Sarkari Yojna

Rajasthan Ration Card New List 2020 | APL/BPL राशन कार्ड Check District Wise Details

Rajasthan Ration Card APL / BPL New List 2020:- Agar aap Rajasthan State ka ek Nagrik hain aur New Ration Card ke liye Aavedan kar chuke hain to ab aap Ration Card List 2020 me apna Naam dekh sakte hain. Rajasthan Sarkar ne Food and Civil Supplies Department ke official web portal par New Labharthi List jaari kar diya hai. Isliye aap sabhi ko is post ke madhyam se suchit kiya ja raha hai ki yadi aapne bhi Rajasthan Ration Card ke liye aavedan kiye hain to is post me di gyi jankari aur official link ko follow karke aap apna Naam kafi aasani se online check kar sakte hain.

New Update:- Rajasthan Government Ne Ration Card New Labharthi List 2020 Food and Civil Supplies Deprtment Ke Official Website Par Jaari Kiya Hai, Aap Is Post Me Diye Gye Official Link Ka Upyog Karke Apna Naam Online Check Kar Sakte Hain.

Rajasthan APL / BPL Ration Card New List 2020

Aap sabhi jan rahe hain ki abhi ke Samay me Kendra Sarkar dwara Desh ke sabhi Rajyao ko Digital India ki Suvidhayen online uplabdh karai ja rahi hai, Usi prakar Rajasthan Sarkar dwara apne State ko Digital banane ka pryash kiya ja raha hai. Isliye Rajya Sarkar ne Ration Card APL / BPL List 2020 Food and Civil Supplies Deprtment ke official website par online jaari ki hai, Jisme apna Naam apne Ghar baithe online dekh sakte hain.

Lekin Rajya ke jin Logo ne abhi tak Ration Card ke liye aavedan nahi kiya hai to vah Online And Offline dono ke madhyam se jitna jald ho sake iske liye Application Form bhar sakte hain.

Aur Rajasthan ke jin Labharthi ka Naam New APL / BPL Ration Card List 2020 me aata hai to unhe Kam Prices par Food aur aavashyak chije Sarkar ki taraf se pradan kiya jayega. Aise bhi Desh ke Partyek State Government dwara Rajya ke Garib Parivaro ke liye Ration Card jaari kiya jata hai.

Rajasthan Ration Card List 2020 – Overview

Name of SchemeRajasthan Ration Card List 2020
DepartmentFood and Civil Supplies Department
BeneficiaryRajasthan Citizen
Check ListOnline
CategoryRajasthan Government Schemes
Official Websitehttp://food.raj.nic.in/

Types of Rajasthan Ration Card

Aapko bata den ki Rajasthan Sarkar dwara Ration Card ko mukhya roop se 3 Bhag me jaari kiya jata hai, Jo Nimnlikhit hai.

  1. APL Ration Card:- Yah Ration Card Rajya ke Garibi Rekha se upar aane bale Logo ke liye jaari kiya jata hai, Jiska Colour Blue hota hai.
  2. BPL Ration Card:- BPL Ration Card Rajya Sarkar dwara Rajya ke Garibi Rekha se niche aane bale Logo ke liye jaari kiya jata hai, BPL Ration Card ka Colour Red hota hai.
  3. AAY Ration Card:- AAY Ration Card Rajya ke sabse Garib Parivar ke liye jaari kiya jata hai, Is Card ka Colour Yellow hota hai.

In sabhi Ration Card ke jariye Rajya ke Labharthi Foods Like Rice, Sugar, Lentils, Wheat, Kkerosene ityadi Samman Kam Price par khrid sakte hain, Aur apne Jivan ko achhe se chala sakte hain.

Benefit of Rajasthan Ration Card List 2020

  • Ration Card List me Rajya ke jin Logo ka Naam aata hai unhe Kam Price par aavashyak Food Grain pradan kiye jayeng.
  • Aap Ration Card ko Voter ID aur Driving License jaise other kisi bhi Sarkari Kamo me use kar sakte hain.
  • Ration Card Rajya ke Nagriko ke liye bahut hi Mahatvapurn Document hota hai.
  • Aur Labharthi Rajasthan ka ek Nagrik hona anivarya hai.

राशन कार्ड धारकों की संख्या प्रदेश में कुछ इस प्रकार है

  • BPL Ration Card -2492859
  • Antoday Ration Card -681713
  • Annapurna Ration Card -8875
  • Other Ration Card -17072722
  • State BPL Ration Card -635123

How To Check Rajasthan Ration Card District Wise List 2020 Online?

Rajasthan State ke jo bhi Labharthi New Ration Card List 2020 me apna dekhne ke liye ichhuk hain, To niche bataye gye tarike ko follow karke online check kar sakte hain.

  • Ab kuchh is prakar se Page open ho jayega.
  • Isme aap apni District ko Select karke Gramin ya Shahri bale Ration Card Number par click karen.
  • Iske baad apne Block ko Select karke, Agle page me apna Panchayat ko Select karen.
  • Ab aapke Panchayat me aane bale sabhi Ganb ka Naam open ho jayega, Isme aap apne Ganb ke Naam par click karen.
  • Aur ab apna FPS Name yani ki Ration Store ka Naam Select karen.
  • Yaha par aap Card Category, Card No aur Card Dharak ke Naam ki List show hoga, Isme apne Naam bale Ration Card Number ko Select karen.
  • Ab Screen par aapke Area ke sabhi Logo ka Naam Show ho jayega, Jinka Naam List me aaya hai, Isme apna Naam dekh sakte hain.

Official Website:- Click Here

How To Check Ration Card Details Online?

Aap bataye gye tarike ko follow karke Ration Card ki sabhi jankari jaise Ration Card No, Dealer Name jaise aur bhi Mahtvapurn Jankari prapt kar sakte hain.

  • Aap niche diye gye link se iske official website par visit karen.
  • Home page se Ration Card Report Option me राशन कार्ड एवं राशन विवरण का विवरण देखे par click karen.
  • Ab ek page open ho jayega, Jisme puchhi gyi sabhi Details ko bharen.
  • Sabhi jankari enter karne ke baad Submit par click kar den.
  • Ab ek List show hoga, Aap isme apni Mata Pita ke naam par click karen.
  • Iske baad Ration Card No. par click karen.
  • Aapke screen par sabhi Details show ho jayega, Isme aap check kar sakte hain.

Official Website:- Go Here

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment