Delhi E Pass Online Form | Apply Online COVID 19 Lockdown E Pass Delhi:- Desh me COVID-19 (Corona) Virus Mahamari per day lagatar badhti hi ja rahi hai, But ise kam karne ke liye Central Govt. or State Govt. lagatar apni pryash kar rahi hai, taki Desh ke nagriko ko COVID-19 Mahamari se bachaya ja saken aur log jald se jald is mahamari ka samna kar saken. Hal hi me Chief Minister of Delhi (Arvind Kejriwal) ne Desh ke Rajyadhani Delhi me COVID-19 ke badhte cases ko lekar Lockdown, Curfew ki ghoshna ki hai. Taki Delhi ke logo ko surakshit kiya ja saken. Sath hi logo ke liye kuchh guideline bhi jaari kiya hai. Jiski sabhi jankari ham is post me dene ja rahe hain.
Delhi Sarkar ne logo ko har chij ki suvidha pradan karne ke liye Delhi E Pass, Delhi Curfew Pass ko launch kiya hai. Jiske madhyam se aap Delhi Curfew Pass ke liye apna Registration kara sakte hain. Agar aap Delhi ka ek nivasi hain, Ya to Delhi jana chahte hain to aapko Delhi Lockdown E Pass lena hoga.
Iske alava Delhi Sarkar un logo ko bhi Delhi Curfew Pass de raha hai, Jo Delhi ke sabhi nagriko ko aavashyak bhojan aur anya suvidhayen de rahe hain. Sath hi media sector or other sector me work karne bale logo ko bhi Delhi E Pass ki suvidha di jayegi. Lekin iske liye sabhi ko online portal par jakar aavedan karna hoga.
Delhi E-Pass ke liye aavedan kaise karen? Iski sari process is post step by step share kiya gya hai, Aavedan karne ke liye kin kin documents ki aavashyakta hogi share kiya gya hai. Aap is page se Delhi E-Pass ke liye online apply kar sakte hain bilkul aasaani se.
Delhi E Pass 2021
COVID-19 के कारण देश की राज्यधानी दिल्ली में ऐसी स्थिति है की सर्वोच्च न्यायालय ने अब सभी क्षेत्रों में धारा 144 लागू कर दी है. ताकि यातायात और कोरोनावायरस की महामारी पर नियंत्रण पाया जा सकें. मुख्यमंत्री अरविन्द केजरीवाल ने 19 अप्रैल 2021 को 10:00 P.M से 26 अप्रैल 2021 तक दिल्ली में 5:00 A.M तक पूर्ण तालाबंदी की घोषणा की है. केवल नागरिकों को आवश्यक वस्तुओं और सेवाओं को वितरित करने के लिए खुला रहेगा|
दिल्ली के मुख्यमंत्री ने शहर के निवासियों को मदद के लिए एक हेल्पलाइन नंबर भी जारी किया है, ताकि जरुरत पड़ने पर उनतक सेवाएं दिया जा सकें. हेल्पलाइन नंबर के माध्यम से आप जानकारी ले सकते हैं, जो आपको इस पृष्ट पर मिल जायेगा|
Delhi Curfew Pass Details
Article Name | Delhi Curfew E Pass Online Registration 2021 |
Launched by | Chief Minister of Delhi (Arvind Kejriwal) |
Objective | Free movement in the city |
Beneficiaries | Essential service providers |
Delhi Helpline Number | 1031 |
Official Website | https://epass.jantasamvad.org/epass/relief/english/ |
Delhi E Pass Online Registration
To Government of Delhi ke dwara launch kiye gye official online portal par Delhi E Pass ke liye Online Registration shuru ho chuka hai. Taki logo ko sabhi prakar ki suvidha diya ja saken. Delhi ke sabhi nivasi us portal par jakar Delhi E Pass Online Registration kar sakte hain. Website ka link is page par diya gya hai. Aap us link se official website par visit karke un sevaon ka labh uthane ke liye Delhi E Pass ke liye apply kar sakte hain jo niche available hai.
- Food required
- Ration required
- Pension Amount
- 5000 rupees compensation for workers
- E-pass for travelling
Eligibility for Delhi E Pass
ई-पास उन लोगों के लिए जारी किया जा रहा है जो आवश्यक सेवाएं प्रदान करने में लगे हुए हैं, लेकिन उनके पास वैध (/ सरकार) आईडी नहीं है|
- Manufacturing of essential items
- Transport of essential items
- Storage of essential items
- Shops of essential items
- Media
Required Document to Delhi E Pass
- ID Proof
- Visiting Card
- Shop License
- Business License
- ID Proof: (maximum file size: 4MB)
- Both sides of Government issued ID / Aadhar card
How to Apply Online for Delhi E Pass 2021?
Agar aap Delhi E Pass ke liye apply karna chahte hain to niche diye gye steps ko follow karen.
- Sabse pahle iske official website par visit karen niche ke link se.
- https://epass.jantasamvad.org/epass/application/english/
- Home page par diye gye instructions ko padhen, Aur niche scroll karen jaha Application form hai.
- Ab apna Contact number, Applicants Name, Districts, Address of Office or place of engagement, Type of service, From Date, Till Date, Form Time, To Time enter karke ID Proof upload karna hai.
- Iske baad Check Box par click karke Submit button par click kar den.
- Saphaltapurvak apply karne ke baad 7 Character ePass ID milega.
- Ise safe rakhen. Iska upyog karke Application Status ki janch kar sakte hain.
How to Check Delhi Curfew Pass Application Status
- Sabse pahle Official Website par visit karen.
- Ab Check Application Status ke option par click karen.
- Ek new page opne ho jayega.
- Apna E Pass ID enter karke Check Status par click kar den.
- Aapka application status show ho jayega.
Important Link
Delhi E Pass Apply Online | CLICK TO APPLY |
Check Application Status | CHECK HERE |
Delhi COVID 19 Helpline Number
- Dial 1031
Aap is Helpline Number par call karke madad le sakte hain, Jo Chief Minister of Delhi ke dwara jaari kiya gya hai.