Sarkari Yojna

UP Shadi Anudan Yojna 2022 Apply Online | उत्तर प्रदेश विवाह अनुदान योजना

Uttar Pradesh Shadi Anudan Yojna Apply Online 2022:- Hello Guys, Aaj aap sabhi ko is post ke madhyam se Uttar Pradesh Shadi Anudan Yojna ke bare me puri jankari diya ja raha hai. Is Vivah Anudan Yojna ka shuruaat Chief Minister of Uttar Pradesh (Yogi Aditya) Ji ke dwara kiya gya hai, Bata den ki is Yojna ke antargat Rajya ke jo bhi Parivar aarthik roop se kamjor hain ya ek Garib Family se belong karte hain unki betiyon ke shadi ke liye kuchh sahayata Rashi pradan ki jayegi.

Uttar Pradesh Shadi Anudan Yojna ke madhyam se State Government dwara Garib Parivar ki Betiyon ke Shadi ke liye Rs. 51,000 Rupye ki aarthik sahayata pradan kiya jayega, Jabki is Yojna me Rajya ke sirf Scheduled Castes, Scheduled Tribes, Other Backward Classes, Minorities, General Class ke Parivaro ko hi Shamil kiya jayega. Yadi aap bhi is UP Shadi Anudan Yojna 2022 ka labh prapt karna chahte hain to is post me di gyi saari jankari Eligibility Criteria, Document, Application Process Ityadi jaise sabhi jankari prapt kar sakte hain.

Uttar Pradesh Shadi Anudan Yojna 2022

To Uttar Pradesh ke jo bhi Labharthi Uttar Pradesh ke Mukhyamantri dwara diye ja rahe UP Shadi Anudan Yojna ka labh uthane ke liye ichhuk hain, To ve iske official website par jakar UP Shadi Anudan Yojna ke liye online Application Form bhar sakte hain.

Lekin Uttar Pradesh Vivah Anudan Scheme 2022 ke tahat Rajya Sarkar se financial help prapt karne ke liye labharthi ke family ki Income grabi sima ke antargat honi chahiye, Yani ki jo Gramin Area ke rahne bale log hain unki Annual Income 45000 Rupaye ki aas pas honi chahiye, Aur jo vyakit kisi anya Sahar me rahte hain unki Annual Income 55000 Rupaye se adhik nahi honi chahiye, Tabi Aap iske liye online aavedan kar payenge.

Overview of Uttar Pradesh Shadi Anudan Yojana 2022

Name of SchemeUttar Pradesh Shadi Andudan Scheme
Started byChief Minister Yogi Adityanath
BeneficiaryState Girls
ObjectiveLadakiyon Ki Shadi Me Aarthi Madad Pradan Karna
Application ProcessOnline
BenefitRs. 51,000 Rupaye
CategoryUttar Pradesh Government Schemes
Official Websiteshadianudan.upsdc.gov.in/

यूपी शादी अनुदान योजना का मुख्य उद्देश्य

UP Shadi Anudan Yojna ka mukhya udeshya hai ki Uttar Pradesh ke Garib Log jo aarthik roop se kamjor hone ke karan apni ladakiyon ko Shadi nahi kar pa rahe hain, Aur paise ke idhar udhar bhatak rahe hain. Isi ko dekhte huye Rajya Sarkar dwara Uttar Pradesh Shadi Anudan Yojna ko shuru ki gyi hai. Taki sabhi Cateogry ke logo ko unki ladakiyon ki Shadi ke liye Rjaya Sarkar dwara Sahayata Rashi pradan kiya ja saken, Aur is Yojna ke jariye Ladakiyon ko lekar logo ko Negative Soch ko badalna hai.

Benefits of UP Shadi Anudan Yojna 2022

  • Is Yojna ka labh Garib Parivar ki Ladakiyon ko pradan kiya jayega.
  • Shadi Anduan Yojna 2022 ke tahat sabhi Category ke Parivaro ke Ladadkiyon ki Shadi ke liye State Government dwara shayata Rashi pradan ki jayegi.
  • Aur is Yojna ke madhyam se Rajya ke log ko Ladadkiyo ko lekar Negative Soch ko badalan hai.
  • Rajya ke jo vyakti apni Ladkiyon ke liye Sarkar dwara diye gye Dhan Rashi prapt karna chahte hain to iske official website par jakar online aavedan kar sakte hain.

Eligibility Criteria For UP Shadi Anudan Yojna

  • Is Yojna ka labh prapt karne ke liye ek Uttar Pradesh ke sthai nivasi hona jaruri hai.
  • Shadi Anudan Yojna ke liye SC/ ST/ Minorities, Backward Classes, Other Backward Classes ke Parivaron ko unki ladakiyon ki Shadi ke liye Shayata Rashi pradan ki jayegi.
  • Is Yojna ke that Shadi ke samay Ladki ki Age 18 Varsh aur Ladke ki Age lagbhag 21 Varsh hona chahiye.
  • Gramin Area ke sabhi eligible parivaro ko Annual Income 45,000 Rupye hona chahiye.
  • Aur Sahri Area ke sabhi eligible parivaro ki Annual Income 55,000 Rupaye ke bich honi chaiye.

Requrire Document

  • Aadhar Card
  • Caste Certificate
  • Income Certificate
  • Applicant’s Identity Card
  • Bank account
  • Mobile Number
  • Applicant’s Marriage Certificate
  • Passport Size Photo

How To Apply For Uttar Pradesh Marriage Grant Scheme 2022 online?

UP Shadi Anudan Yojna 2022 ka labh uthane ke liye aap niche bataye gye tarike ko follow karke iske official site par jakar online Application Form bhar sakte hain, Iska official link niche provide karaya gya hai.

  • Sabse pahle aavedak ko iske official website par jane ki aavashyakta hai.
  • Iske home page par jane ke baad Registration bale option par click karna hai.
  • Ab aapko apni Cast ke anusar kisi ek option par click karna hai.
  • Click karne ke baad Aavedan Form open ho jayega.
  • Jisme puchhi gyi saari details jankari ko sahi se bharen.
  • Form ko pura bahrne ke baad submit bale button par click kar den.
  • Is prkar se aapka aavedan form bhara jayega.
  • Aap iska ek print out nikalkar apne future ke liye rakh sakte hain.
Official WebsiteGo Here

Important Instruction:-

UP Shadi Anudan Yojna ke liye Aavedan Form jama karne ke baad direct Labharthi ke Bank account me paise transfer kar di jayegi, Iske liye aaedak ke pass apna Bank Account hona aavashyak hai. Aur Sarkar dwara di jane bali Rashi tabhi nikal sakti hai jab unki Ladki ki Shadi ho.

UP Shadi Anduan Yojna 2022 ke liye aavedan sirf 3 Mahine pahle ya 3 Mahine baad tak accept kiya ja sakta hai. Yadi aap iske bare me aur kuchh puchhna chahte hain to comment box ke jariye puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment