Contents
Haryana Berojgari Bhatta Yojna Registration:- Hello Friends, Haryana Government ne Haryana ke sabhi Yuvaon ke liye Berojgari Bhatta Yojna ki shuruaat ki hai, Bata den ki Haryana Berojgari Bhatta Yojna 2020 un sabhi yuvaon ke liye hai jo Berojgar baithe hain unhe Sarkar ki taraf se aarthik roop se shayata dene ke liye is yojna gathan kiya gya hai. Is Yojna ke tahat jinki padhai puri hone ke baad abhi tak naukri nahi lagi hai, Un sabhi ko Rajya Sarkar ki taraf se Berojgari Bhatta Yojna ka labh diya jayega. Jiske bare me saari information jaise Eligibility Criteria, Important Document jaise aur bhi mahatvapun jankari is article ke dwara diya ja raha hai, Aap is Post ko last tak padhkar Haryana Bertojgari Bhatta Yojna ka labh kafi aasani se utha sakte hain.
Aap sabhi ko bata den ki Haryana Sarkar dwara waha ke Yuvaon ki aarthik vikas ke liye bahut saari Yojnao ki shuruaat ki gyi hai, Bahi Pradesh Sarkar dwara Yuvaon ko Raojgar uplabdh karne ke liye Rojgar mele ka aayojan kiya ja raha hai, Iske sath hi Self Employment ko badhava dene ki pahal bhi ki gyi hai. Jiski jankari aap niche diya ja raha hai.
Haryana Berojgari Bhatta Yojna Online Registration
Aap sabhi ko malum hona chahiye ki is Yojna ke antargat Haryan Sarkar ne apni padhai puri kar chuke Yuvaon ko jinko abhi tak Rojgar uplabdh nahi un sabhi ko Berojgari Bhatta Yojna ke jariye labh pradan karne ja raha hai.
Aur hamare Country ki Kendra Sarkar aur various State Government Skill India, Startup India jaisi Yojna se Youvaon ke liye Rojgar ke avasar uplabdh karane ka prayash kar rahi hai. Lekin abhi tak in sabhi Yojnao ka labh nahi pahuch pata hai. Isliye isi samasya ka samadhan ke liye Haryana Government dwara Berojgari Bhatta Yojna 2020 ki shuruaat ki gyi hai.
To jo bhi Haryana ke rahne bale Candidates Haryana Government dwara jaari kiye gye Haryana Berojgari Yojna ka labh prapt karne ke liye soch rahe hain, Unko is post ke madhyam se batana chahuga ki kisi bhi Berojgar Yuvaon ka Education Qualification Class 10th, 12th Pass ke sath-sath Graduation ya Post Graduation ki Degree hona anivarya hai. Tab jakar Haryana ke rahne bale uvak is yojna ka labh aasni purvak utha payenge. Aur iska labh prapt karne ke liye sabse pahle aapko iske liye online Registration karna hoga, Jiska official link is post me uplabdh karaya gya hai.
Haryana Berojgari Bhatta Yojna 2020 – Overview
Article Name | Berojgari Bhatta Onine Registration Form |
Name of The Scheme | Berojgar Bhatta Haryana |
Started by | Chief Minister Manohar Lal Khatter |
Benefit | Haryan Ke Berojgar Yuvaon Ka Labh |
Application Process | Online |
Category | State Government Scheme |
Objective | Financial Help of Unemployed |
Beneficiary | Haryan Ke Yuva |
Official Website | https://hreyahs.gov.in |
Haryan Berojgari Bhatta Eligibility Criteria
Haryana Government ne Berojgari Bhatta Yojna ka labh uthane bale Candidates ke liye kuchh Eligibility Criteria ko rakha hai, Jo aapko niche bataya gya hai, Aur ise pura karna hoga.
- Sabse pahle to Haryan ke rahne bale Berojgar Yuvak ya Yuvatiyan hi Haryan Berojgari Bhatta Yojna ka labh prapt kar sakte hain.
- Aur is Yojna ka labh prapt karne ke liye aavedak ki Age lagbhag 21 to 35 Varsh ke bich hona chahiye.
- Jabki Berojgar Yuvak ya Yuvatiyan hi is Yojna ka labh le sakte hain.
- Iske liye Berojgar Yuva ka kam se kam 12th yani Intermediate Pass hona chahiye.
- Aur Yuvak ke Parivar ki annual income 3 Lakh Rupaye se adhik nahi hona chaiye.
Required Document For Haryana Berojgari Bhatta Yojna 2020
- Bonafide Certificate
- Aadhar Card, Voter Card and Ration Card
- Certificate For Education
- Residence Certificate
- Applicant’s Mobile Number and Email-ID
- Bank Account
- Two Passport Size Photograph
हरियाणा बेरोजगारी भत्ता के लिए ऑनलाइन पंजीकरण कैसे करें.
Yadi aapne bhi apni padhai puri kar li hai aur Haryana se hain, Uske baad abhi tak Berojgar baithe hain, To aap niche bataye gye stpe ko follow karke Haryan Berojgari Bhatta Yojna 2020 ke liye online Registration kar sakte hain. Jiska direct link bhi niche update kiya gya hai.
- Sabse pahle aapko iske official website par visit karna hoga.
- Uske baad iske home se apni Qualification ke anusar Education Details ko select karna hoga.
- Intermediate/ Graduate And Post Graduate.
- Education Qualification ko select karne ke baad Go Registration par click kar den.
- Click karne ke baad aapke samne ek Form open ho jayega.
- Isme puchhi gyi sabhi details ko sahi sahi bharna hoga.
- Aur form ko bharne ke baad submit bale button par click kar den.
- Aapka Application Form ke Eligibility ki janch ki jayegi, Jiske baad yadi aap Eligible hote hain tab aapko iska labh pradan kiya jayega.
- Iske baad aap kabhi bhi iske official website hreyahs.gov.in/applicantreport.php itna par jakar apne aavedan ki Status ko online check kar sakte hain.
Official Website:- https://hreyahs.gov.in
Important Details For Haryana Berojgari Bhatta Yojna
- Sabhi Register Berojgar Yuvaon ko Monthly Berojgari Bhatta Pradan kiya jayega.
- Aur yah Berojgari Bhata sidhe Labharthi ke Bank Account me transfer kiye jayenge.
- Iske liye sabhi Cast, Dhrm, Samuday se sambandh rakhne bale Yuva is Yojna ka labh prapt kar sakte hain.
- Bata den ki is Yojna ko bade paimane par lagu kiya gya hai, Jiska labh sabhi Yuvak Yuvatiyan bhi utha sakte hain.
Aap is page me bataye gye tarike ke anusar Haryana Berojgari Bhatta Yojna 2020 ka labh prapt kar sakte hain. Agar aapke man me abhi bhi Haryana Berojgari Bhatta Yojna ke bare me koi saval hai to niche diye gye comment box ke jariye puchh sakte hain.