Contents
10th Ke Baad Kya Karen: Hello Friends, Kya aap 10th pass kar chuke hain ya is baar 10th ka exam dene bale hain to is article me aap sabhi ko batayenge ki 10th Ke Baad Kya Karen ya kaun sa course karen, kaun sa subject chune aur kya kya kar sakte hain 10th ke baad jobs. Class 10th pass hone ke baad bahut saare students confuse hote hain ki unhe kya karna chahiye, kaun sa course lena chahiye ityadi. Ye article aap sabhi ke liye kafi upyogi saabit hone bali hai. Yaha par aap sabhi ko bataya jayega ki 10th ke baad aap kya kya kar sakte hain apne career ke liye ya education ke liye. 10वीं के बाद क्या करें?
Class 10th kisi bhi student ka pahla step hota hai unke career ke liye. Is samay ve aisi raah par hote hain jahan se unhe nirnay lena hota hai ki unhe future me kya karna hai aur wo kaun sa education len taki unhe ye aage ke career me madad kare. To yadi aap bhi pure tarah se aasavst nahi hain ki aage kya karna hai to ye article aap ant tak padhen aur uske baad aap aasani se jaan payenge ki aapko aage kya karna chahiye.
Aam taur par sabhi students 10th karne ke baad 12th karte hain lekin isme bhi unhe apna stream chun na hota hai ki ve Arts len, Science len ya phir commerce. Waise to ye aapke interest par nirbhar karta hai ki aapko kaun sa strem chunna chahiye lekin yaha par ham sabhi stream ke bare me batayenge aur uske baad aap jankar ye faisla le sakte hain aapko kaun sa course ya subjects lena hai jisme aapki ruchi ho.
In sabhi streams ki diffrence aap sabhi ko is article me mil jayegi aur inme aapko kaun kaun sa subjects padhna hai uski bhi jankari yaha par mil Jayegi.
10th Ke baad sabhi streams ki list niche di ja rahi hai aur uske baad aapko vistar se bataya jayega sabhi stream ke bare me.
- ARTS(कला)
- COMMERCE (वाणिज्य)
- SCIENCE (विज्ञान)
- Stream-Independent Career Options (प्रोफेशनल कोर्स)
10th ke Baad 12th ‘Arts’ Ki Jankari
Pure student ki baat karen to to 10th ke baad sabse jyada Arts Subject chunte hain. Vaise jo students kamjor hote hain wo Arts chunte hain aur baki log sochte hain ki Arts karne ke baad koi bhi scope nahi hai career me. To aap sabhi ko bata den ki ye bilkul galat hai. 12th Arts karne ke baad bhi bahut saare career options aapke pass hote hain. Un sab ke bare me yaha par bataya jayega. Short me aapko bataye to 12th Arts karne ke baad ek achhe politician, Judge, Vakeel, Professor, IAS, IPS ityadi bahut saare options aapke pass hote hain.
Arts me Kaun Kaun Se Subject Hote Hain?
Jab aap 12th me Arts lene ka man banate hain to aapko pata hona chahiye ki Arts me kaun kaun se subject aapko padhne honge ya aapke pass Subjects chun ne ka option kya hai. To niche 12th arts me subjects ki puri list di gyi hai.
Geography |
History |
Sociology |
English |
Literature |
Economics |
Political Science |
Psychology |
Fine Arts |
Physical Education |
10th Ke Baad Commerce Subject Ki Jankari
Ab yadi aap 10th ke baad Commerce lene ki soch rahe hain tab bhi ye aapke pass ek best option hota hai. To yadi aapko accounts aur banking ke taraf interest hain to ye stream aapke liye kafi upyogi ho sakti hai. Ye bhi career se related ek behatrin course hai jise karne ke baad aap Bank me jobs, CA ityadi ban sakte hain.
Commerce me Subjects Chunne ke Options
To yadi aap commerce stream lete hain to aapko pata hona chaiye ki isme kaun kaun se subject aapko padhne honge. To aaiye jaante hain hain commerce ke sabhi subjects ko.
Accountancy |
Business Studies / Organisation of Commerce |
Economics |
Statistics |
Information Practices |
Mathematics |
English |
10th Ke baad Science Stream Ki Jankari
Science aisa subject hai jiski aaj ke samay me kafi jyada demand hai aur aage jakar bhi aapko ye bahut saare higher courses me kaam aane bala hai. Aisa mana jata hai ki Hosiyar bache jyada tar science lete hain kyonki aage Jakar ye unko Engineer, Doctor, Scientist ban ne me madad karega. To yadi ye sab aapka bhi ek lakshya hai to aap Science stream ko chun sakte hain aur iski padhai kar sakte hain. Science me do tarah ke subject hote hain. Ek medical aur dusra Non Medical. Yadi aapko doctor ban na hai to to aap medical subject yani Biology le sakte hain. Aur yadi aapko Engineer banna hai to Non medical subject jaise ki Maths le sakte hain. Aapko bata den ki Dono me aapko Physics, Chemestry Aur Language Subject Anivarya hai.
- Physics, Chemistry, Math (PCM)
- Physics, Chemistry, Biology (PCB)
- General Group (PCMB): Physics, Chemistry, Math, Biology
Science Me kaun Kaun se Subjects Le Sakte Hain?
To aaiye ab jaante hain ki yadi aap 10th ke baad 12th me science stream chunte hain to phir kaun kaun se subjects le sakte hain. Sabhi subjects list niche di gyi hai.
Physics |
Chemistry |
Mathematics |
Biology |
Computer Science / IT (Information Technology) |
Biotechnology |
English |
10th Ke Baad Polytechnic Ya Diploma
Agar aap 10th class ke baad school nahi join karna chahte hain to phir iske jagah par aap professional course ya diploma karke achhi job paa sakte hain. Bahut se student 10th karne ke baad Polytechic me admission ke liye entrance exam dete hain aur yadi unka selection ho jata hai to ve Kisi bhi Government Polytechnic college me admission le lete hain Jisme alag alag courses me wo diploma kar sakte hain. Aap 10th ke baad Kisi private polytechinc college me direct admission bhi le sakte hain. Isme alag alag stream hota hai jisme aap apne ruchi anusar koi bhi chun sakte hain aur ye aapke college par bhi nirbhar karta hai ki us college me ye course karwaya jata hai ya nahi.
Electrical Engineering |
Instrumentation & Control |
Information Technology |
Architectural Assistantship |
Textile Technology |
Mechanical Engineering |
Civil Engineering |
Computer Science & Engineering |
Chemical Engineering |
Glass and Ceramic Engineering |
Dairy Engineering |
Interior Decoration & Design |
Agriculture Engineering |
Textile Chemistry |
Modern Office Management & Secretarial Practice |
Fashion Designing and Garment Technology |
Pharmacy |
Air Craft Maintenance |
Material Management |
Leather Technology |
Plastic & Mould Technology |
Paint Technology |
Textile Design |
Printing Technology |
Hotel Management & Catering Service |
Avionics |
Library and Information Science |
Home Science |
Commercial Practice |
Mass Communication |
10th Ke Baad ITI
Yadi aap kam samay padhkar job karna chahte hain to aap ITI kar sakte hain 10th ke baad aur phir Job kar sakte hain. ITI me bhi alag alag trades hote hain aur ye course 1 ya 2 saal ke ho sakte hain. Aap apne ruchi ke anusar koi bhi trades chun sakte hain aur uske baad ise pura karke sarkari naukri karne ke avsar pa sakte hain.
Iske course ya trades ke bare me puri list niche di gyi hai….
Trade Name | Course Duration |
Tool & Die Makers (Press Tools, Jigs & Fixtures) | 3 Years |
Draughtsman Civil | 2 Years |
Instrument Mechanic | 2 Years |
Macchinist Grinder | 2 Years |
Electrician | 2 Years |
Radio & TV Mechanic | 2 Years |
Radiology Technician | 2 Years |
Machinist | 2 Years |
Mechanic Motor Vehicle | 2 Years |
Surveyor | 2 Years |
Automobile Sector | 2 Years |
Information Technology Sector | 2 Years |
Electrical Sector | 2 Years |
Production & Manufacturing Sector | 2 Years |
Fitter | 2 Years |
Refrigeration & Air conditioner Mechanic | 2 Years |
Draughtsman Mechanical | 2 Years |
Electronics Mechanic | 2 Years |
Information Technology & Electronic System Maintenance | 2 Years |
Painter (General) | 2 Years |
Turner | 2 Years |
Wireman | 2 Years |
Architectural Assistant | 1 Year |
Carpenter | 1 Year |
Computer Hardware & Networking | 1 Year |
Dent Beating & Spray Painting | 1 Year |
Mechanic Diesel | 1 Year |
Mechanics Tractor | 1 Year |
Interior Decoration & Designing | 1 Year |
Auto Electrician | 1 Year |
Sheet Metal Worker | 1 Year |
Steel Fabricator | 1 Year |
Craftsman Food Production (Gen) | 1 Year |
Cutting & Sewing (Girls) | 1 Year |
Desktop Publishing Operator | 1 Year |
Welder (Gas & Electric) | 1 Year |
Baker & Confectionery | 1 Year |
Commercial Arts | 1 Year |
Cutting & Sewing (Co ed) | 1 Year |
Computer Operator & Programming Assistant (COPA) | 1 Year |
Automotive Body Repair | 1 Year |
Digital Photography | 1 Year |
Secretarial Practice (English) | 1 Year |
Steno English | 1 Year |
Steno Hindi | 1 Year |
Automotive Paint Repair | 1 Year |
Dress Designing | 1 Year |
Dress Making | 1 Year |
Embroidery & Needle Work | 1 Year |
Fashion Technology | 1 Year |
Plastic Processing Operator | 1 Year |
Hair & Skin Care | 1 Year |
Plumber | 1 Year |
Scooter & Auto Cycle Mechanic | 1 Year |
Health & Sanitary Inspector | 1 Year |
Hospital House Keeping | 1 Year |
Li-tho Offset Machine Minder | 1 Year |
Office Assistant Cum computer Operator | 1 Year |
Steward | 1 Year |
Textile Designing | 1 Year |
Call Centre Assistant | 6 Months |
Data Entry Operator | 6 Months |
Event Management Assistant | 6 Months |
Tourist Guide | 6 Months |
Domestic House Keeping | 6 Months |
Corporate House Keeping | 6 Months |
Front Office Assistant | 6 Months |
Office Machine Operator | 6 Months |
10th Ke Baad Jobs
Yadi aap kisi vajah se 10th ke baad aage ki padhai nahi kar pate hain to phir aap 10th ke baad jobs bhi kar sakte hain. Niche aap sabhi ko bataya gya hai ki 10th ke baad aap kaun kaun si job kar sakte hain aur aap sabhi ko atozclassses.com par sabhi job ki jankari mil jati hai. Vaise 10th ke baad job karne par aapko salary thodi kam hogi lekin phir bhi yadi aapki ye majboori hai to aap job kar sakte hain. 10th ke baad aap Railway, Army, Police, Post officice, SSC MTS ityadi me job kar sakte hain.
Engineering in physics chemistry and maths
Nice explain