Sarkari Yojna

Delhi Liquor Token Apply Online – ऑनलाइन शराब टोकन के लिए अप्लाई करें {www.qtoken.in}

Delhi Sharab Token Ke Liye Online Apply:- Delhi Government ne Social Distensing banaye rakhne ke liye Sharab ki dukano par E-Tokan ki shuruaat ki hai. Delhi me Sharab ki dukano par badhte crowd ke karan Sarkar ne ab kupan ka upyog karke Sharab bechne ke liye ek E-Token Pranali lagu kiya hai. Aur iske liye Government ne ek online portal bhi jaari kiya hai. Yadi aap Delhi ka nagrik hain aur Sharab ke liye lambe line me khade hote hain to aapko bata den ki ab Sharab E-Token ke bina aapko Sharab nahi diya jayega. Iski faisla khud Delhi Sarkar ne li hai ki ab logo ko Sharab kharidne ke liye Token uplabdh kraya jayega. Aap dukan se pahle Sharab lene ke liye Sarkar dwara jaari kiye gye official website www.qtoken.in par jakar apni puri Address ke sath ispar Registration karna hoga.

To aapko is article me Delhi Sharab Token ke liye online apply kaise karen, Iske liye kaun kaun se Document ki jarurat hai, Ye sabhi jankari pradan karaya ja raha hai.Aur sath Delhi Government dwara jaari kiye gye online portal ka link bhi share kiya gya hai, Jise aap niche se follow kar sakte hain.

www.qtoken.in ke madhyam se Token Generate kiya jayega, Jisme aapko apna kuchh Details bhi jama karna hoga aur saphaltapurvak Registration karne ke baad ek Token aapko diye jayenge, Jo aapke Register Mobile Number par bheja jayega. Aur ha Token uttpan karne ke samay aapko kis time me sharab chahiye uska bhi details dena hoga, Uske baad aap usi time me apne Token se Sharab khrid sakte hain. Jabki one hour me sirf 50 Token hi uttpan kiye jayenge.

Delhi Sharab Token Notification

Latest Update:- दिल्ली सरकार द्वारा शराब खरीदने के लिए टोकन सिस्टम शुरू किया गया हैं. आपको टोकन के लिए अपना नाम ,पता, Govt ID Number, और आपके नजदीकी शराब की दुकान का नाम के साथ ऑनलाइन आवेदन करना होगा. उसके बाद आपको टोकन दिया जायेगा, आप टोकन में दिए गए समय के अनुसार शॉप पर जा सकते हैं. ऑनलाइन आवेदन करने के लिए अधिकारिक लिंक निचे उपलब्ध कराया गया है.

To Delhi Government ne pure Delhi me Sharab ki Sale ke liye Token System lagu kar di hai, Jiske pass ab Token hoga sirf bahi Sharab khrid sakte hain. Aapko is post me Token ko online kaise prapt karna hai jiske bare me saari information diya gya hai.

Delhi Liquor Token www.qtoken.in

Jaisa ki aap sabhi jan rahe hain ki Kendra Sarkar dwara Coronavirus ke badhte prakop ko kam karne ke liye pure desh me Lockdown lagu kiya hua hai, Jisme ab kuchh dilai di gyi hai. Aur iske anusar pure Bharat me Sharab ki Sale Start kar diya gya hai, lekin Sharab ki Dukan par jyad Crowd (भीड़) hone ke karan aur khatarnak sabit ho sakti hai. Isi ko dkehte huye Delhi Government ne Liquor Token ka ek bada faisla li hai. Jiske liye Sharab lene bale Candidates ko Liquor Token ka uplabdh karna hoga uske baad hi Shop se Sharab khrid sakte hain.

To jo bhi Delhi ke nivasi Sharab kharidne ke liye ichhuk hain unhe sabse pahle iske official site se Online Register karna hoga, Register karne ke baad unhe ek E-Token diye jayenge. Aur us E-Token ko lekar Sharab ki Shop par jana hoga, Tab aapko Sharab diye jayenge.

Important Point For Delhi Wine token

  • Sharab kharidne ke liye sabhi ko sabse pahle Shop par Token dikhana hoga.
  • Aur Token ke liye www.qtoken.in se Generate kiya ja sakta hai.
  • 1 Ghante me sirf 50 Token diye jayenge.
  • Aap us list se dukan ko select kar sakte hain jo aapke najdiki me hai.
  • Aur aapko apna Photo Identity Proof dikhana hoga jo aapne Form me enter kiya tha.
  • Token me ek Time Slot hoga, Isliye aapko us period ke andar Sharab kharidne ki aavashyakta hai.

Important Document

  • Applicant’s Name
  • Mobile Number
  • Shop Name, Aur Uska Address Jaha Se Aap Sharab Kharid Sakte Hain.
  • Token Valid Date
  • Pass Time Slot (Sirf One Hour)
  • Token Number

How To Apply For Delhi Liquor Token Online?

Delhi Sharab Token ke liye aapko Delhi Government dwara jaari kiye gye official website par jakar online Registration karna hoga, Jiske liye aapko niche step by step tarika batlaya gya hai, Aap bataye gye tarike ko follow karke aasani se Online Token prapt kar sakte hain.

  • Aap Delhi Sarkar dwara jaari kiye gye official portal par sabse pahle visit karen.
  • Ab iske home page se “Apply For Liquor Purchase Token” ke link par click karen.
  • Click karne ke baad ek page khul jayega, Jisme puchhi gyi sabhi details aur apne pass ki Shop ko enter karna hoga.
  • Sabhi details ko bharne ke baad Apply For Token par click karen.
  • Aur ek baar sabhi details ko present karne ke baad aapko apne Mobile par ek Token prapt ho jayega.

Official Website Delhi Sharab Token:- Click Here

Aur jab aap ek baar Token prapt kar lete hain to Dukan par jane se pahle aapko Sarkari Identity Card le jana hoga. Aap bahi Identy Card le ja sakte hain, Jiska upyog aapne Registration karte samay kiya tha.

Home Delivery of Wine

Ab aapko bata den ki Delhi Sarkar ke pass aapke ghar par Sharab pahuchane ki koi yojna nahi hai. Lekin Report ke anusar bataya ja raha hai ki Sharab ki Home Delivery par bhi bichar kiya ja raha hai. Jabki unhone kaha hai ki agar log abhi bhi Social Distensing ka ulanghan karte hain to vah Chhattisgarh aur Punjab Sarkar ke nakse kadadm par chalenge, Jinhone Sharab ki Home Delivery shuru kar di hai.

FAQ’s

Q. Kya hame ab Delhi me Sharab kharidne ke liye Token lene ki aavashyakta hai.

Ans:- Ha, Ab aapko waha Sharab kharidne ke liye Token ko Generate karna hoga.

Q. Hame Token kaha se mil sakta hai.

Ans:- Token Delhi Sarkar dwara jaari kiye gye official portal www.qtoken.in se prapt karna hoga.

Q. Yah Token kaam kaise karega.

Ans:- Aapko us Dukan par is Token dikhana hoga, Jiska naam usme bataya gya hai, Aur Id Proof dikhane ke baad aap Sharab kharid sakte hain.

Q. Kya Token ke liye koi Validity hai ya ham kisi bhi samay is Token ka upyog kar sakte hain.

Ans:- Ha, Token ki Validity Period hai aur isme samay Slot bhi hai aur aapko ullekhit samay ke dauran Dukan par jana hoga.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment