Jankari

Lockdown Kya Hai – 21 Days Lockdown ki Puri Jankari Hindi Me

Lockdown
Written by A to Z Classes

Lockdown Kya Hai:- Hello Friends, Kya aap janana chahte hai ki Lockdown kya hai aur ye Kyu lagaya gaya hai. Pure Bharat ko Lockdown kar diya gaya hai, Kyunki Coronavirus(COVID 19) pure Bharat me fail chuka hai. Yah lockdown desh ke logon ke samne pahli bar aaya hai. Isliye iske bare me janna bahut jaruri hai. Iske bare me sahi jankari hone se aapko isse niptane ka mauka milega.

Coronavirus se niptane aur infection failne se rokne ke liye Central government ne State government ko puri tarah se Lockdown karne ko kah diya hai. Lockdown hone par Emergency Service ko chorkar dusre sabhi Service par rok laga di gayi hai. Desh me Coranavirus ke badhte prakop ke vajah se pure Bharat me Lockdown ki noubat aa gayi hai.

Aapne kai bar Hartal ya virodh ke bare me suna hoga, Curfew ke bare me jante honge, Par Bharat me me Lockdown pahli bar lagaya gaya hai. Isliye man me jarur yah saval uthata hai, ki aakhir Lockdown Kya hai, hamne is post me lockdown se juri puri jankari prapt kar sakte hai, Kya band hoga, Kya khula hoga kai savalon ka javab aapko is post me milega.

Lockdown Kya Hai लॉकडाउन की जानकारी

Aapko bata den Coronavirus ke chalte Bharat me sabse pahle Maharashtra aur Rajasthan me lockdown kiya gaya hai, Uske bad Punjab Uttarakhand aur Bihar me bhi Lockdown kar diya gaya. Aur fir Bharat ke Pradhan Mantri Narendra Modi ne pure deshbhar me Lockdown ka ailan kar diya, Yah Lockdown 21 Din tak rahega.

Lockdown ke bare me puri jankari na hone ke karan kuch Log ghabra rahe hai, Khaskar ise Curfew se tulana karne par logo ko man me aur dar baith gaya hai. Lockdown se aapko ghabrane ki jarurat nahi hai, Bas aapko 21 Dino tak apne Ghar me hi rahna hai. Aayie iske bare me vistar se jankari prapt karte hai.

Kya Pahle bhi Hua Hai Lockdown?

America ne 9/11 Aatanki hamle ke bad tin din ke liye pahli bar Lockdown kiya gaya tha.

Iske bad 2013 me Boston aur 2015 me Paris hamle ke bad Brussels Lockdown kiya gaya tha.

Aakhir Lockdown Hai Kya

  • Lockdown ka arth hai Talabandi.
  • Lockdown ka upyog Western Countries me Emergencies ke samay kiya ja chuka hai.
  • Bharat me Logo ko ghar me rahne ke liye, Article 144 jaise kanun ka sahara lena pada hai.
  • Is lockdown ke douran sirf jaruri aur emergency me hi aap Apne Ghar se bahar nikal sakte hai.
  • Is douran sabhi Markets, Business Establishments, Shops, Public Transport band rahenge. Halanki jaruri sevaye vahal rahegi.

Kya – Kya Services Band Rahegi

  • Kisi bhi Public Transport ki suvidha nahi hogi. Inme se Private buses, taxis, auto-rickshaws, rickshaws, e-rickshaws bhi band rahegi.
  • Delhi me emergency sevaon ke liye 25% DTC bus chalegi.
  • Sabhi shops, markets, business establishments, factories, workshops, offices, warehouses, weekly markets band rahenge.
  • Interstate buses, trains aur metro services nilambit rahegi.
  • Sabhi domestic and international flights rad kar di gayi hai.
  • Kisi bhi tarah ka Construction work band rahega.
  • Sabhi tarah ka Dharmik Sansthan band rahegi.

Coronavirus (COVID 19) ke chalte yah kadam uthaya gaya hai. Isliye aapse yah gujarish ki jati hai, Ki is Lockdown me apne ghar me hi rahe, Jaruri kam ho tab hi ghar se bahar nikale, Mask se apne chehre jarur dhake, Aur Sanitizer se hamesa apne hath dhoye.

Coronavirus se ladne ke liye abhi tak koi Vaccine nahi banayi gayi hai. Iska ek hi ilaj hai Infected Logo se Social distance Banane ki jaruri hai. Aap har bakt social distancing ka palan kare. Social distancing hi aapko Coronavirus se bacha sakta hai.

Stay Home Stay Safe

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment