Sarkari Yojna

Delhi Curfew E-Pass Application Form Online – दिल्ली ई-पास के लिए आवेदन

Delhi Curfew E-Pass Application Form Online:- Hello Friends, Jaisa ki ham sabhi jan rahe hai ki COVID-19 ke chalte Lockdowm me Desh ki Rajdhani Delhi me sab kuchh band kar di gyi hai. Lekin aise me Delhi ke vah log jo jaruri suvidhaye muhaiya karane ka kaam kar rahe hai un logo ko kisi bhi kaam me kisi tarah ki dikkat na ho iske liye Delhi Sarkar ne E-Pass ki suvidha shuru ki hai. Jiski saari jankari aapko is article me provide karaya ja raha hai, Ki aap Delhi Curfew E-Pass ke liye aavedan kaise karen, Ya iske liye kya kya Document ki jarurat hai. Ye saari details jankari is page me niche share kiya ja raha hai.

Yadi aap bhi ek Delhi ka Nagrik hain aur aapko kisi bhi jaruri kaam se bahar nikalna hai to aap bhi iske liye Online Application Form bhar sakte hain. Delhi Government ne Delhi Curfew E-Pass banbane ke liye official website epass.jantasamvad.org lagu kiya hai, Jispar jakar aap online aavedan kar sakte hain.

Aap sabhi ko bata den ki Delhi ke Mukyamantri Arvind kejriwal ne abhi pure Delhi me lockdown lagu kar diya hai, Aur Police Adhikariyon ko nirdesh diya hai ki jo bhi vyakti Lockdown ka palan nahi karta hai, Uske khilaf kadi se kadi karrbaaii ki jaye.

Delhi Curfew E-Pass Application Form Online

Lekin Delhi Sarkar ne un sabhi logo ke liye E-Pass shuru ki hai jo ki har aavashyak sevaon me hai, Aur unhe kaam ke liye bahar jana padta hai. Bata den ki Delhi NCR ke log Curfew E-Pass Application Form Online ki talash kar rahe hain jinko is chij ke liye bahut jaruri hai. Isliye aapko is post me Delhi Curfew E-Pass Apply Online Status And Emergency Pass ke bare me pure vistar se bataya ja raha hai.

High AuthorityDelhi Government
Name of CapitalDelhi
Started byBY. Chief Minister Arvind Kejriwal
BeneficiaryOriginal Provider
Apply ModeOnline
E-Pass Application StatusClick Here
Article CategoryDelhi Curfew E-Pass Online Application
Official Websitehttps://epass.jantasamvad.org/

Aap sabhi ek baat jan len ki yadi aap pahle se hi 3 May tak Validity ke sath ek Curfew E-Pass rakhte hain, To aapko iske liye fir se Application Form bharne ki aavashyakta nahi hai. Aapka Emergency Pass Sirf 17 May 2020 tak hi mana jayega. Isliye kebal bahi log Application Form online bhar sakte hain, Jinke pass abhi tak E-Pass nahi hai.

Delhi Curfew E-Pass [Status] Apply Online

Ham sabhi jan rahe hai ki Kendra Sarkar dwara Coronavirus ke badhte sankrman ko dekhte huye India me Lockdown 3.0 ko 17 May tak aur bada diya gya hai. Aise me jo vyakti apne jaruri kaam se ghar se bahar niklana chahte the, Unhe aur jyada prashani badh gyi hai, Isliye Delhi Sarkar ne E-Pass suvidha ki shuruat ki hai. Jo bhi vyakti Delhi Curfew E-Pass banbana chahte hain ve is page me diye gye link se iske official portal par direct visit kar sakte hain.

Aise bhi Lockdown ke karan Utpadak aur Apurtikartaon ko aur jyada nuksan ho raha hai, Unhi ko dekhte huye Sarkar ne E-Pass jaari kiya hai. Jiske liye aap online aavedan kar sakte hain.

E-Pass Available on WhatsApp And E-Mail

Ab aapko ham bata den ki Delhi Sarkar ne sirf un aaveak ke liye E-Pass jaari kiya hai jise jaruri kaam ke liye bahar jana padta hai. Aur Logo ko jyada population dekhte huye Authority ne WhatsApp and E-Mail ke madhyam se E-Pass ko conform kiya hai. Jis se aavedak ko WhatsApp Number se contact karna hoga, Aur wo aap se is baat ka karan puchhenge ki E-Pass ki aavashyakta kyo hai.

Aapko apne Identity Proof ke sath WhatsApp par apne sambandhit Document ko upload karna hoga, Aur E-Mail ke liye bhi yahi Step ko follow karna hoga. Lekin E-Mail Massages ko vapas ke liye kuchh time le sakta hai. Isliye aapko is post ke madhyam se bataya ja raha hai ki aap iske official website ke madhyam se ya Authority dwara pradan kiye gye WhatsApp Number se Application Form ko bharen.

Aapko is post me Delhi ke alag alag Area ka WhatsApp Number ki list bhi provide karaya gya hai, Jo bhi Candidates E-Pass ke liye aavedan karna chahte hain to table me diye gye number se sampark kar sakte hain, Aur Sampark sirf WhatsApp ke jariye hi kiya ja sakta hai.

AreaWhatsApp Number
नई दिल्ली जिला9540675392, 9873743727
उतर जिला8595298706, 8595354861
शाहदरा जिला8595272697, 8595274068
दक्षिण जिला9599649266, 9643150027
मध्य जिला7428336279, 742821711
पश्चिम जिला9414320064, 8595252581
दक्षिण पश्चिम जिला99715126953, 9971526953
उत्तर पूर्व जिला9540895489, 8860425666
दक्षिण पूर्व जिला8595246396, 8595258871
उत्तर पश्चिम जिला8585559117, 8595543375
पूर्वी जिला8447200084, 8375878007

List of Documents Required For Delhi Emergency Pass

  • Name of Applicant
  • Mobile Number
  • Full Address of Regular Place of Travel
  • Service Name (Government / Private)
  • Name of District
  • Id Proof
  • And Other Document

Delhi ke jo bhi Nivasi E-Pass parapt karna chahte hain to unhe upar me diye gye sabhi mahatvapurn Document ko official portal par upload karna hoga.

How To Check Online Application or Application Status For Delhi E-Pass?

Yadi aap Delhi E-Pass ke liye Application Form bharna chahte hain to aapke paas aavedan karne ka kuchh karan jarur hona chahiye. Tabhi aap iske liye aavedan kar sakte hain. Aur official website se E-Pass Online Form bharne ke liye niche step by step tarika batlaya gya hai jise aap follow karke aavedan kar sakte hain.

  • Aap Delhi Sarkar ke official website par visit karen.
  • Ab iske home page par se “ई-पास के लिए आवेदन करें” ke link par click karen.
  • Yaha par aapko apna language (English/Hindi) select karna hoga.
  • Iske baad aapko do option milega, Yadi aap aavedan kar chuke hain to iska Application Status Check par click karen.
  • Yadi aap Curfew E-Pass ke liye aavedan karna chahte hain to aap “कर्फ्यू के दौरान यात्रा के लिए ई-पास” par click karen.
  • Click karne ke baad Application Form open ho jayega.
  • Form ko puri tarah se bharne ke baad submit par click kar den.
  • Aur aavedan karne ke baad aapko Curfew E-Pass de diye jayenge.

Official Website Delhi Curfew E-Pass:-  यहां क्लिक करें

Aap is prakar se Delhi Curfew E-Pass ke liye Online Application Form jama kar sakte hain. Aur jab kisi prakar ki problem aapko form bharne me aa raha hai to niche comment box se puch sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment