Contents
Apply Online For Passport:- Hello Guys, Agar aap Out of India yani Bidesh jana chahte hain, Aur aapke paas Passport nahi hai. To ab aapko ise banvane ke liye Passport Office jane ki koi aavashyakta nahi hai. Aap ghar baithe Passport ke liye online Apply kar sakte hain. Kyonki India Government ne Passport banane ki process ko kafi aasan kar diya hai.
Desh ke kisi bhi Nagrik ko India se Other Country me jane ke liye apna Passport banvane ke liye koi Passport Office Agent ke paas jane ki jarurat nahi hogi. Ab sabhi khud se Passport ke liye Online Apply kar sakte hain.
Isliye aaj ke is article me aap sabhi ko batayenge ki aap ki prakar se ghar baithe online Passport ke liye Apply kar sakte hain. Agar Passport banvana chahte hain, Tab aapko is post ko last tak padhne par Online Apply ke bare me step by step jankari mil jayegi.
Apply online for passport
Dear Friends, Aap sabhi ko bata den ki India ke Nagriko ko Other Country me jane ke liye Passport ki aavashyakta hoti hai, Vaise to Logo ko Visa & Passport dono ki jarurat hoti hai. Lekin kai Countries aise hai, Jaha Passport par hi ghumne ki Permission di jati hai.
Aise bhi Without Passport koi bhi Vyakti Foreign ki Yatra nahi kar sakte. Other Country me jane ke liye Indian Citizen ke paas Vailed Passport hona anivarya hai. Kyonki Videsh me Logo ka Passport hi Identity karta hai.
Lekin ab Passport banvane ke liye Online Apply karne ke baad Applicants ki Passport Service se related darj ki gayi jankari ke Verification ke liye State Police or Passport ki Delivery ke liye Indian Post Office ke sath joda gya hai.
Types of Passports in India
India me mukhya roop se 3 Types ke Passport banaye jaate hain.
- Diplomatic Passport (राजनयिक पारपत्र)
- Ordianary Passport (सामान्य पासपोर्ट)
- Govenrment Passport (सरकारी पासपोर्ट)
1. Diplomatic Passport:- Yah Passport un logo ke liye jaari ki jati hai, Jo National Government, Diplomats, Official Judiciary, Statutory Authorities, Public Couriers ya kisi anya Vyakti ke Nominated Members hain.
2. Ordianary Passport:- Yah India ke Ordinary Citizen ke liye Jaari kiya jata hai, Jo 36 ya 60 Page ke hote hain. Iska upyog General Holiday or Business Trip me kar sakte hain, Iski Validity 10 Years ki hoti hai.
3. Government Passport:- Yah un Logo ke liye hai, Jo Nominated Non-Gazetted Government Employees ya kisi anya vyakti ko kisi other Official Business ke liye Videsh me Appointed Government dwara approved kiya jata hai.
Documents Required to Get Passport
- 10th Marksheet (For date of birth)
- Aadhar card, PAN Card, Voter ID Card Ya Driving License (One of these)
- Electricity or Water Bill, Ration Card, Income Tax Department ka Assessment Order, Voter ID, Aadhar Card, Bank Passbook (For address proof)
- Affidavit of India’s citizenship and no criminal record
पासपोर्ट के लिए शुल्क
Kisi bhi Nagrik ko Passport banvane ke liye 1500 To 2000 tak Passport Fee Pay karna hota hai.
How To Apply Online For Passport
Aap niche bataye gaye Steps ko follow karke Passport ke liye Online Apply kar sakte hain. Sirf sabhi Process ko pura karne ke baad aapko Appointment Office me jana hoga, Aapka Passport bhi kuchh baad bankar aapke Ghar aa jayega.
Step 1:-
- Aap Passport Seva ke official website par visit karen.
- https://portal1.passportindia.gov.in
- Home page se New User Registration par click karen.
- Aap Registration Form me puchhi gayi Apne Address ke anusar Passport Office ko Select karen, Aur Saari Details jankari enter karke Register par click kar den.
- Aapka Registration pura ho jayega.
Step 2:-
- Ab aapko Passport Seva ke Official Website par jakar Exciting User LogIn par Click karna hai.
- Yaha Log ID se Login karke Continue par click karna hai.
- Log.In karn ke baad aap Apply For Fresh Passport bale Option par click kar den.
- Yha aapko two option milenge, Aap Form bharkar Download kar sakte hain, Ya Online bhi bhar sakte hain.
Step 3:-
- Aap online form bharne ke liye Click here to fill the application form online par click karen.
- Yaha Alternative 2 Page ke andar maujud hai.
- Agle page par New Passport or Re-Issue, Normal or Immediate 38 Page ya 60 Page ka Option hoga, Apni Suvidha ke anusar Option ko select kar Next par click kar den.
- Ab aapko apni Personal Details enter karke Submit par click karna hai.
Step 4:-
- Ab vapas Log.In ke baad khule pahle Page par jakar View Saved/Submitted Applications par click karen.
- Yaha aap apni Application Dekh sakte hain.
- Ab Payment karne ke liye Radio Button par click karen.
- Iske baad Pay and Schedule Appointment par click karke Online Payment ko Select karen, Aur Next par click kar den.
Step 5:-
- Ab aapke Sahar me maujud Passport Service Center ki List Screen par show hoga, Apni suvidha ke anusar Appointment Date and Time select karen.
- Aap Capcha Code enter karke Next par click kar den.
- Ab Pay and Book Appointment par click karke Payment kar sakte hain.
- Payment karne ke baad Passport Seva ke Website par visit karen.
Step 6:-
- Ab Appointment Confirmation Show hoga, Yaha Appointment ki puri Details mil jayegi.
- Last me Print Nikalne ke liye Print Application Receipt par click kar den.
- Iski jarurat Passport Service Enter me hogi.
Aap sabhi is prakar se Passport ke liye Online Apply kar sakte hain, Jiski puri jankari is page me Share kiya gya hai.
I hope, Aapke liye yah article kafi upyogi savit hua hoga, Yadi aapke pas isse related koi saval hai, To niche Comment Section me ja sakte hain.