me shamil kiya gya hai.
Required Document for Odisha Free Laptop Scheme
- Aadhar Card
- Education Certificates
- Caste Certificate
- Mark sheet of 12th standard
- Age proof
- Address Proof
How to Apply Online for Odisha Free Laptop Scheme?
- DHE Odisha ke official website par visit karen.
- http://dheodisha.gov.in/Higher-Education/
- Iske home page ko scroll karke “Laptop Distribution Icon” par click karen.
- Click karne ke baad aapke samne ek new page open ho jayega.
- Yaha se aap Free Laptop Scheme se related notification ko check kar sakte hain.
- Ab aapko PDF Application Form ko download karna hai.
- Form ko download karke puchhi gyi saari details ko bharen, Aur jaruri Documents ko attach karen.
- Form bharne ke baad verification ke liye apne sambandhit officials ke paas jama kar den.
Check Odisha Free Laptop Scheme Merit List
- DHE Official ke official website jayen.
- Iske home page se “Laptop Distribution Icon” par click karen.
- Iske baad Year of 2020-21 (Claim List) ke link par click karen.
- Click karte hi aapke samne aapke samne District Wise Merit List open hoga.
- Ab apna naam Merit List me dekh sakte hain.
- Yadi aapka naam merit list me hai to aapko Sarkar ki taraf se free me Laptop pradan kiye jayenge.
Important Link:-
Odisha Free Laptop Scheme Online Registration | Click Here |
Download PDF Application Form | Download Here |
Check Merit List | Check Here |
Official Website | Visit Here |
Aap sabhi students is tarah se Odisha Free Laptop Distribution Scheme ke tahat online registration kar sakte hain. Lekin agar is Scheme se related koi saval hai to niche comment ke through puchh sakte hain.