Pradhan Mantri Shram Yogi Mandhan Yojna:- Pradhan Mantri Shram Yogi Mandhan Yojna ko Unorganized Sector me Kaam karne bale Kamgaron ke liye Kendra Sarkar dwara shuru kiya gya hai. Is PMSYM Scheme ke anatargat Unorganized Sector ke Kamgar Shramik jaise Driver, Plumber, Cobbler, Tailor, Riksha Driver, Washerman and Agricultural Labour Ityadi ko is Yojna ka Labh pahuchaya jayega. Jinki Monthly Income 15,000 Rupaye se kam honi chahiye.
Yadi aap PM Shram Yogi Mandhan Yojna 2020 ke madhyam se apne Family ka Labh pahuchana chahte hain, To uske liye is post me saari jankari pradan karaya ja raha hai, Aap ise Padhkar kafi aasani se iske liye aavedan kar sakte hain.
PM Shram Yogi Mandhan Yojana 2020
Aapko batate chale ki Pradhan Mantri Shram Yogi Mandhan Scheme ko 15 February 2019 ko Lauch kiya gya tha, Is Yojna me Registration karne bale Logo ko Age 60 Varsh puri hone par partyek Mahine 3,000 Rupaye ki Minimum Pension ke roop me Rashi pradan ki jayegi. Aur agar Pension milne se pahle Labharthi ki Death ho jati hai to Pension ka 50% Labh unke Family ko aarthik Sahayata ke roop me diya jayega.
Is Yojna ke antargat Sarkari Aakdo ke anusar Sarkar Yearly 36,000 Rupaye ki Pension Partyek Register Labharthi ko diya jata hai, Jisse vah aasani se apna Kharch chala sakte hain. Aise to Desh me Lagbhag 42 Crore se jyada Log Unorganized Sector me Kaam karte hain, Isliye Sarkar unhe Labh prapt karne ke liye ek achha mauka pradan kar rahi hai. Kyonki is Yojna me abhi tak 64.5 Lakh se adhik Labharthi apna Registration karba chuke hain.
PM Shram Yogi Mandhan Yojna 2020 me Application Form bharne ke liye Labharthi ka Age 18 Varsh se lekar 40 Varsh ke vich honi chahiye, Jabki yah Yojna Sarkari Staff (EPF) or (NPS) And (ESIC) ke Member iska Labh nahi utha sakte hain. Is Yojna me shamil hone bale Shram Yogi Income Tax Payer nahi hona chahiye.
PMSYM Scheme 2020 – Overview
Name of Scheme | PM Shram Yogi Mandhan Yojna 2020 |
Launched By | Finance Minister Mr. Piyush Goyal |
Launched date | 1st Feb 2019 |
Beneficiary | Unrecognized Sector Workers |
Contribution | Rs 55 Per Month to Rs 200 Per Month |
Pension Amount | Rs. 3000 Per Month |
Category | Central Government Scheme |
Official website | https://maandhan.in/shramyogi |
PM Shram Yogi Mandhan Yojna Apply Online
Ab aapko bata den ki Pradhan Mantri Shram Yogi Mandhan Yojna me Aavedan karne bale Aavedak ko Per Mahine Premium dena hoga, Iske liye 18 Varsh ki Shram Yogi ko Per Mahine Rs. 55 Rupaye ki Rashi Premium dena hoga, Bahi 29 Varsh ki Shram Yogi ko Per Mahine Rs. 100 Rupaye or 40 Varsh ki Shram Yogi Aavedak ko Per Mahine Rs. 200 Rupaye Premium jama karna hoga.
To is Yojna me Shamil hone ke liye Labharthi ka Bank Account aur Aadhar Card hona aavashyak hai, Jabki Bank Account unke Aadhar Card se Link hona bahut hi jaruri hai. Agar aap PM Shram Yogi Mandhan Scheme ke liye aavedan karna chahte hain to apne Najdiki Public Service Center Ya Digital Service Center me jakar Registration karba sakte hain.
PM Shram Yogi Mandhan Yojna के लिए आवेदन कौन कर सकता है
- Unorganized Sector me kaam karne bale Vyakti.
- Age 18 Varsh se lekr 40 Varsh ke bich honi chahiye.
- Aavedan karne bale Aavedak ki Monthly Icome 15,000 Rupaye se adhik nahi honi chahiye.
- Other Pension Scheme ka Labh uthane bale Labharthi is Yojna ke liye eligible nahi hai.
Objective of PM Shram Yogi Mandhan Yojna
Is Yojna ka Mukhya Udeshya Unorganized Sector ke Shramiko ko 60 Varsh ke baad unke aarthik sahayata ke liye 3000 Rupaye ki Pension pradan karna hai, Taki is Yojna ke jariye milne bali Rashi se Vah apne Jivan ko achhe se chala sake aur aarthik jarurato ko pura kar sake. Yani ki Atmnirbhar aur Strong ban saken.
PM Shram Yogi Mandhan Yojna 2020 ke anatargat anya Yojnaye jaise LIC, EPFO, ESIC ityadi chalti hai. Jin Shramiko ke pass koi Fixed Income nahi hai, To ve is Yojna ke liye aavedan kar sakte hain. Isme VLE Digital Service Website ka madhyam se PMSYM Yojna me eligible Nagrik ko Nomini kiya jayega. Eligible Candidates, online madhyam se bhi is Yojna ke liye Registration kar sakte hain.
Benefit of Shram Yogi Mandhan Yojna 2020
- Is Yojna ka Labh Desh ke Asangathit Area ke Kamgaro ko pradan kiya jayega.
- Isme eligible Labharthi ko 60 Varsh ki Age me Rs. 3000 Rupaye ki Pension Per Mahine di jayegi.
- Labharthi ki Death hone par uske Family ko Sahayata Rashi milegi.
- PM Shram Yogi Mandhan Yojna me direct Labharthi ke Bank Account me Pension Rashi Transfer ki jayegi.
Eligibility Creteria
- Ek Unorganized Sectorka Sharamik hona chahiye.
- Monthly Income 15,000 Rupaye hona chahiye.
- Aavedak ki Age 18 se 40 Varsh tak ke bich honi chahiye.
- Income Tax Payers nahi rahna chahiye.
- Aavedak EPFO, NPS or ESIC se cover nahi raha chahiye.
Important Document
- Aadhar Card
- Identity Card
- Bank Account Passbook
- Postal Address
- Mobile Number
- Passport Size Photo
How To Apply For PM Shram Yogi Mandhan Yojna online?
- Ichhuk Labharthi is page diye gye link se iske official website par visit karen.
- Home page se Click Here To Apply Now par click karen.
- Is Prakar ka ek page open hoga, Isme aap Self Enrollment bale option par click karen.
- Isme Mobile No, enter karke Proceed par click karen.
- Ab aap Email Id aur Captcha Code enter karke Generated OTP par click karen.
- Ek OTP aayega jise enter karke Verified par click kar den.
- Iske baad Application Form open ho jayega jisme sabhi details ko bharkar Mahatvapurn Document ke sath upload karen.
- Ab Analysis ke baad Form jama kar den.
- Last me aavedan form ka ek print out nikal len.
Official Website:- CLICK HERE
2ND STEP PM SHRAM YOGI MANDHAN YOJNA OFFLINE AAVEDAN
- Offline Aavedan karne ke liye sabhi Document ke sath Najdiki Public service center me jayen.
- Iske liye apne sabhi Document ko CSC Officer ke pass jama karen, Iske baad CSC Agent Form ko bhar denge.
- Is Prakar PMSYM Scheme ke liye Application Form Offline bhar sakte hain.