Sarkari Yojna

MP Bhavantar Bhugtan Scheme 2020 | भावांतर भुगतान योजना Online Form

Written by A to Z Classes

Madhya Pradesh Bhavantar Bhugtan Yojna Online Registration 2020:- Madhya Pradesh Sarkar ne Kisnao ki Samasya ko dekhte huye ek nayi Yojna ki shuruaat ki hai jiska naam MP bhavantar Bhugtan Yojna 2020 hai. MP Government ne Kisano ko unki Phaslon ka sahi Labh pahuchane ke liye is Yojna ko shuruaat kiya hai, Jiske anatargat Rajya ke un sabhi Kisano ke Bank Account me Selling Price aur Labhkari Mulya ke bich ka Bhugtan kiya jayega.

Rajya Sarkar ne Rajya ke Kisano ko ho rahi samasya aur unke dwara Kisano dwara kiye ja rahe aatmhatyaon ko rokne ke liye is Yojna ka Sanchalan kiya gya hai. Agriculture ke Area me Kisano ko hone bale in sabhi parasthitiyon se Kisan aisa kadam utha rahe hain, Jise rokne ke liye MP Government ne ek nai pahal is Yojna ke madhyam se shuru kiya hai.

Madhya Pradesh me yadi Kisano ko Khrif Phasl Market me Minimum Support Prices (MSP) ki Tulna me kam Price par beche ja rahe to us Nuksan ko Kisan Cover karne ke liye Bhavantar Bhugtan Yojna ke liye aavedan kar sakte hain. Jo is post me is Yojna se sambandhit sabhi Jankari Application Process, Eligibility, Mahatvapurn Document ityadi provide karaya ja raha hai.

Madhya Pradesh Bhavantar Bhugtan Yojna Registration 2020

Madhya Pradesh Sarkar dwara diye ja rahe is Bhavantar Bhugtan Yojna ka Labh MP ke jo bhi Kisan uthana chahte hain to unhe iske official portal par jakar iske liye sabse pahle online Registration karna hoga, Jiska Official Link is Page me niche pradan karaya gya hai.

Bata den ki E-Uparjan ke madhyam se pichhl 5 Varsho me Lagbhag kul milakar 118.57 Lakh Kisan Minimum Support Prices ke liye Free me Register huye hain, Jinme se 64.35 Lakh Kisano se 2415.62 Lakh M. T. Grain kharida gya hai, Jiska Rs. 69111 Crore Rupaye ki Rashi ka Bhugtan kiya ja chuka hai.

Aur MP Bhavantar Bhugtan Yojna ke that Sarkar dwara Kisano ka Labh sidhe unke Bank Account me Transfer kiya jayega, Jiske liye Kisan ka apna Bank Account hona aavashyak hai, Aur sath Bank Account Labharthi ke Aadhar Card se Link bhi hona anivarya hai.

MP Government is Scheme ke that E-Uparjan ke official website www.mpeuparjan.nic.in ke madhyam se Bhavantar Bhugtan Yojna ke liye Kisano se Online Registration Form Accept kar rahi hai. Jo bhi MP ke Kisan is Yojna ke liye ichhuk hain ve is Portal se online aavedan kar sakte hain.

Bhavantar Bhugtan Scheme में शामिल फसले

Bhavantar Bhugtan Yojna ab Rajya me Kapas, Mung, Gehu, Urad, Jwaar, Soyabin, Mungfali, Til, Mkka Ityadi sahit Mukya roop se 13 Phaslon ke liye shuru kiya gya hai.

  • Support Price Me Shamil Kharif Pasal:- Paddy, Urad, Tuar and Mung
  • Bhavantar Yojana Me Shamil Kharif Phasal:- Mkka, Soyabin, Jwaar, Bajra, Mungfali, Til and RamTil

Benifit of MP Bhavantar Bhugtan Yojna 2020

  • Is Scheme ka Labh Sirf MP ke Kisano ko di jayegi.
  • Aur iske antargat Rajya ke Kisano ko Bank Account me Selling Price Mandiyon me aur Labhkari Mulya ke bich Bhugtan ki jayegi, Jisse Kisan ko kisi prakar ki Loss nahi hogi.
  • Is yojna me Sarkar un sabhi Kisano ko puri Kimat Loss ka Bhugtan karegi jo Minimum Support Prices ke niche Agriculture Utpadan bechne ke samay Nuksan jhlne padte hain.
  • Rajya ke Kisan ko Sarkar dwara aarthik Sahyata prapt karke agle Mausham me Phaslo ki Bone me bhi aasani hogi, Jisse Kisano ki Income me Virdhi hogi.

Khrif Phasal 2020 Support Price List

No.Name of Khrf PhasalSupport Price List 2020
1.Paddy1750 /- Per Quintal
2.Soyabin3399 /- Per Quintal (500 Rupaye /-Flat Exchange Milega)
3.Mkka1750 /- Per Quintal (500 Rupaye /-Flat Exchange Milega)
4.Paddy Gread A1770 /- Per Quintal
5.Jwaar Hybrid2430 /- Per Quintal
6.Jwaar Wagon2450 /- Per Quintal
7.Bajra1950 /- Per Quintal
8.Arhar5675 /- Per Quintal
9.Kapas Mdium Fiber5150 /- Per Quintal (500 Rupaye /-Flat Exchange Milega)
10.Kapas Long Fiber5450 /- Per Quintal (500 Rupaye /-Flat Exchange Milega)
11.Tuar5675 /- Per Quintal
12.Urad5600 /- Per Quintal
13.Mungphali6975 /- Per Quintal
14.Mung4890 /-Per Quintal
15.RamTil5675 /- Per Quintal
16.Til5877 /- Per Quintal

Rabi Phasal 2020 Support Price List

  • Garlic – Rs 3200 Per Quintal (Estimated)
  • Gram – Rs 4,400 Per Quintal
  • Lentils – Rs 4,250 Per Quintal
  • Mustard – Rs 4,000 Per Quintal
  • Onion – Rs 8 Per Kg (Estimated)
  • Tuar Model Rate – Rs. 3860 / Quintal (for 1 to 30 April 2020)
  • Wheat Support Price – 2000 Rupaye /- Quintal

Eligibility Criteria For Bhavantar Bhugtan Yojna

  • Aavedak ko MP ka ek Sthai Nivasi hona aavashyak hai.
  • Aavedak ko ek Kisan hona anivarya hai.
  • Is Yojna ke liye aavedan karne ke liye Composite ID honi chahiye.

Important Document

  • Aadhar Card
  • Residence Certificate
  • Identity Card
  • Bank Account Passbook
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo
  • Sikami / Patta Bhumi ke Mamle me Authority ka Letter or Mul Bhumi Ki Owner ki Loan Passbook.

How To Apply For Bhavantar Payment Scheme 2020?

  • Sabse pahle E-Uparjan ke official website par visit karen.
  • Iske home page se Khrif 2019 – 2020 bale option par click kare.
  • Iske baad agle page se Khrif E-Uparjan Varsh 2019-20 Htue Kisan Registration par click karen.
  • Ab aapke samne ek page open ho jayega, Jisme puchhi gyi saari Details ko bharen, Aur Registration Karen button par click kar den.
  • Ab Registration Form open ho jayega.
  • Aap is Form me puchhi gyi saari jankari ko bharkar Submit par click kar den.

Official Website:- GO HERE

Bhavantar Bhugtan Yojana (MP) Important Details

Is Yojna ko pahli baar October 2019 me lagatar girte Krishi Kimto ko banaye rakhne ke liye MP Government dwara shuru ki gyi thi, Jiske tahat Bikri ki Samasyaon me Kisano ko Financial Help pradan ki ja rahi thi. Lekin is baar bhi bahut saare Phaslo ki Bikri me samasya laga hua hai, Isliye Sarkar ne is Yojna ko fir se shuru karne ja rahi hai.

Is Yojna ke liye Online Booking 28 July se shuru hogi, Aur 31 August 2020 tak jaari rahega. MP ke jo bhi Kisan iske liye ichhuk hain ve upar bataye tarike ko follow karke Bhavantar Bhugtan Yojana ke liye aavedan kar sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment