Sarkari Yojna

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojna 2021 – यहाँ करें, PMRPY Scheme के लिए ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन, @pmrpy.gov.in

(Registration) Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojna 2021:- Jaisa ham sabhi ko pata hai ki hamare desh ki Sarkar (Central Government) ne berojgar logo ko rojgar pradan karne ke liye various types ki Sarkari Yojnao ko launch kar rahi hai. Taki desh me berojgari ki sankhya kam ho. Aise hi hal hi me Pradhan Mantri Modi ne berojgar yuvaon ko rojgar pradan karne ke liye ek aur Government Scheme ki shuruat ki hai, Jiska naam प्रधानमंत्री रोजगार प्रोत्साहन योजना hai. Jiska udeshya desh bhar me Rojgar ka avsar pradan karna hai.

To yadi aap PMRPY Scheme kya hai, Iski puri process kya hai. Aap is post ko pura jarur padhen. Yaha aapko Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojna Benefits, Objective, Application Process, Important Document etc, puri jankari mil jayegi. Aap is post ko padhkar is Scheme ka labh aasani se utha sakte hain.

Pradhan Mantri Rojgar Protshan Yojna 2021

Aapko bata den ki Pradhan Mantri Rojgar Protshan Yojna shuruat desh ke Employers ko naye rojgar surgeon karne sath hi protsahit karne ke liye kiya gya hai. PMRPY Scheme ke tahat Sarkar ke dwara employers ko EPF and EPS ka bhugtan kiya jayega. Mili jankari ke anusar is Yojna me Sarkar logo ko 8.33% EPS aur 3.67% EPF ka yogdan degi.

Lekin “Pradhan Mantri Rojgar Progsahan Yojna” ka labh Sarkar dwara sirf naye Rojgar shuru karne ke liye diya jayega. Sidhe taur par ham kahen to is Scheme ka double benefits hai. Kyonki ek side is Scheme ke tahat Employers ko Rojgar Surgeon karne par Incentive pradn ki jayegi, Aur 2nd me is Yojna ke madhyam se desh me rojgar ka avsar uplabdh honge.

Overview of Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojna 2021

Name of Scheme Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojna
Launched By. Government of India
Beneficiary Citizens of india
Objective Generate Employment
Year 2021
Scheme Launch Date01 April 2018
Government ContributionEPS me 8.33% & EPF me 3.67%
Category Central Government Scheme
Official Website https://pmrpy.gov.in/

PMRPY Scheme Online Registration 2021

PMRPY Scheme 2021 ke madhyam se desh ke sharmiko ko organized sector ke social security ka labh diya jayega. Sath hi is Scheme ka labh EPFO ke tahat Registered Employer bhi utha sakte hain. Lekin iska labh uthane ke liye employer ke pass Shram Suvidha Portal ke tahat LIN No. hona chahiye. But is Shceme ka labh tabhi utha skte hain, Jab unka Aadhar UAAM se link hoga aur salary15,000 ya us se kam honi chahiye.

Lekin aapko PM Rojgar Protsahan Yojna 2021 ka labh uthane ke liye kisi bhi Government Offices me jane ki aavashyakta nahi hai, Aap PMRPY Scheme ke official site https://pmrpy.gov.in/ par Register kar sakte hain.

PM Rojgar Protsahan Yojana 2021 (Features & Benefits)

  • Is Scheme ki shuruat naye rojgar ka avsar pradan karne ke liye kiya gya hai.
  • PMRPY Scheme ke tahat Sarkar empolyer ko EPF & EPS contribution pradan karegi.
  • Is yojana me Central Government 8.33% EPS aur 3.67% EPF ka yogdan pradan karegi.
  • PM Rojgar Protsahan Yojana ka labh sirf naye rojgar shuru karne ke liye diya jayega.
  • PMRPY Scheme ke madhyam se berojgar yuvaon aur shramiko ko organized sector ke social security ka labh milega.
  • Central Government ki is scheme ka labh EPFO ke tahat register employer hi utha sakenge.
  • PMRPY Scheme ke tahat employer ke pas Shram Suvidha Portal ke antargat LIN number hona chahiye.
  • PM Rojgar Protsahan Yojana 2021 ka labh employer tabhi utha sakenge jab unka Aadhar UAAM se link hoga aur unki sallary 15,000 ya us se kam honi chahiye.
  • Iske sath hi sabhi berojgar nagrik aatmnirbhar banegen, Sath hi desh ke Economy me bhi sudhar aayega.

PM Rojgar Protsahan Yojna Eligibility Criteria

  • Must be a permanent resident of India.
  • Establishment availing under this scheme should be registered under EPFO.
  • Establishments must have a LIN number.
  • The base of the employees should be linked to UAN.
  • The salary of the employees should be at least 15000 or less.

Required Document

  • Aadhar Card
  • LIN Number
  • Ration Card
  • Birth Certificate
  • Residence Certificate
  • Passport size Photograph
  • Mobile Number
  • Income Certificate

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojna Application Process

  • PMRPY ke official website https://pmrpy.gov.in/ par visit karen.
  • Iske home page par jane ke baad “Register Online” ke link par click karen.
  • Click karte hi Application Form open ho jayega.
  • Form ko sahi se bharen, Aur sabhi important document ko upload karen.
  • Iske baad final Submit button par click kar den.
  • Aapka aavedan pura ho jayega.

Log In Process:-

  • https://pmrpy.gov.in/ par visit karen.
  • Home page se Log In button par click kar den.
  • Aapke samne is type ka new page open ho jayega.
  • Isme LIN/PF Code & Password enter karke Sign In par click kar den.
  • Is tarah se aap Log In kar skte hain.

Important Link Area:-

Online Registration Click Here to Apply
PMRPY Scheme Log In Process Click Here
Official Website https://pmrpy.gov.in/

Yaha aapko PM Rojgar Protsahan Yojna se sambandhit sari jankari di gyi hai. Lekin agar aapko Registration karne me koi problems hoti hai to comment ke through question kar saakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment