Career

12th Arts Ke Baad Kya Karen पूरी जानकारी हिंदी में

Written by A to Z Classes

12th Arts Ke Baad Kya Kare:- Hello Friends, Jaisa ki aapne dekha ki 12th Arts ke baad kya kare, 12th Arts ke baad apna career kaise banaye, kaun sa course iske baad karen. 12th Arts stream ke student kaun kaun sa course me admission le sakte hain. Aap sochte honge ki 12th to Arts se maine to kar liya lekin iske baad ab karna kya hai. Aur Arts se 12th ke baad career options Kaun sa subject lena chahiye. To ye saari jankari aap sabhi ko is article ke dwara diya ja raha jise aap padhkar apna kaam aashan bana sakte hain. To aap iske liye is post ko last tak padh sakte hain.

To aap sabhi ko batate chale ki hamare country me eduction ka level day par day badhte hi ja raha hai aur students ko career ko lekar tension din par din badhti ja rahai aur competition bhi badhta ja raha hai. Aaj ke samay me har koi sabse achhi naukri aur career banana chahta hai. To fixed roop se hard work hi Aaj ke time me success karta hai lekin ek aur baat hai jo aap sabhi ke liye important hai aur wo hai proper planning (उचित योजना) iske bina aap yaha tak ki hard work bhi aapko us success ki guarantee nahi de sakta hai jise aap hamesha se prapt karne ke liye soch rahe honge.

12th Arts Ke Baad Kya Kare?

is se pahle ki aap reality me kuchh decision point tak pauch sake, Aur apne career ki proper planning banana aapke liye bahut important hota hai. Arts se 12th Class pass karne ke baad india me ek student ke paas bahut saare option hote hain. Aise kayi chance uplabdh hai jo 12th pass karne balo ke liye Arts ke Saath ek achha career option provides karta hain. Aur aaj ke time me advance me apne next steps ki plan banana bahut important hota hai. Jiske bare me janne ke liye aap lagatar is post ko padh sakte hain.

Jab aap primary school me the to aapko future me kya kara hai iske bare me aapko koyi idea nahi tha. Lekin jab aap 12th pass kar lete hian to aapke jivan me ek important stage aata hai aur aap apne career ki direction me first step badhate hain. Jaise jaise aap bade hote chale jate hain aapko pata chalta hai ki career select karna ek bahut hi complex process hai aur uchit decision lene ke liye aapko bahut research work ki aavshyakta hoti hai.

Aur yadi aapne Arts Stream me apna school smapt kar liye hai to aapne pahle se hi education ke bare me ek micro vision prapt kar liye hain. yah clear hai ki aapke paas uplabdh choices ke bare me bahut jyada idea hai aur 12th ke baad in sab career area ke kuchh wide knowledge ko gather karne ka time hai.

Aapko bata den ki badalte career scenario se 12th ki baad student ko aaj jankari aur different career choice ki aavashyakta hoti hai aur is baat ko Dhyan rakhte Huye bahut saare college aur professional institute free me guidance provide karte hain. Lekin ye jyadatar student ko apne course ki or attract karne ke liye hote hain. kyonki apna rasta khud select Karna jyada achha hota hai kyonki aapke alawa koyi bhi person aapki abilities ko achhi tarah se smajh nahi sakta hai.

12th Arts के बाद कुछ Professional Course

Aapko bata den ki Kuchh University me English, Mass Communication, Foreign Language me 5 Years Master course hote hain. Aur kuchh other course jo student karna chahte hain. Jaise Fashion Designing, BCA, Dance Course, Acting Course, Foreign Language Course Mass Communication Course etc ko Shamil karne ka option chun sakte hain. Arts ke student ke liye bahut saare option uplabdh hai lekin jarurat is baat ki hai ki apni abilities ke adhar par sabse achha popular option kaise chun sakte hain.

Bachelor of Arts

BA ko ham Bachelor Of Arts se bhi jante hai yah 3 saal ka course hota hai jiske baad aapke paas aur bhi jyada career options moujud ho jate hain. Yah professional course me aata hai jo jyadatar Arts Student lene ke liye like karte hain. Bata den ki is course ko karne ka sabse bada profit yah hai ki aapka aashani se Undergraduate pura ho jata hai kyonki iska syllabus jyada hard nahi hota hai. Agar aap koyi sarkari naukri karna chahte hain to uske liye graduate hona jaruri hota hai. agar aapka BA gaduation pura ho jata hai to aap kisi bhi sarkari naukari ke liye exam de sakte hain. BA aajhkal jyadatar college offer karti hai to aapko jyada dikkat bhi nahi hone bali hai aur aapko sheet bhi aashani se mil jati hai.

A career in Hospital Management

Hospital Management ke liye hamare country me bahut teji se popularity hasil kar raha hai. Halanki yah western countries me ek naya career option nahi hai, aur hamare country me yah career option pichhle kuchh saalo me popular ho gya hai. In dino jivan leval day par day badhta hi ja raha hai aur log hospital ke liye bahut paise kharch kar rahe hain. Yadi aap dusre ko seva karna chate hain to hospital me 12th Arts ke baad aapke liye ek career ka achha option hai jiska aap labh utha sakte hain.

To is tarah ke course different level par Hospitality Industry me doors kholte hain. Hospital Management ke area me different organization aur institute kayi tarah ke course ko sanchalit karte hain. Kuchh organization kuchh course ke liye kebal biology ke student ko accpet karte hain lekin majority institute sabhi subject ke students ko bharti karte hain. Agar aap is area me interest rakhte hain to aapke liye isme career ke liye kayi option hai.

Event Management

Naam sunkar hi pata chalta hai ki Event Manage karne ke liye art chahiye, aapko Event Management ki andar event kaise manage karte hain yah sab sikhaya jata hai. Event Management degree course karne ke liye aapko 3 saal tak samay lag sakta hai. Aur Event Management me aapko events jaise ki Music Concerts, Dance Shows, Cultural Shows, Sports Event, Fashion Shows etc jaise kayi event manage Karne ke liye sikahya jata hai. Event jo manage karta hai use hi Event Manager kaha jata hai.

Teacher Training Course

Aapko bata den ki teacher kafi respectful job hota hai is se aapko children ko padhane ka mauka milata hai jo kal ke future hain, Aur Teacher banana bhi ek country ki seva karne jaisa hi hota hai kyonki teacher hi ek aisa human hai jo bina discrimination ke sabhi student ko education provide Karta hai. Agar aap ek Arts ke student hain aur teaching me apna career banana chahte hain to yah bhi possible hai. Aap chahe to 12th paas ke baad B.Ed Course, B.P.E.D (Bachelor of Physical Education), B.El.ED (Bachelor of Elementary Education) ya D.El.Ed (Diploma In Elementary Education) Jaise course kar sakte hain. Aur India me Nursery level teacher training course bhi aap kar skte hain.

A career in Defense Services

Bata den ki Defense Services aaj ki time me bhi career ke liye bahut achha mana jata hai aur Defense Services me ek career bo hai jo samay me emotional hone ke bina samay ke challenges ko samana karne ki jimedari aur ability ki mang karta hai. Aap 12th ke baad Defense Services me aapna career ko Chun skate hain. aur Engineering (B.E./B.Tech) ki tarah Graduation aur iske baad MBA aur MCA jaise post garduation course kar sakte hain.

Conclusion

Aap sabhi ko is post me bataya gya hai ki aap 12th Arts ke baad apne career ke suruaat kaise karen aur is post me jitna batataya gya hai bo jaruri nahi hai ki aap wahi kar skate hain. Arts strem ke liye aur bhi bahut se course hai lekin jo log jyada like karte hai bo maine is post me aap sabhi ke saath share kiya aur uske bare me jankari bhi is post ke dwara diya gya.


About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

Leave a Comment