Bihar E-Pass For Lockdown:- Bihar Sarkar ne E-PAss banbane ke liye online application form jari kiya hai. Jaisa ki aapko pata hi hoga, Abhi pure Desh me Corona Virus ke karan Lockdown hai, aur sath hi sath Bihar me bhi Lockdown hai.
Aise me agar aapko Ghar se bahar nikalna hai, To aapke pas E-Pass hona chahiye, Tabhi aap ghar se bahar nikal sakte hai. Aap yaha ke diye gaye Link ki mada se aap online application form bhar sakte hai, Jiske bad aapko E-Pass mil jayega.
Bihar Sarkar visheskar E-Pass officers aur businessmen ko jari kiya jayega. Yadi aapko bhi apne kaam ke liye bahar nikalna hai to is E-Pass ke liye online aavedan kar sakte hai.
Bihar Corona Lockdown ePass
Bihar Corona lockdown ePass banbane ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kare, Aur aap kis kis chij ke liye Online apply kar sakte hai, Vo bhi check kar sakte hai:-
- Jila ke andar kisi kaam se bahar nikalne ke liye ePass (officer, business)
- Bihar me ek jila se dusre jila me visit karne ke liye (officer, business)
- Bihar me ek jila se dusre jila me visit karne ke liye (Personal E-pass)
E-pass ke liye sari jankari online uplabdh hai, ePass online apply bhi kar sakte hai. Aur sath hi online aap apne aavedan ka Status check bhi kar sakte hai.
How To Apply for Bihar Lockdown E-Pass Online?
Bihar Lockdown E-Pass banbane ke liye aap iske official website serviceonline.bihar.gov.in par visit kar sakte hai, Aur niche diye gaye Steps ko follow kare:-
- Sabse pahle niche diye gaye Link se iske official sit par visit kare.
- https://serviceonline.bihar.gov.in/
- Iske homepage par “COVID-19 आपदा के लिए ई-पास का निर्गमन” ke link par click kare.
- Link par click karte hi, Aapke samne application form show ho jayega.
- Jiske bad aap application form bhar sakte hai.
- Attach annexure par click karne ke bad “Attach Enclosures” Form khul jayega.
- Apne sare documents attach kar den.
- Aur fir last me fom Submit kar den.
- Form Submit karte hi aap Preview dekh sakte hai.
- Preview dekhne ke bad submit kar den.
- Aur kuch din hi bad, Aap E-Pass download kar sakte hai.
- Jiske bad aap print karva kar aap E-Pass ka use kar sakte hai.
Upar diye gaye Steps ko follow kar aap Bihar ePass ke liye online aavedan kar sakte hai. Yadi aapko Application form bharne me koi problem aa rahi ho, To use niche comment kar ke puchh sakte hai.