Sarkari Yojna

KALIA Yojana List Odisha 2020 – Check District and Village Wise Final List @kalia.co.in

KALIA Yojana List Odisha
Written by A to Z Classes

Odisha Kalia Yojana List 2020:- Odisha Sarkar dwara updated KALIA Yojana List jari kar diya gaya hai. Sabhi labharthi kisan aajivika aur aay sanvardhan (Krushak Assistance for Livelihood and Income Augmentation) Kalia Yojana ke liye kisan sahayata ki antim list me check kar sakte hai. KALIA Yojana List online jari kiya gaya hai, Aap ise iske official website se check kar sakte hai.

Is article me, ham aapko Kalia Yojana list me naam dekhne ki puri prakriya ke bare me step by step jankari pradan kar rahe hai. Iske sath hi, Ham aapke sath KALIA Yojana, KALIA Yojana Updated List aur isse juri mahtavpurn jankari share karenge. Kalia Plan List Odisha 2020 se sambandhit jankari prapt karne ke liye is article ko ant tak padhe.

KALIA Yojana List Updated @kalia.odisha.gov.in

Odisha Sarkar dwara bhumihin kisano ko financial help karne ke liye KALIA Yojana shuru ki gayi hai. Odisha ke Mukhyamantri Naveen Patnaik ke netritv me is yojana ke safal karyanvyan (implementation) ke liye Rajya Sarkar ke dwara Rs 5115 crore Rupaye ki rashi bati gayi thi. Is bar Odisha Sarkar ne Varsh 2020-21 ke liye Rs 3195 crore rupaye bhi aavantit kiye hai.

Pichle saal 2019 me, Is Yojana ke madhyam se 43 Lakh se adhik kisan labhnvit huye hai. Is samay, Odisha Sarkar dwara Kendra ki PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke sath KALIA Yojana shuru ki gai hai. Is varsh 2020 me Rs. 10,000 Rupaye ki rashi har labharti ko aavantit karne ka prastav kiya hai. Updated KALIA Yojana list 2020 check karne ke liye is post me diye gaye steps ko follow kar sakte hai.

Odisha Kalia Yojana Budget 2020-21

Odisha Sarkar dwar KALIA Yojana jari karne par lagbhag Rs. 5115 crores ka budget jari kiye gaye hai. Us samay, Rajya Sarkar ne 43 Lakh se adhik kisano tak labh pahuchane ki yojana banai thi. Odisha Sarkar ne 2020-21 ke budger ke liye Rs. 3195 crores ki rashi nirdharit ki hai.

Name of SchemeKalia Yojana List
Launched ByCM Naveen Patnaik
BeneficiariesFarmer of State
List view processOnline
BenefitsHelp to landless farmers
CategoryOdisha Govt. Scheme
Official Websitekalia.odisha.gov.in/

Features of Odisha KALIA Yojana

Odisha ke Mukhyamantri Naveen Patnaik livelihood and income promotion (Kalia) scheme shruru ki gayi thi. Is yojana ke madhyam se ab tak lakho kisan aur bhumihin kisan labh utha chuke hai.

  • Is Kalia Yojana ke tahat, Rajya Sarkar Rs. 5000 ka financial help seeds, fertilizers, pesticides kharidne me ke liye kisano ko protsahan ke rup me deti hai.
  • Garib aur Bhumihin kisan majduro ko unki aajivika ke liye prati varsh prati parivar 1,00,000 Rupaye pradan kiye jayenge.
  • Sabhi kisano ko choti gatividhi ke liye Rs. 12500 ki madad milegi, Jaise ki curry farming unit, mini-layer unit, duckery units, fishery kit for fishermen, mushroom cultivation & beekeeping.
  • Sabhi kisan labharthi ko 30 Rupaye ki mamuli dar par 2 Lakh Rupaye tak ka Jivan Bima (Life Insurance) prapt kar sakenge.
  • Jo kisan ki aayu 18 se 50 Varsh ke bich hai, Ve iska labh le sakenge.

Steps To Check KALIA Yojana Final Beneficiary List District & Village Wise 2020

Yadi aap KALIA Yojana List / Beneficiary List check karna chahte hai, To diye gaye link se iske official site par visit kare, Aur bataye gaye Steps ko follow kar List check kar sakte hai.

  • Iske bad aap District name block / ULB aur GP choose kare.
  • Bharne ke bad  “View List” par click kare.
  • Jiske bad aapko PDF beneficiary list show ho jayega.
  • Iske bad aap Captcha Code bhar kar beneficiary list dekh sakte hai.
  • Captcha code bharne ke bad, Aap ke samne list show ho jayega.

Helpline Desk

Kisi bhi candidate dwara Kalia Yojana se sambandhit kisi bhi kathinai ke mamle me, diye gaye Toll-Free number se sahayata jankari prapt ki ja sakti hai.

Toll Free Helpline Number: –  1800-572-1122

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

3 Comments

Leave a Comment