Sarkari Yojna

PM Kisan Tractor Yojana Registration 2022

Written by A to Z Classes

PM Kisan Tractor Scheme 2022:- Agar aap ek Bhartiye Nagrik hain aur aap Tractor kharidne ke liye soch rahe hain, ya phir aap khridne bale hain to aap kam price me Tractor kharid sakte hain. Kyonki Government of India ke dwara Desh ke sabhi Kisano ko Labh pahuchane ke liye PM Kisan Tractor Yojna ko chalai ja rahi hai.

To Bata den ki Prdhan Mantri Kisan Tractor Yojna 2022 ke tahat Desh ke Kisano ko unki Category ke anusar New Tractor kahridne par 20 se 50% taki ki Subsidy Kendra Sarkar dwara pradan kiya ja raha hai.

Aise bhi aap sabhi jante hain ki Desh ke bahut aise Kisan hain jo aarthik roop se kamjor hone ke karan apne Khet me kaam karne ke liye Agricultural Machinery nahi khrid pate hain, Aur Khet me Kisano ko sabse jyada Tractor ki aavashyakta hoti hai. Isliye aap sabhi is article me PM Kisan Tractor Yojna se judi sabhi jankari jaise Aavedan Process, Eligibility, Document ityadi ke bare me bataya ja raha hai, Sath hi Aavedan karne ke liye official link bhi provide karaya ja raha hai.

PM Kisan Tractor Schemes 2022 की जानकारी

Bharat Sarkar dwara ghosit kiye gye PM Kisan Tractor Yojna ka jo bhi Kisan labh uthana chahte hain, Desh ke jo Kisan kheti karne ke liye Tractor kharidana chahte hain wo bhi is Yojna ke tahat 20% se lekar 50% tak ki Subsidy par naya Tractor khrid sakte hain, Aur apne Kheti me kaam kar sakte hain.

Aap sabhi ko is post ke madhyam se bata den ki PM Kisan Tractor Scheme 2022 ka labh Bharat me rahne bale sabhi Varg ke Kisano ko pradan kiya jayega. Iske liye jo bhi Kisan is Yojna ka labh prapt karne ke liye ichhuk hain unhe Pradhanmantri Kisan Tractor Yojna ke liye online Application Form bharna hoga, Jiska link is page me niche uplabdh karaya gya hai.

Pradhan Mantri Kisan Tractor Yojna 2022 Details

Pradhanmantri Kisan Tractor Yojna ke tahat agar jo bhi Kisan New Tractor ki kharidari karte hain to unka apna Bank Account jarur hona chahiye, Kyonki Tractor par di jane bali Subsidy direct Labharthi ke Bank Account me Transfer ki jayegi, Aur Bank Account unke Aadhar Card ke link hona anivarya hai.

Aur ha PM Kisan Tractor Yojna 2022 ke antargat ek parivar se ek hi Kisan is Yojna ke liye aavedan kar sakte hain. Aise bhi yah Yojna Desh ke sabhi Kisano ko kafi labh pahuchayega, Iske baad sabhi ko apni kheti karne bhi aasani hogi.

Name of SchemePradhan Mantri Kisan Tractor Scheme 2020
Started byPrime Minister Shri Narendra Modi
BeneficiaryDesh Ke Kisan
ObjectiveKisano ko Subsidy Pradan Karna

Benefits of PM Kisan Tractor Scheme 2022

  • Is Yojna ka labh Desh ke sabhi Kisan utha sakte hain.
  • Aur is Yojna ke tahat Desh ke Kison ko New Tractor ki khrid karne par 20 se 50% Subsidy pradan ki jayegi.
  • Is Yojna ke tahat milne bale labh Labharthi Kisano ke direct Bank Account me Transfer ki jayegi.
  • Kisan Application Form Accept hone ke just baad hi Naye Tractor ki khrid kar sakta hai.
  • Jabki iske liye Ek Parivar se sirf ek hi Kisan aavedan kar sakta hai.
  • Is Yojna se se jodne bale Kisan kisi aur Agricultural Machinery Subsidy Scheme me juda nahi hona chaiye.
  • PM Kisan Tractor Yojna 2022 ke liye Desh ke Mahila Kisano ko bhi adhik labh pradan kiya jayega.
  • Aur iska Labh lene ke liye aavedak kisan ke pass khud ke naam se Krishi Yogya Bhumi hona anivarya hai.
  • Sath hi is Yojna ke antargat Kisano ko New Tractor ke liye Loan ki Suvidha bhi Pradan ki jayegi.

Objective of Pradhan Mantri Kisan Tractor Scheme 2022

Pradhan Mantri Kisan Tractor Scheme 2022 ka mukhya udeshya hai ki desh ke jo bhi Kisan aarthik roop se kamjor hain aur ve iske karan apni Kheto me Krishi ke liye Agricultural Machinery nahi kharid pate hain, Jabki sabse jyada Kheti me kaam karne ke liye Kisan ko Tractor ki hi aavashyakta hoti hai, Jaisa aap sabhi ko upar me bataya hai.

Isi karan Unko aur jyada prashani hoti hai, Isi sthiti ko dekhte huye Bharat Sarkar ne PM Kisan Tractor Yojna 2022 ki shuruaat ki hai. Jiske tahat Naya Tractor kharidane par 20 se 50% ki Subsidy pradan kiya jayega. Aur isse Kisano ko aarthik sthithi me sudhar aayega, Sath Kisno ko Income me virdhi bhi hogi.

PM Kisan Tractor Yojana Eligibility

  • PM Kisan Yojna ka labh sirf Desh ke Kisano ko pradan kiya jayega.
  • Aur Kisan ke pass khud ke naam se jamin hona chahiye.
  • Aur aavedak ko aavedan ki Date se 7 Varsh pahle tak kisi tarah ki aisi Yojna ka Labharhi nahi hona chahiye.

Required Document

  • Aadhar Card
  • Bank Passbook
  • Identity proof – Voter ID card / PAN card / Passport / Aadhaar card / Driving license etc.
  • Address proof: Voter ID card / Passport / Aadhaar card / Driving license etc.
  • Documentary proof of land
  • 3 Passport size latest photos

How To Apply in Pradhan Mantri Kisan Tractor Scheme 2022?

Agar aap PM Kisan Tractor Yojna 2022 ke liye aavedan karna chahte hain to aapko najdiki Agriculture Department ya CSC Center me jana hoga, Waha jakar aapko aavedan form prapt karna hoga, Form ko puri tarah se bharkar sabhi document ko attach karke Service Center jama karna hoga. Aap kuchh State me Online Aavedan bhi kar sakte hain, Jiska list niche provide karaya gya hai.

Name of StateApply Link (Online Portal)
Andaman – NicobarOffline (CSC Centre )
Andra PradeshOffline (CSC Centre )
Arunachal PradeshOffline (CSC Centre )
AssamOffline – Form के लिए Link
BiharOnline Application Form
Uttar PradeshOffline (CSC Centre )
West BengalOffline (CSC Centre )
ChandigarhOffline (CSC Centre )
ChhattisgarhOffline (CSC Centre )
Dadra – Nagar HaveliOffline (CSC Centre )
Daman – DiuOffline (CSC Centre )
DelhiOffline (CSC Centre )
GoaOnline Application Form
GujaratOffline (CSC Centre )
HaryanaOnline Application Form
Himachal PradeshOffline (CSC Centre )
Jammu & KashmirOffline (CSC Centre )
JharkhandOffline (CSC Centre )
KarnatakaOffline (CSC Centre )
KeralaOffline (CSC Centre )
Madhya PradeshOnline Application Form
MaharashtraOnline Application Form
ManipurOffline (CSC Centre )
MeghalayaOffline (CSC Centre )
MizoramOffline (CSC Centre )
NagalandOffline (CSC Centre )
OdishaOffline (CSC Centre )
PondicherryOffline (CSC Centre )
PunjabOffline (CSC Centre )
RajasthanContact E-Mitra
SikkimOffline (CSC Centre )
TamilnaduOffline (CSC Centre )
TelanganaOffline (CSC Centre )
TripuraOffline (CSC Centre )
UttaranchalOffline (CSC Centre )

Is Post ke madhyam se aapne jana ki Pradhan Mantri Kisan Tractor Yojna ka labh kaise utha sakte hain, Aur ssath hi apne yah bhi jana ki aapko iske subsidy kaise mil sakti hai.

Yadi aap PM Kisan Tractor Scheme se sambandhit kisi prakar ki aur jankari lena chahte hain to niche comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

20 Comments

Leave a Comment