Contents
UP Vishwakarma Shram Samman Yojana 2020:- To Guys aaj ke is article me aap sabhi ke liye Vishwakarma Shram Samman Yojna 2020 Uttar Pradesh ke bare me jankari lekar aaye hain. Jo is page ke madhyam se bataya ja raha ki Uttar Pradesh Mukhyamantri Yogi Adityanath Ji ke dwara shuru kiye kiye gye is Viswakrma Shram Samman Yojna 2020 kya hai, Aap is Yojna ka Labh kis prakar se utha payenge, Iske liye Mahatvapurn Document kya hai ityadi. Yadi aap iske bare me puri Jankari prapt karna chahte hain to aap is post ko dhyan se padhe.
Sabse pahle to UP Mukhyamantri ne sabhi Traditional Karigro ke Development aur Self Employment Yani Swarojgar ko badhawa dene ke liye is Viswakrma Shram Samman Yojna 2020 ki shuruaat ki hai. Jiske liye is Yojna ke antargat Online Registration Process ki shuruaat Labor Ministry ke official portal diupmsme.upsdc.gov.in par shuru kar di gyi hai.
Uttar Pradesh Vishwakarma Shram Samman Yojna 2020
Is Yojna ke antargat Traditional Karigro ko apne Hunar ko aur badhane ke liye 6 Dino ki Training di jayegi, Jiska pura Kharch Rajya Sarkar dwara uthaya jayega. Aur Rajya Sarkar dwara Local Artisans and Traditional Artisans ko ek Business shuru karne ke liye Rs. 10,000 Rupaye se lekar 10 Lakh Rupaye tak ki aarthik Sahayata bhi uplabdh karai jayegi.
Aapko bata den ki UP Government dwara is Lockdown ke Samay me Shramik ko apna khud ka Rojgar karne ke liye Protsahit aur unke Hunar ko aur jyada badhane ke udeshya se UP Vishwakarma Shram Samman Yojna 2020 ki shuruaat ki gyi hai, Jiske liye Online Registration shuru ho ho chuka hai. Aavedan karne ke liye Labharthi iske official site par niche diye gye Link se visit kar sakte hain.
UP Vishwakarma Shram Samman Yojna 2020 – Overview
Name of Sheme | Uttar Pradesh Vishwakarma Shram Saman Yojna 2020 |
Started by | By Ministry of Labor |
Beneficiary | State Workers |
Objective | Shramiko ko Kaushal me Growth karna |
Application Process | Online |
Benefit | 6 Days Free Training Suvidha |
Category | UP Government Schemes |
Official Website | www.diupmsme.upsdc.gov.in/ |
Is Yojna ke tahat Uttar Pradesh ke Sahari ya Gramin Area ke Carpenter, Tailor, Basket Weaver, Hairdresser, Goldsmith, Blacksmith, Potter, Confectioner, Cobbler Jaise Traditional Traders and Handicrafts ki Kala ko Protsahit karne aur aage badhane ke liye State Government dwara is Sarkari Yojna ko shuru karne ka nirnay liya gya hai. Jiske liye Registration sabhi Labharthiyo ko unke Kaushal me Growth ke liye 6 Dino ka Training pradan diya jayega.
Eligibility Criteria For Vishwakarma Shram Samman Yojana
Rajya ke jo bhi Labharthi is Yojna me aavedan karne ke iye ichhuk hain unhe kuchh Eligibility Criteria ko pahle pura karna hoga.
- Sabse pahle Uttar Pradesh ka ek Sthai Nivasi hona anivarya hai.
- Aavedak ki Minimum Age 18 Varsh se kam nahi honi chahiye.
- Is Yojna me kisi prakar ki Educational Qualification ki aavashyakta nahi hai.
- Central Government ya State Government se sambandh me Labh prapt Shramik is Yojna ka Labh nahi prapt kar sakte hain.
- Aavedak ke Parivar se sirf ek hi Members is Yojna ke liye eligible hain.
Required Document
- Aadhar Card
- Proof of Being a Skilled Artisan
- Bank Passbook
- Residential Certificate
- Passport Size Photo
UP Vishwakarma Shram Samman Yojna Online Registration Process
Uttar Pradesh Vishwarkarma Shram Samman Yojna 2020 ke liye Online Registration karne ke liye ke liye Labharthi niche bataye gye step ko follow karke Registration Process ko pura kar sakte hain.
- Sabse pahle Directorate of Industries and Promotion of U.P ke official site diupmsme.upsdc.gov.in par visit karna hoga.
- Iske home page se aap Log.in Section me Applicant’s Log.in bale option par click karen.
- Ab ek naya page khul jayega jisme aapko Left Side me diye gye New User Registration par click karna hai.
- Iske baad aapke screen par Registration Form open ho jayega.
- Is Form me puchhi gayi sabhi Details Jankari ko enter karen.
- Sabhi jankari ko enter karne ke baad aap upar ke Drop Down se apne Yojna ko Select karke Captcha Code ko enter karne ke baad Submit par click kar den.
Official Website:- Go Here
Contact Number:-
Address: – Directorate of Industries, Grand Trunk Road Kanpur, Uttar Pradesh
- Toll Free Helpline Number:- +91 (512) 2218401, 2234956
- Email ID:- dikanpur@nic.in, dikanpur@gmail.com
Jo bhi Vyakti ko online aavedan karte samay kisi prakar ki problems hota hai to vah upar me diye gye Helpline Number par Call karke Jankari prapt kar sakte hain.
Yadi aapke pass is Yojna se Sambandhit aur koi Saval hai hai to aap niche diye gye Comment box se puchh sakte hain.