Admission

Durg University Admission 2020 – UG/PG Course Online Application, Eligibility & Result

Durg University Admission Eligibility & Result 2020:- Hello Friends, Agar Koi Students Durg University me Admission lena chahte hain to unke liye Durg University ek achha Option ho sakta hai. Kyonki Is University me Partyek Varsh bahut se Students Admission lete hain aur ve apne behatar Career ki taraf badhte hain. Admission 2020 ke liye Durg University bahut jald apne official portal par Notification jaari karne bala hai, Lekin aapki jankari ke liye bata den ki is University me jyadatar UG / PG se judi bahut se Courses karbaye jate hain. Jisme koi bhi Students apni Pasand ke hisab se kisi bhi Courses me Admission le sakte hain. Aap Durg University Admission, Eligibility, Result 2020 se Sambandhit puri jankari prapt karne ke liye is post ko pura padhen.

Yah Durg University jise ham sabhi Hemchand Yadav University ke Naam se bhi jante hain. Isme MA, M.Sc, B.Ed, BAA, PGACA Examination jaise Indian Citizens ke liye kai Bachelor aur Master Degree pradan kiya jata hai. Jabki Saal 2020 me Admission ke liye Durg University apne official website par bahut jald Date Sheet ki ghoshna karne ja raha hai. Isliye is article me saari jankari uplabdh karaya ja raha hai.

Aur Durg University me MA, M.Sc, B.Ed, PGDCA Course ke liye Exam isi Month Yani June 2020 me hi aayojit kiya jayega, Jo Candidates iske liye ichhuk hain unhe University Entrance Exam 2020 ki taiyari karne ki aavashyakta hai.

Durg University Admission 2020 Online Application Form

Hemchand Yadav University me Admission lene ke liye Students ko sabse pahle Application Form bharna hoga, Jo University ke official website par jaari kiya jayega. Aapko bata den ki University me Admission lene ke liye iske Authority dwara alag alag Courses ki Various Process rakha gya hai. Kuchh Courses me Admission Merit List ke aadhar par, To kuchh Entrance Examination ke aadhar par aayojit ki jayegi, Jiske baad Students ko University me Admission diye jayenge.

Durg University me Admission 2020 ke liye Application Form sirf Undergraduate (UG) or Postgraduate (PG) Courses ke liye Online Application Form uplabdh hoga, Jise isi Month June 2020 me hi aamantrit kiya jayega.

Overview of Durg University Admission 2020

Name of UniversityHemchand Yadav University, (Durg Univ.)
LocationChattisgarh
Name of CourseUG / PG Course
Application ProcessOnline
Important DatesJune / July 2020
Official Websitewww.durguniversity.ac.in

Eligibility Criteria For Durg University Admission 2020

Hemchand Yadav University Me Admission 2020 ke liye jo bhi Students Application Form bharne ke liye ichhuk hain, Unhe sabse pahle University dwara jaari kiye gye Eligibility Criteria ko pura karna hoga, Jo Nimnlikhit hai.

  • For Undergraduate Courses:-
    • Kisi bhi Mayata Prapt School ya College se Class 12th Pass hona anivarya hai.
    • Jo ki Students ka Marks kam se kam 50% hona aavashyak hai.
  • Post Graduate Courses:-
    • PG Course me Admission ke liye kisi bhi Manyata Prapt University se Graduation ki Degree prapt honi chahiye.
    • Iske liye Students ka Marks 50% ke Sath hona anivarya hai.
  • Is University me SC / ST Aur PH Candidates ke liye 5% ki Chhut di gyi hai.

Important Date For Durg University Admission

EventDates
Date of AdmissionJune / July 2020
Start of Online ApplicationJune ,,
CounsellingJune ,,
Commencement of ClassesAug 2020
Official websitewww.durguniversity.ac.in

Hemchand Yadav Vishwavidyalaya 2020 Application Process

Jo bhi Students Durg University se 2020 me UG / PG Courses me apni Padhai ke liye Admission karna chahte hain, Ve University ke official website par jakar online Application Form bhar sakte hain. Jiske liye is page me niche official link uplabdh karaya gya hai. Aur ha aap Eligibility Criteria ko pura karne ke bad hi Admission 2020 ke liye Last Date se pahle aavedan kar sakte hain.

Application Fee:-

Durg University Admission 2020 ke liye jo bhi Candidates Application Form bharenge, Unhe Application Fee bhi Pay karna hoga, Yadi koi Students Application Fee Pay nahi karta hai to uska Aavedan Form Reject kar diya jayega.

App Admission Fee Credit Card, Debit Card, Net Banking ke madhyam se Pay kar sakte hain.

Eduational Qualification For Durg University Admission

  • Candidates ko Bachelor’s Course ke liye Government Recognized Board se Intermediate 12th Pass hona anivarya hai.
  • Aur Master Courses ke liye Government Recognized University ya Sambandhit University se 12th or Graduate Course pura karna hoga, 50% Marks ke sath.

Required Document

  • Photo ID Proof
  • 10th and 12th Marksheet
  • Caste and Category Certificate
  • Migration Certificate
  • Transfer Certificate
  • 3 Passport Size Photograph

How To Apply For Admission in Durg University 2020 Online?

Durg University me Admission 2020 ke liye Application Form bharne ke liye niche bataye gye Step aur diye gye Official Link ko follow karen.

  • Niche diye gye link se iske official website par visit karen.
  • Iske home page se Application Form ke link par click karen.
  • Ab Application Form ko download karke, Apni Passport Size Photo ko upload karen.
  • Iske baad sabhi Important Document ko upload karen.
  • Ab aap University ke liye Application Form ya University Campus me Manually roop se aavedan form ki prakriya ko poura karen.
  • Apne Future ke liye Admission Form ka ek print out nikal len.

Official Website:- www.durguniversity.ac.in

How To Check Durg University Result 2020

  • Durg University Result check karen ke liye niche diye gye direct link par click karen.
  • Iske baad apne Course ke Link par click karen.
  • Ab apna Roll No. or puchhi gyi Details ko enter karke Submit par click karen.
  • Result aapke Screen par show ho jayega.
  • Jise download karke ek hard copy nikal len.

Durg University Check Result:- GO HERE

Durg University Admission 2020 Counselling

University dwara Merit List jaari karne ke baad Counselling ka aayojan kiya jata hai, Jo ki Counselling Process 2 ya 3 Round me pura kiya jata hai. Counselling me Sirf bahi Students aate hain jinka Naam University dwara jaari kiye gye Merti List me aata hai.

Couselling ke tahat Students ko sabhi Important Document ko apne sath lekar aana hota hai, Jiske baad Students apni Renking ke aadhar par Admission le pate hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment