Bihar Sarkari Yojna UP

UP & Bihar Pravasi Registration Form and Helpline Number Ghar Aane Ke Liye (घर वापसी)

Written by A to Z Classes

UP and Bihar Pravasi Majdur Ghar Vapsi Registration, Helpline Number: Hello Friends, Yadi aap UP & Bihar se hain aur abhi lockdown ke karan kisi dusre state me fase hue hain to ghar aane ke liye registration kar sakte hain. Bahut saare aise pravasi majdur hain to ab ghar ko lautna chahte hain kyonki unka kaam ho nahi raha hai aur paise bache nahi hai. Aise me aap sabhi ko is article me bataya ja raha hai ki aap kis prakar apne ghar aa sakte hain. Bihar sarkar ne iske liye official notice jaari kiya hai aur kuchh nodal adhikari bhi niyukt kiye hain. Yahan par aap sabhi ko UP & Bihar pravasi majdur registration ki puri jankari aur official site ka direct link update kiya gya hai. To jitne bhi chhatra, majdur aur koi any vayakti abhi ghar lautna chahte hain wo is form ko jarrur bhar den chahen aap kisi bhi state me abhi hain. Aapko bata den ki MHA ne notification jaari kar sabhi state govt ko nirdesh diya hai ki ve apne pravasi majduron ko ghar vapas le ja sakte hain.

Bahut saare rajy me iske liye online registration shuru kar di hai lekin abhi tak UP & Bihar ne sirf helpline number jaari kiya hai. Philhaal yahan par wo har jankari update ki gyi hai jo apko kisi na kisi tarah se madad kar sakta hai. Saath hi sabhi state ke liye helpline number ki list bhi niche update ki gyi hai. To aap sabhi is article ko ant tak padhen aur latest update ke liye baar baar visit karen.

Bihar Pravasi Majdur Registration and Helpline Number

To sabse pahle aap niche ke image me dekh sakte hain jo ki bihar sarkar ke dwara news paper me advt diya gya hai. Yahan par aapko bataya gya hai ki lockdown ke karan jo bhi vyakti fase hue hain aur unhe madad ki jarurat hai to aap niche ke numbers par call kar sakte hain. Is se pahle Bihar Sarkar ne Bihar pravasi corona sahayta app launh kiya hai jis se sabhi ko 1000 rupye ki madad rashi di ja rahi hai jo abhi dusre state me fase hue hain.

To ab jaante hain ki Bihar Pravasi ghar aane ke liye kya kar sakte hain. To aapko bata den ki Abhi tak koi official webiste nahi launch ki gyi hai jis par jakar aap registration karen lekin iske liye 19 Nodal officer tainat kiye gaye hain aur unke mobile numbers bhi bihar sarkar ke dwara share kiye gaye hain. Aap niche se iski puri list check kar sakte hain aur any jankari ke liye official webiste https://covid19.bihar.gov.in/ ya http: // www.labour.bih.nic.in par visit kar sakte hain.

Bihar Pravasi Majdur Ghar Aane Ke Liye Form Kaise Bharen?

To abhi tak jaisa ki bataya ja raha hai registration karwane ke liye aapko in numbers par call karna hai aur uske baad apne bare me jankari deni hai. Dhyan rakeh ki abhi aap jis state me hain usi ke samne bale mobile number par call karna hai. Is prakar yadi sab kuchh sahi rahta hai to aapko bus ya train se bihar vapas laaya ja sakta hai.

UP Pravasi Majdur Panjikaran aur Helpline Number

To yadi aap UP se hain aur ab apne ghar vapas aana chahte hain to yahan bhi apko bata den ki UP sarkar ne abhi tak koi dedicated website nahi launch kiya hai jahan par registration kiya ja sake. Lekin Helpline number jaari kiya gya hai jis par baat kiya ja sakta hai aur help manga ja sakta hai. To sabhi list niche update ki gyi hai aur any official jankari kel iye http://upbocw.in/ & http://uplabour.gov.in/ par visit kar sakte hain.

राज्य का नामहेल्पलाइन नंबर
गोवा / कर्नाटक से उत्तर प्रदेश9415904444 और 9454400135
महाराष्ट्र से उत्तर प्रदेश7007304242 और 9454400177
गुजरात / दमन / div / दादर और नगर हवेली उत्तर प्रदेश के लिए8881954573 और 9454400191
पश्चिम बंगाल / अंडमान और निकोबार से उत्तर प्रदेश9639981600 और 9454400537
उत्तर प्रदेश में ओडिशा9454400133
तेलंगाना / आंध्र प्रदेश से उत्तर प्रदेश98866400721 ​​और 9454402544 और 9454400135 हैं
अरुणाचल प्रदेश / असम / नागालैंड / मेघालय / मणिपुर / त्रिपुरा / मिजोरम से उत्तर प्रदेश9454441070 और 9454400148 है
पंजाब और चंडीगढ़ से उत्तर प्रदेश9455351111 और 9454400190 है
मध्य प्रदेश / छत्तीसगढ़ से उत्तर प्रदेश9454410331 और 9454400157 है
राजस्थान से उत्तर प्रदेश9454410235 और 9454405388 है
हरियाणा से उत्तर प्रदेश9454418828
बिहार / झारखंड से उत्तर प्रदेश9621650067
दिल्ली / जम्मू-कश्मीर / लद्दाख से उत्तर प्रदेश8920827174 और 7839854579 और 9454400114 और 7839855711 और 7839854569
उत्तराखंड / हिमाचल प्रदेश से उत्तर प्रदेश8005194092 और 9454400155
तमिलनाडु / पांडिचेरी से उत्तर प्रदेश9415114975 और 945400162 है

बिहार वापस आने के लिए सवाल जवाब

बिहार वापसी रजिस्ट्रेशन कैसे करें ?

Bihar wapsi ke ke liye registration karne ke liye aapko upar diye gaye nodal adhikari ko call karna hai aur unhe apne bare me batana hai. sabhi list upar share ki gyi hai. Aapko bata denki abhi tak koi official webiste ahi launch kiya gya hai.

वापस आने पर घर में रह सकते हैं या बाहर?

14 Din ke liye qurantine center me rahna hoga aur uske baad hi ghar vapas jaa sakte hain.

बिहार वापसी ट्रेन टिकट के पैसे देने हैं क्या?

Nahi, Yah sewa rajy sarkar dwara muft hai.

झारखण्ड प्रवासी घर आने के लिए भरें

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

3 Comments

Leave a Comment