Sarkari Yojna

Tamilnadu Patta Chitta | Check TN Patta Chitta Land Record Online

Tamilnadu Patta Chitta
Written by A to Z Classes

TN Patta Chitta Land Record 2020:- Hello Friends, Aaj ham is post me TN Patta Chitta ke bare me sabhi jankari pradan karenge. Ham aapko Patta aur Chitta kya hai, online application, eligibility, application status aur TN Patta Chitta ki validity ke bare me mahtvpurn jankari pradan karenge. Ab aapko koi CSC centre me paisa ka kharch karne ki jarurat nahi hai, Aap ghar baithe hi online Patta Chitta ke liye aavedan kar sakte hai.

Patta Chitta Tamilnadu sarkar ke dwara jari kiya gaya ek atyant mahtvpurn sarkari record hai. Tamilnadu Sarkar ne ek official website jari kiya hai, Jaha se aap aasaani se land records / Patta Chitta details online dekh sakte hai. Is official website ka direct link niche share kiya gaya hai, Jaha se aap apna bhumi record dekh sakte hai.

Patta ka naam aate hi hamare dimag me yah bat aati hai ki jamin record kaha se aata hai aur Tamilnadu Patta Chitta kaise milta hai. Patta Chitta ke liye eligibility, validity kya hai, aadi saval uthate hai. Isliye, Aaj ke is article me ham aapke sabhi savalo ka javab dene ki koshis karenge, Isliye aap is post ko ant tak padhe.

What is a Patta?

Patta sampati ke asali malik ke naam par Tamilnadu Sarkar dwara jari kiya gaya ek kanuni aur mahtvpurn documents hai. Yah bhumi ke ek vishist tukre ke record ke rup me kaam karta hai. Ise “Record of Rights” (ROR) ke rup me bhi jana jata hai. Patta me niche diye gaye details shamil hai:-

  • Property owner ka Naam
  • Sambandhit jila ka Naam, taluka aur village
  • Patta number
  • Survey Number aur Subdivision
  • Land Area Information & Tax Details
  • Description of land being wetland or dryland

What is a Chitta?

Yah ek legal document hai jo ek achal sampanti ke bare me jankari deta hai, Jo sambandhit Village Administration Officer (VAO) aur Taluka office ke dwara jari kiya jata hai. Chitta sampati ka mailk, aakar , Bhumi ka kshetrafal ke bare me detail jankari pradan karta hai.

Iske dwara prathmikta me, Bhumi ko Nanjai (wetland) aur Punjai (dry land) me vargikrt kiya gaya hai. Shabd “Nanjai” nahro, nadiyo, talabo aadi jaise jal nikay ke sath ek bhumi ya kshetra sandarbhit karata hai, Jabki “Punjai” shabd bhumi ke sath kam jal nikay ke jurav ko darshata hai.

Note:- Tamilnadu Sarkar ne 2015 tak Chitta jari nahi kiya tha. Us Samay Patta me mention sabhi relevant details ke sath Patta aur Chitta ko ek Document me mila diya gaya tha.

தமிழ்நாடு நில தகவல் – तमिलनाडु भूमि की जानकारी

Article NameTN Patta Chitta Land Record
Launched ByTamil Nadu State Government
BeneficiariesPeople of Tamil Nadu
ProcedureOnline
Objectiveडिजिटलीकरण के माध्यम से सूचना तक पहुंच को सुगम बनाना
Department NameRevenue Department
Official Websiteeservices.tn.gov.in/eservicesnew

Steps To TN Patta Chitta Online Application Process

Yadi aap Patta Chitta ke liye Online Application form bharna chahte hai, To niche diye gaye Steps ko follow kare:-

  • Iske homepage par “View Patta & FMB / Chitta / TSLR Extract” ke link par click kare.
  • Ab aapko Jila aur Kshetra chunna hai, Aur aapko Rural aur Urban ka option diya jayega.

For Urban Area

  • Apne district, taluka aur village ka chayan kare aur Patta or Survey Number me se ek ka chayan kare, Aur captcha code bharkar Submit button par clikck kare.

For rural Area

  • Apne district, taluka, city, ward, block, survey number, subdivision number bhar den, aur Captcha code bharkar Submit button par click kar den.
  • Yadi sabhi details sahi paye jate hai, To Town Survey Land Register ek certificate jari karega.
  • Jisme sari jankari land survey number, locality, municipal gate number diya hua rahega.

Transfer of Patta Chitta

Patta Chitta ka transfer sampati ki bikri ki sthiti me kiya jata hai. Patta transfer ki prakriya Patta bhumi ke liye Registration ke saman hai. TN Patta Chitta ke transfer ke liye aavashyak documents is prkar hai:-

  • Copy of land sale record
  • Proof of possession of property, water or electricity bill etc.
  • An affidavit

Patta Chitta transfer ke pramukh charan is prakar hai:-

  • Iske liye aapko najdiki Tehsildar office me ek aavedan jama karna hoga.
  • Application form ke sath sahi documents ke aadhar par specified property ki janch ke bad aapka aavedan savikar ya asavikar kiya jayega.

How to Check the Status of TN Patta Chitta?

Patta Chitta status check karne ke liye niche diye gaye Steps ko follow kare:-

Validation of your Patta Certificate

Aap jari kiye gaye Certificate ki validity ki online janch kar sakte hai, Iske liye aap niche diye gaye Steps ko follow kare:-

Patta Chitta Authorized Certificate Fee

Aap 100 Rupaye ka fee jama kar ke Patta Chitta authorized certificate online prapt kar sakte hai.

Ham aasha karte hai ki aapko TN Patta Chitta Land Record se sambandhit jankari mil gayi hogi. Yadi aapke pass abhi bhi koi question hai, To use niche comment me puchh sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment