Contents
MP Pravasi Majdur Ghar Vapasi Online Registration:- Hello Guys, Desh me jaari Coronavirus Lockdown ke bich dusre Rajyo me fase Pravasi Majdur, Students ya anya vyakti apne ghar vapas lautne ke liye bahut pryash kar rahe hai. Isliye Madhya Pradesh Government ne bhi Rajya ke bahar fase Majduro ke liye ke bada kadam uthaya hai.
Aapko bata den ki Madhya Pradesh ke Chief Minister Shivraj Singh Chauhan ne bataya hai ki MP ke jitne bhi Pravasi Majdur alag alag Rajyo me fase hain un sabhi ko apne Rajya me Special Train ke jariye laya jayega. Iske liye Jo bhi Pravasi Shramik Majdur ya Students kisi bhi vyakti jo anya Rajya me hain unhe lane ke liye Onlne portal launch kiya hai, Jiske tahat sabhi ko Registration karbaya jayega. Uske baad unhe apne ghar pahuchane ke liye sampark ki jayegi.
Iske alawe vaise pravasi bhi jo abhi MP me hain aur wo apne rajy jana chahte hain to ve bhi is form ko bhar sakte hain.
Madhya Pradesh Sarkar ne sabhi Pravasi Majduro ke liye Online Registration Form ke sath sath Helpline Number bhi jaari kiya hai, Jis par sampark karke Pravasi Majdur, Students, Tourist aur anya vyakti apne ghar laut sakte hain. Isliye hamne is post me saari jankari pradan karaya hai, Taki Madhya Pradesh ke rahne bale Pravasi Shramik is post ko padhkar apna Online Registration aasani se kar saken.
MP Migrant Workers Return Online Registration Form
To Madhya Pradesh ke jo bhi nivasi apne Rojgar ki talash karne ke liye dusre Rajyo me chale gye the, Aur Lockdown ke karan waha fas chuke hain, Ya fir is lockdown me apne ghar vapas aana chahte hain to Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye official portal par jakar online Registration kar sakte hain. Registration karne ke baad aap se contact kar liye jayenge, Aur Train ka Time Table ke bare me jankari de di jayegi. Yadi aap iske bare me aur bhi adhik jankari prapt karna chahte hain to is post me niche diye gye Helpline Number par Call kar sakte hain.
Aap niche diye gye official notification ko ek baar jarur padhe.
Madhya Pradesh Pravasi Majdur Yatra Registration Form
Jaisa ki ham sabhi ko pata hai ki Kendra Sarkar dwara Lockdown ko aur 17 May tak bada diya gya hai, jiske karan Madhya Pradesh ke Pravasi Majdur ya kisi bhi Rajya ke Pravasi Shramik jo alag alag Rajya me rah rahe the unhe aur jyada prashani utha pad raha hai. Kyonki Lockdown ko lagbhag 55 days pure hone ja rahe hai, Jab se shuru ki gyi thi to utna prashani nahi thi lekin ab jyada dikkat hone laga hai. Jo vyakti par day kaam karte the unke paas aaj ke samay me koi bhi kaam nahi aur vah Berojgar waha baithe hain. Isi ko dekhte huye sabhi Rajya Sarkar ne alag alag fase huye Pravasi Majduro ko unke ghar Special Train Chalbakar pahuchane ki kosis ki hai. Unme se ek Madhya Pradesh Government bhi hai.
State Government | Madhya Pradesh Government |
Scheme | Pravasi Yatra Registration |
State | Madhya Pradesh |
Started by | Chief Minister Shivraj Singh Chauhan |
Objective | Anya Rajyo Me Fase Logo ko Vapasi |
Beneficiary | Migrant Worker, Students, Tourist And Other Person |
Mode of Registration | Online |
Article Category | Madhya Pradesh Migrant Worker Registration |
Official Website | https://mapit.gov.in/ |
To Madhya Pradesh ke Pravasi Shramiko ko apne ghar lautne ke liye Online Registration karbana hoga, Phir apne ghar laut sakte hain. Jitne bhi MP ke Shramik anya Rajya me fase hain unko is post ke madhyam se suchit kiya jata hai ki aap Sarkar dwara jaari kiye official website par jakar online Registration karen, Aur Registration karne ke baad iski Department dwara list jaari karne ke baad aapse sampark karke aapko apna ghar pahucha diya jayega.
प्रवासी नागरिक (Migrant Resident) पंजिकरण
Madhya Pradesh Government dwara diye gye nirdesh ke anusar alag alag Rajyo me fase Pravasi Majduro, Tirth Yatriyo, Students jaise kai saare anya vyaktiyo jinhe Special Train aur Bus ke jariye apne apne ghar pahuchaya jayega. Sirf Registration Form online bharne bakt aapko batana hoga ki aapko kaha jana hai aur bhi kuchh details puchhi jayegi jo aapko bharna hoga. Jiske baad aapko Train aur iska Samay ke bare me bata diya jayega.
Ya fir aap chahe to Madhya Pradesh Sarkar ne Toll Free Helpline Number jaari kiya hai, Jispar direct Call karke aap apni puri jankari de sakte hain. Tab aapko waha se lane me madad ki jayegi.
Aap Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye district wise Helpline Number niche se dekh sakte hain.
मध्य प्रदेश यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?
- Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
- Student (विद्यार्थी)
- Tourist (पर्यटक)
- Other Person (अन्य व्यक्ति)
Required Document For MP Pravasi Yatra Registration
- Your Address
- Mobile Number
- Home Address
- Contact Mumbers of Other Members of Your Family
- Address To Live In Another State
How To Fill Madhya Pradesh Travel Registration Form 2020 Online?
Yadi aap Madhya Pradesh ke rahne bale hain aur lockdown ki bajha se kisi dusre rajya me fas chuke hain to yaha par bataye gye tarike ko follow karke aap MP vapas lautne ke liye Registration Form Online bhar sakte hain.
- Aap iske official website par sabse pahle jaye.
- Iske baad aap apne Mobile Number se Reigster karen.
- Ab aap Yatra Details ko select karen, Kya aap anya Rajya se Madhya Pradesh aane ke liye aavedan karna chahte hain ki Madhya Pradesh se kisi aur State me jana chahte hain.
- Kisi ek par Click karne ke baad puchhe gye sabhi details ko enter karen.
- Iske baad aapse iske sambandhit adhikari / Karyalaya dwara sampark kar liya jayega.
Registration Form Online | Click Here |
Official Website | Website |
Madhya Pradesh vapas aane ke liye aap is tarah se Registration Form bhar sakte hai, Form bharne ke baad aapse Sampark kar liye jayenge aur aapko waha se aane ke liye Train ka Time Table bata diya jayega.
Yadi aapko iske official website se MP Pravasi Majdur Online Registration Form bharne me kisi tarah ka problem aata hai niche diye gye comment box ke jariye aap puchh sakte hain.
Ham maharastra me veta jila sangli 415311me fanse hai 4 log aur ghar jana chahte hai ghar ka adres up jila sidharth nagar 272152
Ham ko west bangal district east medini pur jana chata hu hum Bhopal gutam nagar me fesa hai 65 din hoygeay kuch bebosta nehi hora he mob 7397876978
Skvc nngdcnjfc