Indane Gas Cylinder Online Booking:- Indane Gas Booking Suvidha ab online ke mdhyam se uplabdh kar diya gya hai, Jo Sarkar dwara Desh ke Nagriko ko Online Suvidha Pradan karke ek nai pahal ki shuruaat ki hai. Is Suvidha ke tahat Desh ke sabhi Log Indane LPG Gas Cylinder ke liye apne ghar baithe Booking kar sakte hain.
Is Suvidha ko shuru hone se Desh ke kisi bhi Shahri ya Gramin Area ke Logo ko Indane Gas Cylinder Booking ke liye kisi prakar ki samasya ka samna nahi karna hoga. Jo is article me aap sabhi ke liye iske bare me puri jankari share kiya gya hai, Aap is post ko last tak padhakar Indane Gas Online Booking ya Booking karne ki Process in sabhi jankari kafi aasani se prapt kar sakte hain.
Indane Gas Cylinder Online Booking
To Desh ke jo bhi Shahri ya Gramin Area ke Nagrik apne gharo me Indane LGP Gas ka istamal karte hain unke liye Sarkar dwara Three Types jaise SMS, Mobile App Aur Online Registration ki Suvidha shuru kiya hai. Jiske madhyam se vah apne Ghar baithe Gas Cylinder ke liye Booking karba sakte hain. Aur apne Samay ki bachat bhi kar sakte hain.
Aap sabhi jante honge ki is Online Suvidha ko Shuru hone se pahle Logo ko Indane Gas Cylinder ki Booking ke liye bahut lambi line me khade hone padte the aur bahut si pareshani bhi hoti thi. Inhi sab pareshaniyo ko dekhte huye Sarkar dwara is Online Suvidha ko shuru kiya gya hai taki Desh ke kisi bhi Nagrik ko kisi tarah ka problem na ho. Ab vah apne Mobile Phone se Call aur IVRS ke madhyam se Ghar baithe Indane Gas Booking ki prakriya ko pura kar sakte hain.
Indian Gas Cylinder Booking
Bata den ki is Suvidha ke antargat Indane LPG Grahak apne Mobile se 1 Number Dial karke Indian Gas Cylinder Book kar sakte hain. Jiske liye sabse pahle Shahar ke IVR Number par Call karna hoga aur kuchh Details Jankari deni hogi, Jisse aapki Gas Cylinder apne ghar bithe Book ho jayegi. Aur aapko Gas Agency me jane ki aavashyakta bhi nahi hogi.
Benefits of Booking Gas Cylinder Online
- Gas Companies ne Gas ki Black Marketing ko rokne ke liye is Online System ko launch kiya hai.
- Desh ki Lagbhag Gas Companies ne Mobile ke jariye Online Booking ki Suvidha di hai.
- Aap Chahe to SMS ya Call or Gas Company ke Mobile App Website ke madhyam se apna Gas Cylinder Book karba sakte hain.
- Is Suvidha ka Labh Desh ke sabhi Log apna Gas Cylinder Book karne me ghar baithe utha sakte hain, Jisse unki Samay ki bachat bho hogi.
Method of Booking Gas Cylinder
- Call karke
- Official Website ki madad se
- Mobile App se
- Ya Phir Gas Agency me Jakar
Objective of Indian Gas Cylinder Online Booking
Aap sabhi jante hain ki LPG Gas Cylinder Book karne ke liye Desh ke Logo ko Gas Agency me jakar Lambi Line me khada hona padta tha jiske karan Logo ko kafi Samay west hota tha. Lekin ab Sarkar dwara Desh ke Nagriko ko Indian Gas Booking ke liye online Suvidha uplabdh karai ja rahi hai, Jiske madhyam se Log apne ghar baithe Gas Cylinder Book karba sakte hain. Aur is Suvidha ka Labh Desh ke har Nagrik ko diya jayega jo Indian Gas LPG ka upyog karta hai.
How To Book Indane Gas Online?
- Candidates ko Indane Gas Company ke official site par visit karna hai.
- Iske home page se My Indian .in bale option par click karen.
- Ab Registration Form open ho jayega.
- Registration Form me puchhi gyi saari Details ko sahi se bharen aur Register par click kar den.
- Ab aapke Email par User Name aur Password mil jayegi.
- Isse aap Log.in karen, Jiske liye aapko home page par jana hoga.
- Ab aap Consumer Login bale option par click karen, Isme aapko Log.in Form aur User Name And Password enter karna hoga.
- Log.in karne ke baad Dashboard open hoga, Jisme aapko LPG ka Link dikhai dega jispar click karen.
- Iske baad aap Book Your Cylinder par click karen.
- Isme sabhi jankari ko enter karke Book Now par click karen.
- Booking hone ke baad Screen par ek No. show hoga jise Note kar len.
- Last me aapko Register Mobile No. par ek SMS prapt ho jayega.
Official Website :- Click Here
Indane Gas Booking Process By SMS
- Agar aap SMS ke jariye Gas Cylinder Book karna chahte hain to apne Mobile se SMS IOC < STD Code + Distributor’s Tel. Number > < Consumer Number > to xxxxxxxxxx. itna se apne Area ke Gas Distributor ke Mobile par SMS karen.
- Booking Accept hone par aapke Register Mobile No. par SMS aa jayega.
Indane Gas Booking Process By Call
- Call ke Jariye Gas Cylinder Booking karne ke liye IVR No. par Call karen, Yah No. aapko Gas Agency se mil jayega, Aur waha aapko apna Number Register karbana padega.
- Gas Consumer Sankhya Diyal karna hoga jiske baad aapko Computer ki Sound sunai degi jo aapko Language Select karne ke liye kaha jayega.
- Apni Language ko Select karke Consumer Number sunai dega aur Booking No bataye jayenge Sath hi Refill Book karne ko kaha jayega aap us No. ko select karen aapka Cylinder Book ho chuka hai.
- Last me aapke Mobile par SMS prapt ho jayega.
Indane Gas Booking Process By Mobile App
- Iske liye aapko Mobile Phone ke Google Play Store me jana hoga.
- Isme apko Indian Oil Type karke Search karna hai.
- Ab ise download karke apne phone me open karen, aur User Id / Password enter karke Log.in karen.
- Iske baad aap Indane Gas Cylinder Book kar sakte hain.
Indane Gas Booking Contact No (State Wise)
No. | State Name | IVRS Number |
1. | Andhra Pradesh | 9848824365 |
2. | Bihar | 9708024365 |
3. | Chandigarh | 9781324365 |
4. | Delhi | 9911554411 |
5. | Gujarat | 9624365365 |
6. | Haryana | 9911554411 |
7. | Jammu & Kashmir | 9876024365 |
8. | Jharkhand | 9708024365 |
9. | Karnataka | 8970024365 |
10. | Kerala | 9961824365 |
11. | Madhya Pradesh | 9753569275/9669124365/9425084691/9669124365 |
12. | Maharashtra | 9223101260 |
13. | Odisha | 9090824365 |
14. | Punjab | 9781324365 |
15. | Rajasthan | 9785224365 |
16. | Tamil Nadu | 8124024365 |
17. | Telangana | 9848824365 |
18. | Uttar Pradesh | 8726024365/9911554411 |
19. | West Bengal | 9088324365 |