Scholarship

Jharkhand E Kalyan Scholarship 2021 – e Kalyan Online Form, Eligibility & Details

Jharkhand E Kalyan Scholarship 2021 Online Form:- Hello Friends, Jharkhand Sarkar ne apne State ke Students ko Labh pahuchane ke liye Jharkhand e Kalyan Scholarship Scheme 2021 ki shuruat ki hai. Jiske antargat Rajya ke Class 10th (Post Matric) Yani Upper Secondary Class ya isse upar kisi bhi Faculty me padhne bale Students ko Scholarship ke roop me sahayata Rashi pradan ki jayegi.

Jaisa ham sabhi ko pata hai ki Rajya me bahut se Scheduled Castes, Scheduled Tribes, Backward Classes (ST ,SC ,OBC) Category ke Students hote hain, Jo apne Parivar ki aarthik sthiti kamjor hone ke karan Padhai nahi kar paate hain. Isliye Jharkhand Sarkar dwara apne Rajya ke SC / ST / OBC Category ke Students ko Scholarship pradan karne ke liye Jharkhand E Kalyan Scholarship Scheme 2021 ko shuru ki gayi hai.

Jharkhand E-Kalyan Scolarship Scheme 2021 ke tahat Rajya ke kebal (SC / ST & OBC) Category ke Students ko hi Rajya Sarkar Scholarship ke roop me Sahayata Rashi Pradan karegi. Is Yojna ke tahat Sarkar aise sbhi Students ko Padhai puri karne ke liye Scholarship degi, Taki vah apni Padhai naa chhode.

Jharkhand E Kalyan Scholarship Scheme 2020

Jharkhand Rajya ke jo bhi Students Class 10th (Post Matric) me Padhai kar rahe hain, Aur Rajya Sarkar dwara shuru ki gayi E-Kalyan Scholarship Scheme 2021 ke tahat Scholarship prapt karne ke liye aavedan karna chaahte hain, Ve iske Department ke official website par jakar Online Form bhar sakte hain. Online Form kaise bhare, Iske liye is article me niche step by step jankari share kiya gya hai, Sath hi official link bhi provide karaya gya hai, Taki aap is post ko last tak Padhkar apna form aasani se online bhar saken.

Ek baat jaan len ki Jharkhand e Kalyan Scholarship Portal 2021 par sirf (ST, SC, OBC Category) ke Class 10th Pass karne bale aur Post Matric me Padh rahe Students ke liye hi Online Aavedan Form aamantrit kiya gya hai.

Jharkhand e Kalyan Scholarship Schme 2021 – Overview

Name of Scheme Jharkhand E Kalyan Scholarship Scheme 2020
Started by Government of Jharkhand
Department E Welfare Department Jharkhand
Beneficiary Post Matric Students & Class 10th Passed Students
Application Process Online
Category Scholarship Scheme 2020
Official Website https://ekalyan.cgg.gov.in/Login.do

List of Jharkhand e welfare Scholarship

Jharkhand Sarkar e Kalyan Scholarship apne Rajya ke Students Provide karti hai. Jo ki is yojna me Sarkar dwara three types ke Scholarship Scheme ko chalaya jata hai. Jo nimnlikhit hai.

  1. Pre matric scholarship
  2. Post Metric Scholarship (Within State)
  3. Post matric scholarship (Outside State)

Benefits and features of Jharkhand e welfare scholarship

  • Jharkhand e Kalyan Scholarship ke madhyam Rajya ke Students ko Scholarship pradan ki jayegi, Taki kisi bhi Students apni Padhai ko bich me naa chhode.
  • Rajya ke jo bhi SC / ST & OBC Category ke Students jo Scholarship prapt karna chahte hain, Ve official website par jakar online aavedan kar sakte hain.
  • E-Kalyan Portal par Rajya ke sabhi Students Scholarship ke liye aavedan kar sakte hain.
  • Yah Scholarship sirf Rajya ke SC / ST and OBC Category ke Students ke liye hi Launch kiya gya hai.
  • Sabhi Students ko unke Qualification ke anusar e Kalyan Scholarship pradan ki jayegi.
  • Scholarship prapt karne ke liye Students ka Bank Account Aadhar Card se link hona aavashyak hai.

E Kalyan Scholarship Scheme 2021 – Eligibility Criteria

  • Is Yojna me sirf Jharkhand ke SC / SC / OBC Category ke Students Eligibile honge.
  • Iske liye Students ko Jharkhand ka ek Permanent nagrik hona anivarya hai.
  • E Kalyan Scholarship Scheme ke tahat SC / ST Category ke Students ke Family ki Annual Income 2.5 Lakh se adhik nahi honi chahiye.
  • OBC Category ke Students ke Family ka Annual Income 1.5 Lakh se adhik nahi honi chahiye.
  • Is Scheme ka Labh Class 10th se Upar kisi bhi Faculty ya kisi bhi Category me Padhne bale Students utha sakte hain.
  • E Kalyan Scholarship Portal par sirf bahi Students Aavedan kar sakte hain, Jo pahle kisi bhi Scholarship ka Labh nahi liya ho.

Required Documents

  • Aadhar Card
  • Caste Certificate
  • Income Certificate & Matric Marksheet
  • Residence Certificate
  • Bank account Passbook
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How to apply online in Jharkhand e Kalyan Scholarship 2021?

Jharkhand ke SC / ST/ OBC Category ke jo bhi Students E Kalyan Scholarship Scheme 2021 ka Labh uthane ke liye aavedan karna chahte hain, To niche bataye gaye Steps ko follow karke online aavedan kar sakte hain.

  • E Kalyan ke official site par sabse pahle visit karen.
  • https://ekalyan.cgg.gov.in/Login.do
  • Website ke home page se Scholarship Registration bale option par click karna hai.
  • Ek new page opne hoga, Jaha se Student Login Registration for Post-Matric Scholarships Registrations ke samne Registration /sign up par click karna hai.
  • Click karne ke bad Registration Form open ho jayega.
  • Registration Form me puchhi gayi saari details jankari ko enter karke Submit par click kar den.
  • Successful Registration ke baad home page par jakar Log.In karen.
  • Yaha aapko Students Log.In par click karna hai.
  • Aap apna User Id, Password ke sath Log.In karen. Aapka Registration pura ho jayega.

Official Website:- Click Here

How To Download Jharkhand E Kalyan Mobile App Online

  • Aap apne Mobile Phone ke Google Play Store me Jayen.
  • Search box me E Kalyan Jharkhand Scholarship enter karke search karen.
  • Aap Screen par show ho jayega, Aap ise Phone me Install karen.
  • Mobile Aap aapke Phone me download ho jayega.

Conclusion:-

Jharkhand ke SC / ST / OBC Category ke Students is prakar se E Kalyan Scholarship Portal par jakar Scholarship ke liye online aavedan kar sakte hain. Aur is Yojna se sambandhit saval puchhne ke liye niche Comment Section me ja sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment