Contents
Chhattisgarh Ration Card New List 2020:- Yadi aap Chhattisgarh ke Nivasi hain aur New Ration Card banbane ke liye Aavedan kar chuke hain to ab aap Chhattisgarh Sarkar dwara jaari kiye gye New Ration Card Labharthi List 2020 me apna Naam dekh sakte hain. Aur Chaattisgarh ke jo Nagrik apne purane Ration Card ka Renewal karne ke liye aavedan kiye hain wo bhi is Ration Card New List me apna aur apne Parivar ke Naam online dekh sakte hain. Aur Ration Card se aap Sarkari Yojnao ka Labh utha sakte hain, Sath hi aap PDS Store se Kam Price me Ration bhi khrid sakte hain.
To aaj ke is article ke madhyam se aap sabhi ko Chhattisgarh Ration Card New List 2020 online check karne ke liye puri jankari dene ja rahe hain, Taki aap is post ki madad se New List me apna Naam aasani purvak dekh saken.
Chhattisgarh New Ration Card List 2020
Chhattisgarh Rajya ke Food, Civil Supplies and Consumer Protection Department dwara Rajya ke Labharthiyon ke liye is New Ration Card List jaari kiya gya hai. Chhattisgarh ke jo bhi Labharthi apna aur apne Parivar ka Naam New Ration Card List 2020 me dekhna chahte hain to ve Food Civil Supplies Department ke official website par ja sakte hain, Jiske liye is post me niche iske official website ka link provide karaya gya hai.
Agar Chhattisgarh ke Nagriko ka Naam is New Ration List 2020 me aata hai to un Labharthiyon ko Ration Card ke madhyam se Food Grain Wheat, Rice, Suger, Daal, Kerosene jaise Samman apne PDS Store se kam Price par khrid sakte hain.
Latest Update:- Desh Me Abhi Ke Samay Me COVID-19 Corona Sankat Chal Raha Hai, Jiski vajah Se Central Government Dwara Pure Desh Bhar Me Lockdown Lagu Kar Diya Gya Hai, Iske Karna Garib Janta Ko Bahut Jyada Samasya Ka Samna Karna Pad Raha Hai, Aur Wo Apne Kaam Par Nahi Ja Pa Rahe hain. Iske Liye Chhattisgarh Sarkar Apne Rajya ke Sabhi BPL Parivaro Ko 2 Mahine Ke Liye Ration Uplabdh Karayegi. Rajya Ke Sabhi Garib Parivar Is Suvidha Ka Labh Utha Sakte hain.
Chhattisgarh Ration Card List – Overview
Name of Department | Food Civil Supplies and Consumer Protection Department |
Name of Scheme | Chhattisgarh Ration Card List 2020 |
Beneficiary | State Citizens |
Check List | Online |
Official Website | http://khadya.cg.nic.in/ |
CG APL / BPL / AAY Ration Card 2020
Aapko bata den ki Desh ke har Rajya me Ration Card State Food Department dwara jaari kiya jata hai, Jo mukhya roop se 3 prakar ke hote hain. Jo nimnlikhit hai.
- APL Ration Card:- Yah Ration Card Rajya ke un logo ko pradan kiya jata hai jo Garibi Rekha se upar hain, Is Ration Card ke liye koi Income nirdharit nahi ki gyi hai.
- BPL Ration Card:- BPL Ration Card un sabhi ke liye hai jo Garibi Rekha se niche ke Log hain, Jinki Annual Income 10,000 Rupaye ke lagbag hai.
- AAY Ration Card:- Jabki AAY Ration Card Rajya ke un Logo ko pradan karaya jata hai jo bahut hi jyada Garib hain, Yah Ration Card Sarkar dwara jaari kiya gya hai.
Benefit of Chhattisgarh Ration Card 2020
- Rajya ke Nagrik ke liye Ration Card ek bahut hi Mahatvapurn Document hota hai.
- Aap apni Pahachan ke roop me i Ration Card ka upyog kar sakte hain.
- Chhattisgarh Ration Card ke madhyam se aap Sarkari Store se Kam Price par aavashyak Food Grain prapt kar sakte hain.
- Aap Driving License banbane me Ration Card ka upyog kar sakte hain.
- Ration Card ke jariye Electric Connection bhi le sakte hain.
- Ration Card ek Official Document hai jo Rajya ke Nagriko ke liye jaari ki jati hai.
- Aur yah Ration Card Logo ki Income aur Sthiti ke aadhar par State Government dwara jaari kiye jate hain.
How To Check Chhattisgarh Ration Card List 2020 Online?
Chhattisgarh ke jo bhi Nivasi New Ration Card List 2020 me apna Naam Online dekhna chahte hain to niche bataye gye tarike ka upyog kar sakte hain.
- Aap Food Civil Supplies and Consumer Protection Department ke official website par visit karen.
- Ab iske home page se जनभागीदारी bale option par clilck karen.
- Yaha se aapko राशनकार्डो की ग्राम/वार्ड वार कार्डवार जानकारी bale option par click karna hai.
- Click karte hi ek naya page open ho jayega.
- Isme aap apni District, Shahar / Gramin, नगरीय निकाय/ विकासखंड, Ward / Panchayat ityadi ko bharen.
- Last me Jankari Dekhe par click kar den.
- Screen par Chhattisgarh Ration Card List open ho jayega, Isme apna naam dekh sakte hain.
Official Website:- Click Here
CG Ration Card Apply Online
Rajya ke jin Logo ne abhi tak Ration Card nahi banbaya hai, Ya Ration Card ke liye aavedan nahi kiya hai to Food Civil Supplies and Consumer Protection Department ke official website par jakar vah New Ration Card ke liye aavedan kar sakte hain. Iske baad Rajya ke Log Ration Card List me apna naam dekh sakte hain. Jiska link is page me uplabdh hai.