Sarkari Yojna

Krishi Input Anudan Yojana Bihar 2020 – Online Registration, Application Form भरें यहाँ से

Krishi Input Anudan Yojna 2020- Jaisa ki aap sabhi jante hain ki is Varsh 2020 me March April ke mahine me Mausam me kai baar badlab dekhne ko mila hai, Aur asamay varish ke sath olavrshti hone ke karan Kisano ki Phaslo ko bahut jyada nuksan pahuchaya hai. Iske liye Government of Bihar ne Krishi Input Anudan Yojna ki pahal ki hai, Taki Rajya ke Kisano ko kuchh sahayata Rashi pradan kiya ja sake.

Bharat me Bihar ek aisa Rajya hai jaha Kisano ko asamay varish ya olavrshti se Phasalo ke nuksan hone par sahayaa Rashi pradan ki jati hai. Krishi Input Anudan Yojna 2020 ke antargat Rajya ke Aurangabad, Bhagalpur, Buxar, Gaya, Jehanabad, Kaimur, Muzaffarpur, Patna, East Champaran, Samastipur, Vaishali in sabhi District ko shamil kiya gya hai.

Krishi Input Subsidy Scheme 2020 Online Registration

Aapko bata den ki Bihar Government ne Rajya ke sabhi Kisano ke liye Agricultural input grant scheme chala rakhi hai, Jiske tahat Unirrigated Area (असिंचित क्षेत्र) ke liye 6800 Rupaye aur Irrigated Area (सिंचित क्षेत्र) ke liye 13500 Rupaye ki Rashi Per Hectare ki dar se anudan diya jayega. Is Anudan ka labh prapt karne ke liye Rajya ke Kisano ko sabse pahle Agriculture Department ke official website par jakar online aavedan karna hoga.

Bihar State ke jo bhi Kisan Krishi Input Anudan Yojna 2020 ka labh prapt karna chahte hain to un sabhi ko Agriculture Department ke official website dbtagriculture.bihar.gov.in/ itna par jakar online aavedan form bharna hoga. Jiske official link ke sath is post me Krishi Input Anudan Yojna 2020 ke bare me saari jankari bhi aap sabhi ke sath share kiya gya hai. Taki aap is post ko padhkar iske liye aavedan kar sake aur is Yojna ka labh prapt kar saken.

Bihar Krishi Input Subsidy Scheme 2020 Highlights

Name of SchemeAgricultural input grant scheme
Started byGovernment of Bihar
BenificaryState Farmers
Name of DepartmentDBT Agriculture Department, Government of Bihar
CategoryBihar Government Schemes
Application ProcessOnline
Official Websitehttps://dbtagriculture.bihar.gov.in/

New Update For Agricultural input grant scheme

March April Mahine me Nuksan Huye Ravi Phasal ke karan jo Kisan Bihar Krishi Input Anudan Yojna ke liye Aavedan nahi kar paye hain, Un sabhi ke liye ke Mauka pradan ki gyi hai. Bihar ke 19 District Gopalganj, Muzaffarpur, East Champaran, West Champaran, Samastipur, Begusarai, Lakhisarai, Khagaria, Bhagalpur, Saharsa, Supaul, Madhepura, Sitamarhi, Shivhar, Darbhanga, Madhubani, Purnia, Kishanganj and Araria se Related 148 Blocks ityadi Area ke Kisan is Yojna ke liye 7 May se lekar 20 May 2020 tak aavedan kar sakte hain.

DBT Bihar Krishi Input Subsidy Scheme 2020

Direct Benefit Transfer Agriculture Department, Bihar Sarkar dwara Krishi Input Anudan Yojna ki shuruaat ki gyi hai, Is Yojan me Agriculture Department se Sambadhit Departments ke sahyog se prakritik aapadaon aur Rajya ke gramin aapadaon ke karan Rajya Sarkar dwara unki sahayata ke liye kuchh Rashi pradan ki jayegi.

Aur jaisa aapko upar batlaya gya ki Krishi Input Anudan Yojna me Unirrigated Area ke Phasal ke liye 6800 Rupaye per Hectare aur Irrigated Area ke Phasal ke liye 13,500 Rupaye Per Hectare ki dar se Rashi pradan ki jayegi. Jabki Krishi Yogya Bhumi jaha Sand / Silt ka jamab agar adhik ho jata hai to uske liye 12,200 Rupaye ki Rashi Per Hectare ke hisab se anudan diya jayega.

Krishi Input Subsidy Yojana Bihar

Agriculture Minister Dr. Prem Kumar ne kaha hai ki March Mahine me Bihar State ke 23 Districts Patna, Nalanda, Bhojpur, Buxar, Rohtas, Aurangabad, Gopalganj, Muzaffarpur, West Champaran, Darbhanga, Samastipur, Muger, Sheikhpura, Lakhisarai, Bhagalpur, Bhabua, Gaya, Jehanabad, Arwal Nawada, Banka, Madhepura and Kishanganj ke Reported 196 Blocks ke chhute huye Kisan bhi is Yojna ka labh prapt karne ke liye May 2020 me DBT ke official portal par Online Registration kar sakte hain. Aur Phaslo ke Nukasan hone ke bajha se Sarkar dwara diye gye Schemes ka labh utha sakte hain.

Benefits of Bihar Agricultural Input Grant Scheme 2020

  • Is Yojna ke tahat Unirrigated Area ke liye 6800 Rupaye, Aur Irrigated Area ke 13,500 Prati Hectare ke dar se anudan diya jayega.
  • Aur jaha Sand / Silt ka jamab 3 Inch se adhik hota hai to 12,200 Per Hectare ki anudan di jayegi.
  • Ek Kisan Maximum 2 Hectare ke liye Anudan prapt kar sakta hai.
  • Is Yojna ke tahat Prabhavit Kisan ko Minimum 1000 Rupaye ki Rashi pradan ki jayegi.
  • Aur is Yojna ke tahat milne bali Rashi DBT ke madhyam se Labharthi ke Bank Accunt me Aadhar Card ke madhyam se bheja jayega.
  • Is Yojna ka labh lene se pahle aapko apna Districts sukhagrast ghoshit hai ya nahi iski jankari aap Block me jakar le sakte hain.

Eligibility Criteria

  • Aavedak Bihar ka sthai nagrik hona chahiye.
  • Kisan ke pass kheti karne yogya bhumi honi chaiye.
  • Kheti ka Document.
  • Kisan ke pass LPG/ Jamin Rashid/ Genealogy/ Jamabandi/ Sales Letter hona chahiye.

Required Documents

  • Aadhar Card
  • Voter ID Card
  • Residence certificate
  • Agricultural land papers
  • Mobile number
  • Passport size photo

How To Apply For Agricultural Input Grant Scheme 2020?

Bihar Rajya ke jo bhi Kisan Krishi Input Anudan Yojna 2020 ke liye aavedan form bharne ke liye ichhuk hain wo niche bataye gye tarike ko follow karke Online Aavedan kar sakte hain.

  • Aap Agriculture Deparment ke official site par niche diye gye link se visit karen.
  • Iske home page par Online Application ka option dikhai dega, Aap uspar click karen.
  • Iske baad aap Krishi Input Anudan ke option par click karen.
  • Click karne ke baad ek page khulega jisme aapko Kisan Registration Number enter karna hoga.
  • Enter karke search bale button par click karen.
  • Iske baad aap Important Instructions ko padhe aur search par click karen.
  • Ab aavedan form open ho jayega, Jisme puchhi gyi saari details ko sahi sahi baharen.
  • Form ko pura bharne ke baad submit par click kar den.
  • Aap is prakar se Krishi Input Anudan Yojna ke liye aavedan kar sakte hain.

Official Website:- Go Here

Krishi Input Anudan Link:- Click Here

I hope, ki aapko Krishi Anudan Yojna se sambandhit sabhi jankari aapko is page me mil gyi hogi, Yadi aapke paas is Yojna se judi aur koi saval hai to aap niche diye gye comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment