Scholarship

Bihar से दसवीं पास विद्यार्थियों को ₹25000 मिलेंगे, जानिए Bihar 10th Pass Scholarship के बारे में

दसवीं पास विद्यार्थियों को ₹25000 मिलेंगे
Written by A to Z Classes

Bhar Board 10th Pass Scholarship Online Application Form 2020:- Hello Guys, Yadi aap ek Bihar Board ke Student hain, Aur is baar Bihar School Examination Board se Class 10th Exam me achhe Marks yani First Division se Pass huye hain. To aapke liye bahut khusi ki baat hai ki Bihar ke Mukhyamantri ne Matric First Class se Pass hone bale Students ke liye ek bahut badi ghosna ki hai, Jiski saari jankari is article ke madhyam se aap sabhi ke bich Share kiya ja raha hai. To aap is post ko dhyanpurvak ant tak padhe aapko saari inofrmation yaha par mil jayegi.

Bihar 10th Pass Scholarship 25000 Online Aavedan

Aap sabhi ko is page ke madhyam se bata den ki Bihar Board Class 10th Yani Matric me jo bhi Students First Division se Pass kiye hain to unke liye Bihar ke Chief Minister Nitish Kumar ne Scholarship ke roop me bahut badi Rashi dene ki ghosna ki hai.

Yah Scholarship Scheme ke antargat Rajya Sarkar dwara direct Students ke Bank Account me Rs. 25,000 Rupaye ki Rashi pradan kiya jayega. Isliye Post me Bihar Scholarship Scheme or Scholarship Bihar And E-Kalyan Bihar Online Scholarship Yojna ke liye sabhi Jankari jaise Eligibility, Document, Application Process Ityadi Jankari pradan karaya ja raha hai.

Bihar 10th Pass Scholarship 2020 Application Form

To agar aapne bhi is baar Bihar Board se Class 10th ka Exam Achhe Marks se Pass kiya hai to is Bihar Scholarship Scheme 2020 ka Labh prapt kar sakte hain.

Lekin aapko bata den ki is Time pure Bharat me Coronavirus Mahamari ka Prabhav jyadatar Students aur Desh ke Nagriko par pad raha hai. Isi bich Bihar Sarkar ne iski ghosna karte huye kaha ki jo bhi Chhatra is Varsh Matric me First Class se Pass huye hain unhe Bihar Scholarship 2020 ka Labh pradan karaya jayega.

Iske liye Students ka apna Bank Account hona aavashyak hai, Kyonki Scholarship ki Rashi DBT ke madhyam se direct Students ke Bank Account me Transfer ki jayegi, Sath hi Bank Account Students ke Aadhar Card se Link hona bahut jaruri hai.

Bihar 10th Pass Scholarship Scheme 2020 – Overview

Name of SchemeBihar 10th Pass Scholarship 2020 (1st Division)
Launched byDepartment of Labor Resources and Bihar School Examination Committi Patna
BeneficiaryRegister Majdur ke Ladka Ya Ladki
BenefitRs. 25,000 /- , Rs. 15,000 /- , Rs. 10,000 /-
Application ProcessOffline Mode
StatusAvailable Now

किन छात्रों को दी जाएगी प्रोत्साहन राशि ?

Aap sabhi ko pata hai ki Bihar Sarkar ke dwara Bihar Scholarship ke antargat sabhi alag alag Yojnao jaise Scholarship Bihar / E-Kalyan Bihar Scholarship jaise badi badi Scholarship Scheme ko Rajya ke Students ko Labh pahuchane ke liye shuru kiya jata hai.

Lekin is baar COVID-19 Mahamari ko dekhte huye Rajya Sarkar ne Bihar ke Garib Majdur ke bache ko Rs. 25,000 Rupaye ki Rashi Scholarship ke roop me pradan karne ka nirnay liya hai, Jinhone BSEB Board Exam 2020 me 1st Division se Pass kiya hai. Jiske Eligibility ke bare me niche bataya gya hai.

Eligibility Criteria For Bihar 10th Pass Scholarship 2020

Jo Students Bihar Scholarship ya E-Kalyan Bihar Scholarship ka Labh uthan chate hain to unhe is Scheme ke liye Eligibile hona anivarya hai.

  • Is Yojna ka Labh lene ke liye sabse pahle Students ke Mata Pita ka Labor Card hona chahiye.
  • Aur Labour Card ki Sthiti on rahna chahiye.
  • Students ko Board Exam me 1st Division se Pass hona aavashyak hai.
  • Agar Students Board Exam me 60% Marks ya isse adhik Aur 70% se kam Marks Prapt karte hain unhe Rs. 10,000 Rupaye/- ki Rashi pradan ki jayegi.
  • Aur jab Students 70% ya isse adhik Marks Prapt karte hain to unhe Scholarship ki roop me Rs 15,000 Rupaye /- ki Rashi di jayegi.
  • Yadi Students Board Exam me 80% se isse adhik Marks Prapt karte hain to unhe Rs. 25,000 Rupaye /- ki Rashi diya jayega.
  • Is Scholarship ka Labh sirf Registered Majdur ke Ladka ya Ladki hi utha sakta hai, Jo Board Exam me 1st Division se pass kiya ho.
  • Aur kisi Limited School / College se Matric Complete kiya ho.

Important Document

  • Caste Certificate
  • Income Certificate
  • 10th Marksheet 2020
  • Aadhar Card
  • Bank passbook
  • Photo And Signature
  • Labour Card Copy Parents
  • Application Related to the Institution

Note:- Aur baki Document aapko apne Sambandhit Office ke Adhikari dwara bataya jayega.

Types of Bihar 10th Pass Scholarship Scheme

Bihar 10th Pass Scholarship Scheme ke antargat aapke Pryapt Marks ke aadhar par aapko Scholarship Yojna ki Rashi pradan kiya jayega, Jo nimnlikhit hai.

No.Percentage MarksScholarship Scheme Payment
1.80% Marks Ya Isse AdhikRs. 25,000 Rupaye /-
2.70% Marks Ya Isse AdhikRs. 15,000 Rupaye /-
3.60% Marks Ya Isse AdhikRs. 10,000 Rupaye /-

How to Apply for Bihar 10th Pass Scholarship Application?

Aap sabhi ko jaisa upar me bataya gya ki is Scholarship Scheme ke liye aavedan sirf Majdur ke Lada ya Ladki hi kar sakte hain, Jo Board Exam me 60% / 70%/ 80% Percent se adhik Marks Prapt kiye hain. Aur baki Students E-Kalyan Bihar Scholarship 2020 ya Bihar Scholarship 2020 ke liye aavedan kar sakte hain.

  • To aavedan karne ke liye Students ko apne District Social Welfare Department Office me jana hoga.
  • District Social Welfare Department ke antargat Garib Kalyan Vibhag Office me jakar aapko is Yojna ke liye Application Form lene honge, Jiske liye aapko apna sabhi Mahatvapurn Document ke sath lekar jana hai, Jo is page me upar diya gya hai.
  • Aap Application Form bharne ke baad sabhi Document ko Attech karke waha jama karen.
  • Application Form Accept karne ke baad aapko ek Slip diya jayega.
  • Aapko ise apne pass Safe rakhna hoga, Jisse apni Application Status ko bhi check kar sakte hain

Aap chahe to apne School se bhi is scholarship Scheme ki jankari prapt kar sakte hain, Ya phir niche diye gye Comment me puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

67 Comments

Leave a Comment