Contents
UPTET 2023 Latest News Update:- UPTET Uttar Pradesh Basic Education Board (UPBEB) ke dwara aayojit ek State-Level Exam hai. Uttar Pradesh Teacher Eligibility Test (UPTET) Exam Uttar Pradesh ke School me Primary teachers (Classes I-V) aur Upper Primary (Junior) teachers (classes VI-VIII) ke Bharti ke liye har Varsh me ek bar aayojit ki jati hai. UPTET Uttar Pradesh me Class I Se VIII Ke liye Teacher ke rup me niyukti ke liye patra hone ke liye minimum qualification jaruri hai.
Yadi aap bhi Uttar Pradesh me Primary Teachers ke liye hone bale UPTET Exam me shamil hona chahte hai, To is Post me aap sabhi UPTET 2023 Latest Update prapt kar sakte hai. Iske Official Site se aap UPTET ke Latest Update ki jankari prapt kar sakte hai, Aapko bata den har Varsh lagbhag 17 Lakhs Candidates UPTET Exam me shamil hote hai. UPTET Latest Official Notification ka Link niche is Post me share kiya gaya hai.
Is Article ke madhyam se aap UPTET Latest News 2023 arthat online application, syllabus and pattern, result, cut-off marks, merit list, helpline / toll-free number aur bhi kai jankari Hindi me dekh sakte hai. UPTET 2023 Exam me Registration ke liye Direct Link aur Step by Step method bhi provide kiya gaya hai.
UPTET 2023 Latest Update in Hindi
Uttar Pradesh Basic Education Board sabhi eligible and interested candidates ko aamantrit Karne ke liye UP Teacher Eligibility Test UPET 2023 ka aayojan karti hai. Eligible Candidates jo Teaching Field me apna Career banane ke ichhuk hai, Ve Online Application form bhar sakte hai, Aur antim date se pahle Registration bhi karba sakte hai.
Uttar Pradesh Basic Education Board (UPBEB) ke dwara apne Official Website https://updeled.gov.in par UPTET 2023 Exam ke liye bahut jald hi Official Notification jari kar diya jayega. Pichle mahine hi UPTET 2023 ka Result ghoshit kiya gaya hai.
यूपीटीईटी 2019 रिजल्ट जारी, प्राथमिक में 70 और उच्च प्राथमिक में 89 फीसदी फेल- प्राथमिक स्तर परीक्षा में 990744 में शामिल हुए, 294635 पास हुए, परिणाम 29.74 फीसदी रहा। वहीं उच्च प्राथमिक स्तर में 523972 परीक्षा में शामिल हुए, 60068 पास हुए। इस प्रकार 11.48 फीसदी रहा।
UPTET 2023 Selection Process
UPTET selection process me nimnlikhit Stages shamil hai:-
- UPTET Exam me 2 Paper hote hai. Paper I un Candidates ke liye hai jo ki Class I se V ke bachho ko padhana chahte hai, Aur Paper II me Classes VI – VIII me padhane ke liye candidates ko Exam me shamil hone ki jarurat hai. Class I se VIII me padhane ke liye aapko dono Papers ka Exam dena hoga.
- UPTET Result ki ghoshana UPBEB ke official website par ki jati hai, Written Exam me Minimum 60% Marks prapt karne bale Candidates ko UPTET me Qualified ghoshit kiya jata hai.
- Written Exam pass karne bale Candidates ko UPBEB ke dwra Eligibility Certificate jari kiya jata hai. Certificate ki madad se ve kisi bhi Teaching Job ke liye aavedan kar sakte hai. UPTET Eligibility certificate ka Validity 5 years hoti hai.
UPTET 2023 Eligibility Criteria
UPTET 2023 exam ke Paper I aur Paper-II me upasthit hone ke liye eligibility criteria ko padhne ke bad Candidates ko aavedan karna chahiye.
Class I se V ke liye:- Candidates ko minimum 50% Marks ke sath kisi bhi Stream me Graduation pura kiya jana chahiye aur BTC training or D.Ed. me 2 Years ka Diploma hona chahiye.
Class VI se VIII ke liye:- Candidates ko minimum 50% Marks ke sath kisi bhi Stream me Graduation pura kiya jana chahiye. Aur unke ke pass B.Ed or BTC training or B.El or NTT ki Degree bhi honi chahiye.
UPTET 2023 Application Fee
UPTET 2023 Paper I aur Paper-II ke liye online application fee niche diye gaye hai:-
CATEGORY | Only Paper – I or II | Both Paper- I & II |
General/OBC | Rs.600/- | Rs.1200/- |
SC/ST | Rs.400/- | Rs.800/- |
Differently Abled Person | Rs.100/- | Rs.200/- |
How To Fill UPTET Registration Form Online?
Sabhi eligible Candidates jo UPTET 2023 Exam me shamil hona chahte hai, Ve last date se pahle Online Application Form bhar sakte hai. Candidates ko UP Teacher Eligibility Test 2023 application form bharne me koi bhi galti nahi karna chahiye Kyunki galati hone par Form reject kar diya jayega.
- Sabse pahle aap sabhi diye gaye Link ki madad se aap iske official site par visit kare.
- upbasiceduboard.gov.in
- Iske homepage par Log.in kar len.
- Vaha diye gaye nirdesh ke anusar Registration Form bhar sakt hai.
- Fir Personal aur Education Details bhar den.
- Aur signature photo upload kar den.
- Fir Registration form ka Payment kar den.
Official Website:- http://upbasiceduboard.gov.in/
UPTET Admit Card 2023
UPTET 2023 ke liye Admit Card/Hall Ticket Exam se 2 Week pahle jari kiya jata hai. Sabhi candidates ko Examination Hall me admit card le jana hoga. UPTET 2023 Admit Card download karne ke liye aap niche ke diye gaye Steps ko follow kare:-
- Sabse pahle, Official site yani upbasiceduboard.gov.in par jaye.
- Fir “Download Admit Card” ke Link par Click kare.
- Uske bad registration number, name, roll number bhar den.
- Aapka Admit show ho jayega.
- Aur fir iska Print Out nikal len.
UPTET 2023 Exam Pattern
- Duration of Examination: 2:30 Hours (150 minutes)
UPTET 2023 Topics | No of Questions | Marks |
---|---|---|
Child Development and Pedagogy | 30 | 30 |
Language I (Hindi) | 30 | 30 |
Language II (English/ Urdu/ Sanskrit) | 30 | 30 |
Mathematics | 30 | 30 |
Environmental Studies | 30 | 30 |
Total | 150 | 150 |
- Duration of examination: 2:30 Hours (150 minutes)
UPTET 2023 Topics | No of Questions | Marks |
---|---|---|
Child Development and Pedagogy | 30 | 30 |
Languages I | 30 | 30 |
Language II | 30 | 30 |
Science and Mathematics (OR) Social Science | 60 | 60 |
Total | 150 | 150 |
UPTET 2023 Helpline No.
UP Teacher Eligibility Test 2023 ke sambndh me kisi bhi samasya ke liye, Aap diye gaye Helpline No. par contact kar sakte hai:-
- Tollfree Number: 1800 – 345 -3525
- Helpline Number: 05322466761/2466769