Sarkari Yojna

Odisha Migrant Workers Registration Form – प्रवासी मजदुर घर वपसी

Odisha Pravasi Majdur Online Registration Form:- Hello Guys, Odisha Government ne sabhi Pravasi Majdur, Students, Tourist vyakti jo is Lockdown Mahamari ke karan anya Rajya me fase hain unko waha se lane ke liye ek online portal launch kiya hai, Jiske tahat Odisha ke sabhi Pravasi Shramiko ko Online Registration Form bharbaya jayega. Aur unhe apne ghar surakshit Train ya Bus ke jariye pahuchaya jayega.

To jo bhi Odisha ke rahne bale Migrant Workers anya Rajyo me kaam karne ke liye chale gye hain, Lekin wo Lockdown ki wajah se waha jakar berojgar baithe hain, Aur kaam nahi karne ke karan sabhi logo ko aur jyada prashani jhelna pad raha hai. Isliye Odisha Government ne Pravasi Majduro ko vapas lane ke liye Odisha Pravasi Majdur Registration Form ko jaari kiya hai. Jispar Registration Form bharkar apne Rajya vapas laut sakte hain.

यदि आप ओडिशा आना चाहते हैं या ओडिशा से जाना चाहते हैं. दोनों स्थिति में आपको रजिस्ट्रेशन करना होगा. और इसके लिए डायरेक्ट लिंक और जानकारी निचे शेयर किया गया है.

Aapko bata den ki Odisha Sarkar ne vibhin Rajyo me fase huye Majdur, Kamgar, Students, Pryatak aur anya Vyaktiyo ko apne Rajya vapas lane ke liye Special Train aur Bus chala rahi hai. Iske alava Rajya Sarkar ne Pravasi Majduro ke liye Helpline Number bhi jaari kiya hai, Jo is post me niche provide karaya gya hai. Lekin is se pahle aapko Odisha Pravasi Majdur Online Registration Form ke bare me saari jankari prapt karna hoga tabhi aap iske liye online aavedan kar payenge, But iske liye aapko kahi jane ki jarurat nahi hain saari jankari is post ke madhyam se iske bare me di ja rahi hai

Odisha Pravasi Majdur Online Registration Form 2020

Yadi aap bhi ek Odisha ka Nagrik hain aur kisi dusre Rajya me COVID-19 Lockdown Mahamari ke karan bus waha fas chuke hain to Odisha Sarkar dwara jaari kiye gye official website covid19.odisha.gov.in par jakar Online Registration kar sakte hain.

Iske liye Rajya Sarkar se ummid ki hai ki 3 May ke baad lagbhag 5 Lakh se jyada logo ko anya Rajyo se apne Rajya me lautne ki sambhavan hai. Aur waha ke Government ne yaha faisal liya hai ki ve un sabhi Pravasi Majduro ko Special Train ya Bus ke jariye lane ki kosis karenge jo alag alag Rajya me Lockdown Mahamari ke chalte fase huye hain. Jiske liye Sarkar ne 2 Website covid19portal.odisha.gov.in or covid19regd.odisha.gov.in launch ki hai. Taki fase huye Pravasi Majdur online Registration kar saken.

ओडिशा के जो भी प्रवासी श्रमिक दुसरे राज्यों मे फसें हुए है वे सभी सरकार द्वारा शुरू की गयी ऑनलाइन पोर्टल पर अपनी पुरी जानकारी दर्ज करके रजिस्ट्रेशन कर सकते हैं, उसके बाद उन्हें ट्रेनों और बसों की मदद से अपने घर तक पहुचाया जाएगा. इस पोर्टल पर ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन कैसे करें उसके बारे मे पुरी जानकारी निचे शेयर की गई है.

Odisha Pravasi Majdur Online Registration – Overview

Jaisa ki aap sabhi ko malum hai ki Coronavirus Mahamari ko lekar Bharat me Lockdown ko aur 2 saptah ke liye bada di gyi hai, Aise me bahar me rahne bale un sabhi Pravasi Majduro aur Kamgaro ko aur jyada prashani uthana pad raha hai, aur wo ab apna ghar vapas lautna chahte hain. To un sabhi ke liye good news hai ki aap is lockdown me apna ghar vapas aa sakte hain. Jiske liye aapko sirf Sarkar dwara jaari kiye gye official portal par khud ko Register karna hoga. Aur diye gye Helpline Number se Odisha Sarkar ke madhyam se niyukt kiye gye Nodal Adhikariyo se Sampark karna hoga.

High AuthorityOdisha Government
Name of SchemeOdisha Migrant Travel Registration Online Form
Started byChief Minister Naveen Patnaik
ObjectiveAnya Rajyo Me Fase Shramik Ko Ghar Vapasi
BeneficiaryPravasi Majdur, Students, Tourist And Other Person
Apply ModeOnline
Article CategoryOdisha Migrant Workers Registration
Helpline NumberNo. 104
Official Websitecovid19.odisha.gov.in

covid19.odisha.gov.in Online Portal

Bata den ki covid19.odisha.gov.in portal Odisha ke Chief Minister Naveen Patnaik Ji ke dwara shuru ki gyi hai, Jaha se sabhi Pravasi Majdur apne ghar lautne ke liye online Registration kar sakte hain. Is portal ka launch 24 April ko hi kiya gya tha lekin kitne logo ko pata nahi tha Iske liye hamne is post me saari jankari pradan karaya hai.

Is Website par Pravasi Majdur ko Registration karte samay apne Name, Mobile Number, Age, Aadhar Card, Current Address & State, District and City ityadi jaise sabhi details ko upload karna hoga. To aap is tarah se Registration Form Online bhar sakte hain, Form bharne ke baad Sarkar ke dwara ek List taiyar kiya jayega uske baad bahar se aane bale vyakti ko puri jankari di jayegi.

Odisha यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?

  • Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
  • Student (विद्यार्थी)
  • Tourist (पर्यटक)
  • Other Professional (अन्य पेशेवर)

Important Details For Odisha Majdur Ghar Vapasi

Jitne bhi log dusre Rajyo se Odisha jana chahte hain unhe sabse pahle Registration karbana hoga. Aur Grih Mantralaya dwara jaari kiye gye nirdesh ko palan karna hoga jo aapko niche bataya ja raha hai.

  • Sabse pahle to Train aur Bus ko achhi tarah se clean kiya jayega.
  • Aur Yatra se pahle sabhi ko Screening ki jayegi.
  • Yatra karte samay sabhi Yatriyo ko Social Distancing ka palan karna hoga.
  • Iske sath aapko Mask pahnana jaruri hai, Aur apne Hygiene ka dhyan rakhna hoga.
  • Aur aapko apne Rajya pahuchane ke baad 14 dino ke liye quarantine center me sabhi se alag rakha jayega.
  • Agar aap Sarkar dwara diye gye niyamo ka palan nahi karte hain to aapke upar sakth kaarbaai ki jayegi.

How To Fill Registration Form 2020 Online For Coming To Odisha?

  • Aapko sabse pahle Odisha Sarkar ke official site par visit karna hoga.
  • Uske baad iske home page se Registration Form ke link par click karna hoga.
  • Click karne ke baad Registration Form open ho jayega.
  • Isme puchhi gyi sabhi details ko bharen.
  • Aur form bharne ke baad submit par click kar den.
  • Last me apne form ka ek print out nikal len.
Apply Online Registration FormGo Here
Official WebsiteWebsite
Nodal Officer WebsiteClick Here

Odisha ke anya Rajyo me rahne bale Pravasi majdur is prakar se apna Online Registratin Form bhar sakte hain. Form bharne ke baad aapko apne ghar ya Rajya Special Train aur Bus ke jariye laya jayega. Aur aapko abhi bhi Registration Form Online bharne me kisi prakar ki dikkat ho rahi hai to aap comment box se apna saval puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment