Jankari

वोटर कार्ड को आधार से कैसे जोड़ें ?

Written by A to Z Classes

Link Voter ID With Aadhar Card:- Sim Card, Bank Account, Mutual Fund Accounts Aur Insurance Policy jise Account ko Aadhar Card se Link karbane ke baad, Ab aapko apna Voter ID ko bhi apne Aadhar Card se Link karbana jaruri ho sakta hai. Kyonki Bharat ek Loktaantrik Desh hai, Jaha partyek Human apna Vote dekar apni Sarkar ko chunta hai, Yani ki har ek Vyakti par ek Vote hai.

Jankari ke mutabik bata den ki Kanun Mantralaya ne Election Aayog ki taraf se aaye suggestion ko man gya hai. Lekin Kanun Mantralaya ne sidhe taur par kaha hai ki yah pura karna jaruri hai ki is Process me Data Chori hone se rokne ke liye strong intejam kiya ja saken.

Aapko bata den ki Aadhar Card ek aise Unique Identification Code hai jiski sahayata se Desh ke har Vyakti ko basic facilities ki offer hoti hai, Aur Aadhar Card ka Matlab Fingers and Eyes ki Pupils ko pahachankar us Vyakti ki saari jankari rakhta hai. Aaj ke samay me Aadhar Card kisi bhi Chij se Link hone par vah kaam bahut hi aasani se kiya ja sakta hai.

Isi karan Election Commission State Government se Voter ID ko Aadhar Card se Link karne ki Request kar raha hai. Is Voter Card ko Aadhar Card se Link hone par Election ke samay me kafi aasani se Voting ki jayegi, Jabki isse yah hoga ki koi bhi Vyakti Fake Voter Card se Vote nahi kar sakta hai, Aur koi bhi kaam galat nahi hoga, Sath hi isse Fake Voter ko pakdkne me aur aasan hoga.

Benefits of Connecting Aadhaar with Voter Card

Aise to Fake Vote har jagha hota hai, Jab koi Vyakit Vote dene ke liye jate hain to kisi aur ka Voter ID Card lekar chale jate hain, Ya sidhe taur par ham kah sakte hain ki wo apni Party ko Jitane ke liye aisa Vote karte hain.

Lekin jab Voter Card ko Aadhar Card Link kiya jata hai to Sarkar dwara Fake Voter ko pahchanane me aasani ho jayegi, Jisse sabhi Adhikar Shai ki jayegi, Aur Mool Adhikaron ka ulanghan nahi kiya jayega.

To Voter ID ko Aadhar Card se Link karne par is tarah ka fayda hoga aur aane bale samay me Discipline tarike se Desh ko chalane me aasani hogi. Jisse adhik working style me kafi jyada badlab aayega taki Desh ki har public Viksit ki taraf jayegi.

How To Link Aadhaar With Voter ID

Aap apne Ghar baithe apne Voter ID ko Aadhar Card se Link karne ke liye niche bataye gye tarike ko follow kar sakte hain.

  • Voter ID Card ko Aadhar Card se Link karne ke liye aap Election Commission ki website www.eci.nic or www.nvsp.in par visit karen.
  • Iske baad apna Naam, Father’s Name, DOB State aur City jaise Details ko enter karke Submit par click karen.
  • Submit karne ke baad aap Search bale button par click karen, Yadi aapki Details Screen par Right show hua hai to Website par aapki puri Details ke sath Photo show ho jayega.
  • Is option par click karne ke baad ek POP-UP Page aayega, Jisme apna Naam, Aadhar No. Voter ID Card No. Register Mobile No. ya Email enter karke submit karen.
  • Ab aapke Screen par Massege aayega jisme kaha jayega ki aapki application ko Registered kar liya gya hai.

चुनाव आयोग ने भेजा कानून मंत्रालय को प्रस्ताव

Ab aapko bata den ki kuchh din pahle Election Commission dwara Law Ministry ko Voter ID ko Aadhar Card se Link karne ke liye Proposal bheja gya tha, Jo ki yah Proposal ka Request pahle hi bheja gya tha lekin yah mamla Court me Pending hai.

Is Mang ke tahat BJP ki Leader ne Court me yachika dayar karte huye kaha ki Fake Voting rokne ko aur jyada se jyada Nivarchan Prakriya me apni jimmedari lekar iske aadharit Voting ko rokne ka prastab Sarkar ko diya hai.

Is prakriya ko dhyan me rakhte huye yah Fake Voter Card ko Aadhar Card se jodne se mul adhikar ko dhyan me rakha jayega, Jiske faishle par Delhi High Court ne apni faishla dete huye kaha hai ki Election Commission iske sambandh ke bare me puri disha niredesh dene ko kaha aur one week ka time bhi diya hai.

To abhi Aadhar Card se Voter Card ko Link karne ki process jaari hai. Lekin iski Manjuri milne ke baad Aadhar Card se Voter Card ki jodne ki prakriya is page me update kar di jayegi.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment