Contents
CBSE Class 12th Result 2020:- CBSE Class 12th ka Result apne Official website par May ke 1st Week me jari karne ja raha hai. Yadi is saal aap bhi CBSE Class 12th Examination me shamil the, To niche ke diye gaye Link se apna Result aasaani se Check aur Download kar sakte hai. Result Check karne ke liye Students apne Roll number, Date of birth, Centre number, School number aur Admit card ID. ko Ready rakhe. Aur niche bataye gaye tarike se CBSE Class 12th Result Check kar le.
Central Board of Secondary Education (CBSE) apne Official Website May 2020 ke Pahle Saptah me CBSE 12th Result jari karega. Aapko bata den CBSE ne is bar Class 12th Examination 15th February se shuru ki hai, Jo ki 17th March tak chalegi. CBSE Class 12th Examination me is bar lagbhag 12 Lakh Students shamil hai, Jo ki Exam samapt hone par apne Result ki khoj karenge. Isliye hamne is Post me Class 12th Result Check karne ka Direct Link provide kiya hai.
CBSE Board 12th ka Result Science, Commerce aur Arts Stream ke liye ek hi din hoga, Result jari ho jane ke bad aap yaha se diye gaye Board ke Official site ke Link se apna Result Check aur Download kar sakte hai. Result Declaration Date ke bare me puri jankari ke liye is Post ko ant tak padhe.
CBSE Class 12th Result 2020
CBSE Class 12th ka Examination February aur March ke mahine me aayojit ki jati hai. Class 12th Board Exam me is bar 12,88,054 students shamil huye hai. Pichle saal CBSE ne Class 12th ka Result 2nd May 2019 ko jari kiya tha, Isliye is bar bhi isi tarah se Class 12th ka Result jari hone ki sambhavna hai. Ab CBSE Class 12th Result 2020 se juri important Dates niche dekhe.
Examinations (2020) | Dates |
---|---|
CBSE Class 12th Date Sheet | December 17, 2019 |
Practical Examinations | January 1- February 7, 2020 |
Main examinations 2020 | February 27 to March 17 |
CBSE Class 12th Result 2020 | 1st week of May 2020 |
Halanki abhi tak CBSE Board se koi bhi Official Notification nahi aayi hai Result Date ko lekar, Lekin pichle saal ke anusar May ke 1st Week me iske Result jari ho jane ke jyada sambhavna hai. Isliye ham ummid kar sakte hai ki CBSE Class 12th Result May ke pahle saptah me dopahar 12:00 baje tak jari kar diya jayega.
2019 | May 2 |
2018 | May 26 |
2017 | May 28 |
CBSE Class 12th Result Release Date
Board Name | Central Board of Secondary Education (CBSE) |
Exam Name | Secondary School Examination (Class XII) |
CBSE Class 10 Result Date | May 1st Week (Expected) |
CBSE Result Website | cbseresults.nic.in |
Exam Level | National Level |
Pass Percentage | 83.4% in 2019 |
How To Check CBSE 12th Result 2020?
CBSE Class 12th Result Check karne ke liye Students iske Official site par visit kar sakte hai. Aur niche bataye gaye Steps ko Follow kar apna Result aasaani se Check kar sakte hai.
- Sabse pahle diye gaye Link par Click kar iske Official site par Visit kare.
- Iske bad aap iske Result Log.in bale Page par chale jaoge.
- Vaha apna roll number, date of birth, school number, centre number, and admit card id. ko bhar den.
- Sare chij ko bharn ke bad Submit Button par click kar de.
- Ab, Aapka Result Show ho jayega.
- Jise aap Download kar ke, Print bhi kar sakte hai.
Different Method To Check Class 12th Result 2020
CBSE different method se Result pradan karta hai. Students niche diye gaye Methods se Online Mode se CBSE Class 12th Result Download kar sakte hai.
- Online Website
- Via SMS / IVRS
- Microsoft Organiser
- DigiLocker
- Google Search Engine
- Umang App
CBSE Class 12 Result – Last year Statistics
Year | Registered | Appeared | Passed | Pass % |
2019 | 1218393 | 1205484 | 1005427 | 83.40 |
2018 | 1119248 | 1106772 | 918763 | 83.01 |
CBSE 12th Exam 2020- Passing Marks Criteria
Ve Students jo niche diye gaye Criteria ke anusar Marks late hai, Ve CBSE Board Exams passed ke rup me mane jayenge.
- Main or Compartmental Exam me Grade E se Higher Marks hone chahiye, Yani ke har Subject me 33% Marks hone chahiye.
- CBSE ke Students ko Practical Exam me 33%, Theory Exam me 33%, Aur Main Exam me bhi 33% Marks hone chahiye.
- Sabhi Subject me E se upar Grade lane bale Students ko CBSE Pass Certificate provide karega.
CBSE 12th Re-Evaluation 2020
Ve Students Jo CBSE Class 12th Result 2020 se khush nahi hai. Ve niche batye gaye Tarike ke anuasar Verification and Re-evaluation. ke liye Apply kar sakte hai.
- Re-evaluation and verification ke liye May 2020 me Apply kar sakte hai.
- Result jari ho jane ke bad Students ke pass 5 – 6 Days ka Time milega.
- Re-evaluation and verification ke liye Rs. 500 per subject ke Fees hoga.
- Re-evaluation karane bale Students apne Answer Sheet ki Photocopy ki mang kar sakte hai.
- Answer sheet mang karne par aapko Rs. 500 per subject. Fees lagega.
CBSE 12th Compartment Result 2020
Jo Students CBSE Class 12th Examination me pass hone me asafal ho jate hai. Unhe CBSE ek aur Chance deti hai Compartment Examinations ke rup me. Isme shamil hone ke liye Students Application Form ko bhar sakte hai. Iska Exam July 2020 me hoga, Aur Result July ke end tak jari kar diya jayega. Compartment Exam ke liye Alag alag Date Sheet aur Admit Card jari kiye jate hai.
About CBSE
CBSE is the academic board responsible for conducting the class 10th and 12th exams annually. It is a national level board for the regular as well as private students. UP Board of High School and Intermediate Education is the first education board to be set up in India in 1921. For the curriculum of class 10th and 12th CBSE only asked to follow the NCERT pattern. There are total of 20,299 schools in India under CBSE and 228 schools in 28 other foreign countries.