Sarkari Yojna

Bhulekh Uttarakhand Land Record 2021 | भूलेख उत्तराखंड/भू नक्शा खसरा खतौनी

Bhulekh Uttarakhand Land Record
Written by A to Z Classes

Bhulekh Uttarakhand Devbhumi Portal:- Aaj ke is article me aap sabhi ko ham Bhulekh Uttarakhand ke bare me sari jankari dene ja rahe hai. Bhulekh Uttarakhand Portal ke madhyam se Devbhumi Uttarakhand ki bhumi jankari (Khasra, Khatauni aur Bhu naksha) ke bare me me jankari prapt kar sakte hai. Uttarakhand Sarkar ne sabhi jamini record online kar diye hai. Aap Bhulekh Uttarakhand ke madhyam se ghar baithe bhumi ke record ki jankari bhi prapt kar sakte hai.

Kisi vykati ke liye uski bhumi ek bahut hi mahatvpurn aur mulyvan sampati hoti hai. Iske dwara vyakti ki dhan sampda ke bare me jankari milti hai. Bhuki ki kharid aur farokht se sambandhit jankari ka record rakhana aavashyak hai. Bhumi record me alag alag details shamil hai, Jaise ki Khasra, Khasra number, Khatauni, Jamabandi, Fard, Jamabandi aadi pramukh hai.

Bhulekh Uttarakhand Bhumi Record

Yadi aap Uttarkhand me koi bhi bhumi kharidna athva bechna chahte hai, To aapke liye yah aavashyak hai ki aap Uttarakhand Land Record Map jarut dekhe. Pahle Uttarkhand me bhumi ke record ki jankari ke liye Sarkari daftaro ke lagane padte the, Lekin ab Bhumi record aur Bhu naksha ki jankari ke liye Bhulekh Uttarakhand “Devbhumi Portal” par prapt kar sakte hai.

Uttarkhand ke Revenue and Land Reform Department ke dwara online bhumi record apne official website “devbhoomi.uk.gov.in/” se jankari pradan kar raha hai. Is website se aap Jamabandi copy, Bhulekh map, Khasra, Khatauni number aur bhi any suvidhaye ka labh utha sakte hai. Bhulekh Uttarakhand ke antargat District wise bhumi record online prapt kiye ja sakte hai.

Devbhoomi Uttarakhand Portal Key Points

Name of Article Bhulekh Uttarakhand 2020
Article Category Bhulekh Uttarakhand, Bhu Naksha UK, Land Record, Khasra Khtauni
Portal NameDevbhumi
Beneficiaries People of Uttarakhand
ObjectiveProviding Bhumi Record Online
DepartmentRevenue Department, Uttarakhand
Official websitedevbhoomi.uk.gov.in/

Bhulekh Uttarakhand / Land Map

Bhu lekh shabd do shabdo se milkar bana hai Bhu + Lekh = Bhulekh, arthat bhumi se sambandhit jankari likhi jati ho. Bhulekh Uttarakhand portal ki shuruat ke falsvrup computer ya mobile par kuch hi clicks ke dwara Bhulekh, Bhu naksha ki jankari tak pahuch banai ja sakti hai.

Is portal ka nirman Bhulekh Data API ke prayog se Bhu-Abhilekh data, Bhu-Abhlekh ke malik ki jankari computerizing karne ke udeshya se kiya gaya hai. Jisse jamin ke malik ki jankari jise khata bhi kahte hai, aasaani se uplabdh ho sake.

Bhulekh Uttarakhand / Khasra, Khatouni (ROR) Watch Online

Devbhumi Portal Uttarakhand ke madhyam se online Khasra, Khatouni ki nakal dekhne ke liye aapko niche diye gaye link aur steps ka upyog karna chahiye.

  • Iske home page par “Bhhulekh Uttarakhand” ke link par click kare.
  • Vaha se aap District aur Tehsil ka choose kare.
  • Ek naya page open hoga, Vaha aapko District, Tehsil aur Village choose karna hai.
  • Ab aap Account number, Khasra / Gata number and account holder ke naam se Khatauni nakal dekh sakte hai.
  • Sabhi chij bharne ke bad, Aap Bhulekh Uttarkhand (ROR) detail online dekh paynge.

How to view Uttarakhand Land Map Online

Uttarakhand Bhumi naksa dekhne ke liye aap iske Devbhumi website par visit kar sakte hai. Yadi aap koi jamin kharidne ja rahe hai, To aap Bhu Naksha ke dwara asali malik ki jankari prapt kar sakte hai:-

  • Sabse pahle Bhu Naksha dekhne ke liye official website par visit kare.
  • http://devbhoomi.uk.gov.in/
  • Iske homepage se Tahsil aur Panchayat ka chayan kare.
  • Ab vaha se Khasra Khatauni Number or Name ke jariye se jamin ka vyoura prapt kar sakte hai.

Bhulekh Uttarakhand (ROR) 

Uttarakhand ke sabhi nivasi Bhulekh Uttarakhand ke jamin ki jankari UK Bhu Map, Khasra Khatauni Number ki janch online kar sakte hai. Vah sabhi detail PDF Format me download aur print bhi kar sakte hai. Yaha aap kuch nirdharit shulk ka bhugtan kar Bhumi Record ki nakal copy prapt kar sakte hai.

Bhumi Record RoR ke pahle page ke liye – 15/ रू

Bhumi Record RoR baad ke page ke liye – 5 / रू

Is prakar aap Bhulekh Uttarakhand ke madhyam se apne Bhumi ki puri jankari ghar baithe online prapt kar sakte hai. Yadi aapko Devbhumi website se Bhulekh check karne me koi problem ho rahi hai, To use niche comment kar ke puch sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment