Jankari

Jan Aadhar App Download | ऐसे डाउनलोड करें अपने मोबाइल फ़ोन पर जन आधार कार्ड ऑनलाइन

Jan Aadhar App Download:- Jaisa aap sabhi jante honge ki State Government of Rajasthan ne Bhamashah ID ki jagah Rajya ke nagriko ke liye ab ek new system ko shuru kiya hai, Jiska naam Jan Aadhar Card hai. Lekin ise download karne ke liye aapke mobile phone me mobile application hona jaruri hai.

Isliye aaj ke is article me ham Jan Aadhar Card Download karne ki puri jankari denge ki aap kis tarah se ghar baithe Mobile Application ke through Jan Aadhar Card PDF download kar sakte hain, aur uska printout nikal sakte hain wo bhi aasaani se.

Jan Aadhar Aap Download

Koi bhi labharthi apne android phone par Jan Aadhar ka Official Mobile App download kar sakte hain, Kyunki yah Google Play Store par available hai. Aur mobile application ko download kar apna Jan Aadhar Download karne ke alava Jan Aadhar Status bhi check kar sakte hain.

But, Jan Aadhar download ya print karne ke liye aapko kuchh mahatvapurn document ki aavashyakta hogi, Jo is post me diya gya hai. Hamne yah bhi bataya hai ki kis tarah se Jan Aadhar Card Download kiya ja sakta hain.

Documents required to download Jan Aadhaar Card

  • Jan Aadhaar Card Mobile App
  • SSO Login ID & Password OR Jan Aadhaar Acknowledgement ID/ Aadhaar ID/Family ID/ Jan Aadhaar ID)

Aap iska upyog karke Jan Aadhar Card download sakte hain. Iske liye sabse pahle aapko Jan Aadhar Apk file apne mobile phone me download karke install karna hoga.

To chaliye ab jante hain Jan Aadhaar App on Mobile download karne ki puri process kya hai.

Jan Aadhar App अपने फ़ोन में कैसे डाउनलोड करें?

  • To sabse pahle aapke pass ek Android Smart Phone hona jaruri hai.
  • Apne phone me Google Play Store ko open karen.
  • Search box me type karen Jan Aadhar.
  • Jan Aadhar App show ho jayega.
  • Ise download karne ke liye Install par click karen.
  • Jan Aadhar Aap aapke phone me download ho jayega.

How to Download Jan Aadhar Card Online?

  • Apne phone me Jan Mobile App ko open karen.
  • Mobile App load hone ke baad screen par kai option dikhai dega, Aapko “SSO Login” par click karna hai.
  • Ab login page open ho jayega.
  • Apna Id or Password enter karke Login karen.
  • Login karne ke baad aap Mobile App ke home page par chale jaoge.
  • Ab apna Jan Aadhar ID janane ke liye Get Jan Aadhar ID par click karen.
  • Click karne par “Family Jan Aadhar ID” screen par dikhai dega, Ise note kar len.
  • Is tarah Get Jan Aadhar Status par click karke Jan Aadhar Status bhi dekh sakte hain.
  • Ab download karne ke liye Get E-Card option par click karen.
  • Iske baad aapko phone par permission dene ke liye Allow par click karna hai.
  • Ab aapka Jan Aadhar Card pdf me download ho chuka hai.
  • Aap apne Jan Aadhar Card ka printout nikal sakte hain.

Quick Link

Mobile App डाउनलोड करने के लिए क्लिक करें

FAQs:-

Kya Jan Aadhar App kisi bhi mobile phone se download kiya ja sakta hai?

No, Yah sirf android system ke liye hai. IOS & others ke liye jald hi jaari kiya jayega.

Jan Aadhar Card download karne ke liye kya jankari chahiye?

Iske liye aapko sirf SOS ID & Password ki aavashyakta hogi.

Jan Aadhar Card ka print kaise nikal sakte hain?

Agar aapka Jan Aadhar Card open hota hai to yah PDF me download ho jayega. Aap ise cyber cafe me jakar print nikal sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment