AMU Admission Process And Dates 2020:- Hello Guys, Uttar Pradesh ke Aligarh Muslim University (AMU) me Academic Session 2020 ke liye Admission Process shuru kar diya gya hai, Jo Candidates AMU me Session 2020-21 me Admission lene ke liye ichhuk hain unke liye Good News hai ki University ne iski Date ki ghosna bhi kar di hai. Iske liye bahut jald Admission Prakriya bhi shuru kar di jayegi. Jabki Counselling Process bhi shuru kiya jayega.
Lekin sabse Mahatvapurn baat yah hai ki Aligarh Muslim University me Admission ke liye National Level ki Entrance Exam ka aayojna kya jata hai, Jisme shamil hone ke liye Students ko sabse pahle aavedan form bharna jauri hai.
Aligarh Muslim University (AUM) Admission Process 2020
Aapko to pata hoga ki Aligarh Muslim University me Admission me Various Courses Medicine, Management Studies, Research Agriculture Sciences, Art, Commerce, Engineering and Technology, Law, Life Science, and Unani Medicine Science etc Jaise Course shamil hai. Halanki MBBS or BDS Course me Admission (NEET) National Level ki Entrance Examination ke madhyam se pradan kiya jata hai. Isliye is article me AMU Admission Process aur Important Dates2020 ke bare me saari jankari diya ja raha hai.
AMU Admission Process 2020
University dwara sabhi Courses ki offer ke liye AMU Consultation Process Seats ki Availability par alag se aayojit kiya jayega, Aur Counselling Process Various Round me aayojit ki jayegi.
Bata den ki Entrance Examination me Candidate ki Merit List ke aadhar par Seats ki Offer kiya jayega, Jabki Counselling Course ke anusar dono Online aur Offline Mode ke madhyam aayojit karne ki sambhavna hai. Lekin Marit List ke anusar hi Candidates ko Counselling me bhag lene ke liye aamantrit kiya jayega, Jisme Candidates ko sabhi Important Document ke sath waha upshthit hona hoga.
AMU Admission Dates 2020
Aligarh Muslim University me Engineering Entrance Examination 2020 ke liye, Aur B.Tech Courses ke liye jaari kiye gye officials Date niche table me provide karaya gya hai. Aap chahe to AMU ke official website par jakar bhi in saari Details ki janch kar sakte hain.
Organization | (AMU) Aligarh Muslim University |
Application Process Starts | January |
Last Date for Application | March |
Exam Date | July / August |
Result declared Date | Update Soon |
Counselling Start Date for Provisionally Selected Candidates | Update Soon |
Chance Memo Candidates | Update Soon |
Counselling Start Date for Special Candidates | Update Soon |
AMU 2020 Admission Procedure
Aligarah Muslim University dwara aayojit kiye gye Entrance Examination ke madhyam se Students ko AMU me Admission di jati hai, Jiski puri prakriya niche Share kiya gya hai.
Online Registration:-
Various Examination ke liye Online Registration Process AM University ke official website par jaari kiya jayega, Jiske liye Students ko khud se Register karna hoga. Jiska Link is page me provide karaya gya hai.
Choice Filling:-
Bata den ki Counselling Process ke Second Stage me Candidates ko Stream ya Colleges ke Preferences Option bharna hoga, Jo Choice Filling ki prakriya Online ke madhyam se bharna hoga. Aise to AMU me Admission ke liye Option bharne ki prakriya generally Three Round par jati hai.
Seat Allotment:-
Document Verification ke baad Candidates ki Seats ko Allotment kiya jayega, Aur Seats ka Allotment par Candidates ki Full Choice aur unki Merit List ke aadhar par hoga.
Reporting to Allotted College:-
Candidates ko Proper Original Documents ke sath nirdharit Samay ke andar apne Aavantit College ko Report karna hoga, Phir authority dwara Original Document ko Verified kiya jayega. Tab jakar Various Courses me AMU ke liye Admission Process pura karenge.
Application Fee:-
Admission ke Time Candidates ko Application Fee Pay karna hoga, Jo ki AMU me Admission ke liye Aavedan Fee sabhi Course ke liye alag alag ho sakta hai, Jo Nimnlikhit hai.
Course Name | Application Fee /- |
B.Tech/ BA LLB and MBA/MBA (IB) | Rs. 650 /- |
MBBS/BDS | Rs. 500 /- |
B.Com, B.Sc, BA (HONS.) | Rs. 400 /- |
Mode of Payment:-
- Aap Application Fee ka Bhugtan Debit Card, Credit Card aur Net Banking ke madhyam se kar sakte hain.
- Offline Fee Pay karne ke liye Canara Bank or ICICI ke madhyam se karna hoga.
- Aur Bhugtan Finance Officer Payable at Aligarh ke ke dwara bhi kiya ja sakta hai.
Required Document For AMU Admission 2020
- Hall ticket / Rank Card
- Intermediate or Equivalent Qualifying Exam Mark Sheet
- Transfer Certificate
- Migration Certificate
- Character Certificate
- DOB Proof
- Admission Slip / DD (Demand Draft)
- Special Category Certificate
Eligibility Criteria For AMU Admission
B.Tech / B.Arch Programme:-
- Students ko Manyata Prapt Board ya University se Engineering ya Equivalent Exam me Class 12th aur Diploma Pass hona chahiye.
- Qualifying Exam me Students ki Mimimum 50% Marks hona chahiye.
- Aur Candidates sabhi Subjects Physics, Chemistry, Mathematics, English se PCME Pass hona chahiye.
B.Com (Hons) Programme:-
- Students ko kisi bhi University se Class 12th kisi bhi Subjects se Pass hona chahiye.
- Students ka Qualifying Marks Minimum 55% hona chahiye.
- Aur Business Studies, Economics, Commerce, Business Organization, Banking, Mathematics, Statistics,, or Entrepreneurship ke bich kisi two Subjects ke sath Accounting or English Subjects se Pass karni chahiye.
Official Website:- amucontrollerexams.com
Aap is prakar se Aligarh Muslim University me kisi bhi Course me Admission le sakte hain, Jyada jankari ke liye iske official website ya University ke authority dwara prapt kiya ja sakta hai.